Acchi Job Hasil Her Kisi Ka Khwab Hota Hay. Ager Pasand Ki Job Mil Jaey To Kuch Aisay Steps Lena Partay Hain Jin Say Aap Ko Future Main Koi Pareshani Nahi Hogi.

Researchers Ka Kehna Hay Kay Senior Management Appointments Main 46% Decisions, Yani Appointments, Aisay Hotay Hain Jin Ko 2 Saal Baad Failures Ya Disappointments Samjha Jata Hay. To New Job Par Aisa Kia Karain Kay Aap Ko Failure Na Samjha Jaey? Business Leaders Kuch Tips Daitay Hain Jinhain

Objectives Clear Rakhain

Kisi Achi Jaga Job Milnay Kay Baad Jald-Az-Jald Us Kay Scope Per Clarity Hasil Kerlain.

Jab Aap Kisi New Role Main Job Shuru Ker Rahay Hotay Hain, To Aap Ko Aik Structure Create Kerna Hota Hay. Aap Ko Yeh Samajhna Hoga Kay Aap Ko Kia Mil Sakta Hay Aur Apnay Kaam Ko Poora Kernay Kay Liya Apnay Steps Clear Rakhna Hongae.

Apni Position Per Apnay Role Ka Bharpoor Pata Hona Chaheye. Yeh Iss Liye Zaroori Hay Kion Kay Aap Kay Sath Kaam Kernay Walon Ko Pata Ho Kay Aap Ka Focus Kin Cheezon Per Hoga. Aap Ko Apni Team Aur Un Ki Responsibilities Per Bhi Clarity Honi Chahiye Kion Kay Aap Her Kaam Khud Tanha Nahi Ker Saktay.

Yeh Bhi Zaroori Hai Kay Bari Positions Per Aanay Walay Naye Log Apnay Colleagues Kay Sath Waqt Guzarain. Aap Ko Apnay Colleagues Ko Dar Paish Challenges Ka Pata Hona Chaheye Takay Un Ko Solve Kernay Aur Solutions Main Bhi Aap On Board Rahain.

Azmaye Hoay Ko Phir Na Azmain

“New Starters” Ko Pehle Say Applied Techniques Kay Ilawa Bhi Kuch Naya Kerna Hoga. Aisa Kernay Say Kaam Main Uniqueness Aaey Gi Aur Yeh Bhi Jan'na Zaroori Hai Kay Her Technique, Kisi Bhi Jaga Par Implement Nahi Hoti.

Yeh Bhi Clear Kia Gaya Kay Kuch Log New Organization Main Ja Ker Wohi Pehlay Wali Techniques Continue Kernay Ki Koshish Kertay Hain, Yeh Theak Nahi Aur Iss Waja Say Kaam Main Productivity Nahi Aati Aur Results Milna Bhi Possible Nahi Rehta.

Aik Organization Ya Region Main Use Honay Wali Strategies New Place Main Aam Toar Per Kaam Nahi Kertein. Kisi New Role Main Aana Aur Sab Ko Pehlay Ki Tarha Treat Kerna Aik Tarha Say “Shortcut To Failure” Hota Hay.

Dil Jeetna Seekhain

Formula One Kay CIO Nay Bauhat Piyari Baat Ki. Un Ka Kehna Tha Kay Kisi Organization Main Bari Post Per Anay Walay Naey Afraad Ko Chaheye Kay Woh Apnay Kaan Khulay Rakhain Takay Woh Yeh Jaan Sakain Kay Un Kay Sath Kaam Kernay Waloon Ko Kaunsay Challenges Dar Paish Hain.

Yeh Bhi Advice Ki Kay Bari Posts Per Aaker Apni Team Say Engage Kerna Aur Un Ki Baat Ko Sun'na Acha Rehta Hay. Yeh Iss Liye Hota Hay Kion Kay Aap Yeh Jaan Sakain Kay Kuch Kaam Kion Nahi Waqt Per Hotay Ya Ma'mlaat Kion Theak Nahi Hain, Iss Liye Apnay Atraaf Logon Say Discussion Zaroori Hoti Hay.

Jab Aap Ko Yeh Challenges Samajh Ajaein Gae, Tou Aap Ko Un Ko Face Kerna Ya Solution Talash Kernay Main Koi Mushkil Nahi Hogi.

Ager Aap Ko Yeh Mehsoos Ho Kay Waqi Mamlat Theak Nahi Hain Tou Aap Ko Unhay Fix Kernay Kay Liye Commitment Kerna Hogi. Aisa Honay Say Loog Aap Per Trust Kernay Lagaein Gae.

Value Show Kernay Kay Liye Steps Lain

Kisi Bari Post Per Aker Khud Ko Prove Kernay Ka Key Factor Hay Apnay Aims Quickly Identify Kerna. Phir Yeh Bhi Zaroori Hay Kay Un Aims Ko Deliver Kerain.

Aap Ko Aisa Vision Darkaar Hoga Jis Say Yeh Zahir Ho Kay Aap Logon Ko Unite Kerna Chahtay Hain. Aisay Values Set Kerain Jo Aap Ki Honesty Zahir Kerain.

Yeh Zaroori Hay Kay Aap Kay Pass Koi Mission Aur Clear Set Of Goals Bhi Hon. Aap Ko Un Goals Ko Poora Kernay Kay Liye Kaam Kerna Hoga. Ager Aap Kay Key Stakeholders Yeh Daikhain Gae Kay Unko Apni Investment Kay Against Results Nahi Mil Rahay Tou Aap Yeh Jaan Lain Kay Aap Kay Kisi Bhi Kaam Ki Koi Value Nahi Rahay Gi.

Field Main Loogon Sai Milain

Kisi Bhi Bari Post Per Anay Walay Shaks Kay Liye Zaroori Hay Kay Woh Field Main Nazar Aye.

Yeh Zaroori Hay Kay Aap New Position Per Aanay Kay Baad, Jitney Logon Say Mil Saktay Hain, Mil Lain. Un Ko Waqt Dain Aur Un Say Discussions Kerain.

Yeh Clear Hay Kay Logon Say Engagement Barhanay Say Aap Ko Vision Milay Ga Aur Aap Ki Approach Far Sighted Hogi.

شیئر

جواب لکھیں