Sugar Yani Cheeni Ko Hamari Zindagi Main Aik Khas Haisiyat Aur Ehmiyat Hasil Hay. Hamari Khoraak Ka Bara Hissa Cheeni Say Bani Cheezon Per Mushtamil Hay. Laikin Meethi Zindagi Kay Liay Cheeni Hi Zaruri Nahi, Jaggery Yani Gurr Aap Ko Is Say Bhi Acha Zaiqa Day Sakta Hay.

Dunya Ka 60% Gurr India Main Produce Hota Hay, Aur Wohi Sab Say Bara Consumer Bhi Hay. Southwest Asia Main Gurr Say Bani Dishes Buhat Popular Hain. Ye Sugar Cane Yani Gannay Say Bani Unrefined Sugar Hoti Hay. Iss Ko Sweet Dishes Aur Doosray Meethon Main Istemaal Kiya Jata Hay.

Gurr Main Concentrated Sugar Cane Liquid Shamil Hota Hay. Is Ki Tayari Main Gannay Kay Tukray Kerkay Rollers Main Press Kiye Jatay Hain. Nikalnay Walay Juice Ko Boil Kiya Jata Hay Aur Phir Heating Process Hota Hay, Jis Main Impurities Surface Per Float Ho Ker Ajati Hain Aur Unhain Alag Kerdia Jata Hay.

Ziada Boil Honay Kay Baad Iss Liquid Main Moisture Reduce Hojata Hay Aur Sugar Ki Miqdaar Barh Jati Hay Aur Yeh Gaarhay Liquid Ki Surat Ikhtiyar Ker Laita Hay. Iss Thick Liquid Ko Kisi Container Ya Mold Main Rakha Jata Hay.

Iss Ka Temperature Kam Honay Kay Baad Yeh Mazeed Sakht Honay Laagta Hay. Jab Yeh Mazeed Sakht Halat Mein Aa Jata Hay To Is Ko Blocks Main Kaat Ker Pack Kerdia Jata Hay Aur Yeh Market Say Hum Tak Puhanch Jata Hay.

Gurr
Gurr Aur Brown Sugar

Iss Ki Popularity Ki Aik Waja Yeh Bhi Hay Kay Is Ki Tayari Main Ziada Lamba Process Nahi Hota. Apni Nutritional Value Ki Waja Say Bhi Yeh Buhat Pasand Kiya Jata Hay. Iss Main Shamil Micronutrients Iss Kay Flavor Ko Mazay Daar Banatay Hain.

Gurr Ko White Sugar Ka Alternate Bhi Kehtay Hain. Iss Ko Nutritional Boost Kay Liye Bhi Istemaal Kiya Jata Hay.

Gurr Main Maujood Iron, Potassium, Magnesium Aur Manganese Aap Ki Sehat Kay Liye Buhat Faida-Mand Hota Hay. One-Half Cup (118 Milliliters) Gurr Main 11 Grams Iron Hota Hay. Half Cup Gurr Main 30% Potassium Aur 20% Magnesium Shamil Hota Hay.

Health Experts Bhi Kehtay Hain Kay White Sugar Ka Istemaal Kam Kerkay Apni Ghiza Main Gurr Ko Laazmi Hisaa Banana Chahiye.

شیئر

جواب لکھیں