Covid-19 Kay Baad Dunya Badal Gai Hay. Jahan Work From Home Jaisay Concepts Samany Aaey Waheen Memory Per Load Ziada Para Hay. Memory Ko Strong Kernay Kay Liye Buhat Say Aisay Methods Aur Techniques Maujood Hain Jo Proved And Tested Hain. In Main Say Kuch Ko Harvard University Nay Bhi Officially Approve Kia Hay Aur Aik Particular Technique Aisi Hay Jo Centuries Say Memory Improve Kernay Kay Liye Istemaal Horahi Hay.

Ap Apni Memory Ko Sharp Kerna Chahtay Hain Tou Mnemonics Technique Ko Follow Kerain. Greek Philosophers Tak Iss Technique Ko Follow Kertay Hoay Khudh Ko Manwa Chukay Hain.

Mnemonics Kia Hota Hay?

Mnemonics (Latin: Memoria Technica) Aik Device Ya Technique Hoti Hay Jo Memory Ko Improve Kernay Kay Liye Use Hoti Hay. Iss Say Unfamiliar Cheez Ko Familiar Say Link Kia Jata Hay Takay Recall Kertay Hoay Aap Ko Yaad Rahay.

Mnemonics Kay Meanings Kia Hain?

Raftar Bharne Do

Collins Dictionary Main Bataya Gaya Hay Kay Mnemonics Main Kisi Word, Short Poem, Sentence Ko Use Kiya Jata Hay Takay Aap Ko Baat Yaad Rahay. Iss Ko Scientific Rules Aur Spelling Rules Kay Liye Bhi Istemaal Kia Jasakta Hay.

Yeh Kisi Baat Ko Yaad Rakhnay Ya Memory Kay Liye Bhi Istemaal Hoti Hay. Roman Aur Greeks Ka Man'na Hay Kay Memory Ki 2 Types Hoti Hay, Aik Natural Aur Doosri Artificial. Mnemonics Ko Artificial Main Include Kia Gaya Hay.

Music Mnemonics Main Songs Ya Jingles Use Hotay Hain. Name Mnemonics Main Jaisay Rainbow Main Shamil Colors Ko Yaad Rakhnay Kay Liye Jo Term Use Hoti Hay Us Ko VIBGYOR Kehtay Hain.

Expression Aur Word Mnemonics Main Hum Her Word Ka Pehla Letter Lay Ker Aisa Sentence Banatay Hain Jo Hum Ko Yaad Rehta Hay. Model Mnemonics Main Memorize Kernay Kay Liye Think Graphs Aur Pie Charts Ka Sahara Kiya Jata Hay.

Iss Kay Ilaqa Ode Mnemonics Main Inform Ko Poem Ki Form Main Tarteeb Kiya Jata Hay. Note Organization Mnemonics Main Koi List Ya Flash Cards Ko Istemaal Kiya Jata Hay.

Image Mnemonics Main Information Ki Madad Say Image Tayar Kiya Jata Hay Takay Kaam Ki Baat Yaad Rahay.

Connection Mnemonics Main Phelay Say Moujod Knowledge Ko New Information Say Link Kiya Jata Hay.

Jab Aap Kisi Style Ko Follow Kerna Chahtay Hain Tou Aap Yeh Baat Zaroor Daikhtay Hain Kay Kaunsa Style Aap Kay Liye Effective Rahay Ga. Is Say Aap Apnay Kaam Ka Data, Information, Koi New Language Ya Koi Waqiya Bhi Yaad Rakh Saktay Hain.

Iss Technique Ko Follow Kertay Hoay Aap Old Age Main Bhi Khud Ko Mentally Active Aur Sharp Memory Skills Kay Hamil Hosaktay Hain. Best Possible Mnemonics Ko Choose Kerkay Uss Ko Routine Ka Hisa Banaein Aur Phir Implement Kerain Takay Aap Society Ka Integral Part Ban Ker Reh Sakain.

شیئر

جواب لکھیں