Kia Aap Apnay Ziada Ya Barhtay Hoay Weight Say Pareshan Hain? Buhat Say Aisay Log Jo Weight Reduce Ya Weight Loss Ker Bhi Laitay Hain, Magar Woh Is Ko Maintain Nahi Rakh Patay. Youn Dobara “Motay” Hojanay Ko Weight Cycling Kaha Jata Hay.

Agar Aap Weight Loss Kay Liye Committed Hain To Kuch Aisay Steps Hain Jin Per Amal Kerkay Apna Maqsad Hasil Kar Saktay Hain.

Short Term Attitude

Agar Aap Weight Lose Kernay Main Serious Hain To Aap Ko Long Term Sochna Hoga, Aur Short Term Results Kay Peechay To Bilkul Nahi Bhaagna.

Agar Aap Kisi Planning Kay Baghair Hi Weight Lose Kar Rahay Hain To Shayad 2-3 Weeks Main 10-12 Pounds Kam Bhi Karlain. Laikin Kuch Time Kay Baad Chorrtay Hi Aap Ka Weight Dubara Barhnay Lagay Ga.

Aisa Tab Ziada Hota Hay Jab Aap Weight Lose Karnay Kay Chakkar Main Strict Diet Routine Apna Laitay Hain. KETO Ya PALEO Kernay Lagtay Hain. Yeh Diet Schedule Aap Ko Kuch Arsay Kay Liye Acha Lagay Ga Magar Agar Aap Nay Himmat Haar Di To Baat Phir Waheen Puhanch Jaey Gi, Jahan Say Shuru Hui Thi.

Ye Sab Aap Ki Will Power Ki Baat Hay. 2 Weeks Ya Couple Of Months Tak Chalay To Chalay Aur Phir Thakk Gaey. Weight Loss Karnay Walay Jaan Lain Kay Is Kaam Kay Liye Koi Quick Set Up Ya Magic Nahi Hota. Ye Long Term Health Habits Ki Baat Hay.

Do Something Wisely

Jab Aap Weight Lose Kernay Ka Irada Kerlain Tou Tamam Processed Foods Ki Apni Zindagi Main Entry BAN Kerdain. Na Aap Bread Khaein Ga, Na Pasta, Na Cheese Aur Na He Bazar Main Milnay Walay Snacks. Aap Sirf Khudh Ko Chicken, Fruits Aur Vegetables Tak Restrict Kerdain Gay.

Mager Abhi Picture Baqi Hai Meray Dost. Jab Aap Weight Lose Kernay Kay Chakar Mai Work Out Bhi Kernay Lag Jatay Hain Aur Is Kay Bawajoud Aap Satisfy Aur Fit Nahi Samajtay Tou Yaqeenun Aap Bauhat Kuch Aik Sath Ker Rahay Hain. Samajdari Kay Sath, Apna Routine Balance Kerain Aur Long Term Goals Kay Liye Slowly Aur Gradually Work Out Kay Routine Ko Lai Ker Chalain.

Support System Issues

Aik Bara Masla Ye Hay Kay Jaisay Hi Aap Weight Lose Karnay Ka Mission Par Chaltay Hain, Aap Kay Family Members, Friends Aur Colleagues Ko Aik Dam Khana Peena Yaad Aa Jata Hay. Dawatein, Parties, Bahar Jana Aur Wahan Khula Khana Aap Ki Weight Lose Ki Tamam Koshishain Baykaar Kar Deta Hay.

Agar Aap Healthy Diet Kartay Hain Aur Strict Routine Follow Kar Rahay Hain To Zaruri Hay Ke “Log Kya Kahain Gay?” Walay Statements Ki Fikar Na Karain. Doosron Ki Baaton Mein Apna Berra Gharaq Na Karain Aur Diet Schedule Mein Koi Tabdeeli Na Layen.

Family Aur Friends Ka Is Important Mission Mein Aap Ko Support Karna Buhat Zaruri Hay. In Par Clear Kardain Ke Aap Kay Liay Weight Lose Karna Kitna Zaruri Hay Aur Is Hawalay Say Aap Kia Thoughts Rakhtay Hain.

Exercise Conquers All

Agar Aap Ko Lagta Hay Kay Sirf Diet Routine Follow Karkay Weight Lose Kar Saktay Hain To Yeh Aap Ki Bhool Hay. Exercise Karna Bhi Aap Kai Liye Buhat Zaruri Hai, Aur Diet Manage Karnay Kay Sath Yeh Bhi Aap Ko Buhat Faida Day Ga.

Waisay Sirf Exercise Karkay Weight Lose Karnay Ka Khwab Dekhna Bhi Theek Nahi. Workout Ki Waja Say Aap Khudh Ko Fit Aur Balanced Feel Karain Gay Aur Is Ka Aap Ki Health Par Bhi Impact Parta Hay. Hain.

Workout Kay Liye Apni Age Kay Sath Sath Timings Aur Intensity Ko Bhi Zehn Main Rakhain. Sirf Less Time Main Ziada Faiday Kay Liye Heavy Exercises Sehat Ko Nuqsan Puhancha Sakti Hain.

Agar Weight Lose Karnay Ka Pakka Irada Hai To Aap Ko Peace Of Mind Kay Sath Stress Free Ho Kar Ye Goal Achieve Karna Hoga. Samajhna Hoga Kay “Yeh Ishq Nahi Aasan” Wala Mamla Hay Aur Is Kay Multiple Steps Hotay Hain. Kisi Bhi Surat Himmat Nahi Haarni Aur Khud Ko Hamesha Apnay Goals Achieve Karnay Kay Liye Motivate Rakhna Hoga. Iss Kay Baad Hi Aap Weight Lose Karnay Ka K2 Conquer Kar Sakain Gay.

شیئر

جواب لکھیں