Pakistan Super League Key 8th Edition Kay Liay Maidan Tayar Hay. Umeed Hay Is Saal Bhi Kai Zabardast Muqablay Dekhnay Ko Milain Gay. Laikin Jab Tak Season Shuru Ho Tab Tak Hum Zara PSL History Kay 5 Best Matches Dekhtay Hain. Aayen Sub Say Pehlay Chaltay Hain First Season Ki Taraf:

Quetta-Peshawar Rivalry Ka Aghaz

PSL Ka First Season Uncertainty Kay Sath Shuru Hua. Kuch Pata Nahi Tha Ke Cricket Ho Bhi Sakay Gi Ya Nahi Aur Hogi Bhi To Kaisi Hogi? Tab 2016 Mein Kuch Matches Aisay Huay Jinhon Nay Bata Dia Ke PSL Aik Competitive League Hogi.

Is Season Ka First Qualifier Quetta Gladiators Aur Peshawar Zalmi Kay Darmiyan Hua, Jis Main Last Over Mein Zalmi Ko 8 Runs Ki Zarurat Thi. Wahab Riaz Nay 2nd Ball Par Boundary Lagai To Equation Aur Asaan Hogai. Laikin Samnay Bhi Aizaz Cheema Thay, Asia Cup 2012 Fame Aizaz Nay Us Din History Repeat Kardi.

Last 3 Balls Par Sirf 3 Runs Ko Defend Kar Kay Aizaz Nay Aik Bar Phir Khud Ko Sabit Kar Dia. Unhon Nay 2 Consecutive Deliveries Par Hasan Ali Aur Wahab Riaz Ko Out Kia Aur Last Ball Par Gladiators Ko Jitwa Dia. Quetta Sirf Aur Sirf 1 Run Say Jeeta Aur Final Mein Puhanch Gaya.


King Pollard

Karachi Lahore Rivalry Hay Buhat Purani, Aur PSL Isay Next Level Par Laya. First Season Mein Mohammad Amir Ki Hattrick Thi Aur Next Season Mein To Kieron Pollard Nay Aag Laga Di.

PSL 2017 Mein In Arch-Rivals Kay Match Mein Karachi Kings Ko 156 Runs Ka Target Mila. Last 2 Overs Bachay Tab Bhi 28 Runs Baqi Thay. Pollard Nay Sohail Tanvir Ko Six Laga Kar Equation Last Over Mein 14 Runs Tak Puhancha Di.

Last Over Tha Aamer Yamin Kay Paas, Jin Ki First 4 Balls Par Sirf 4 Runs Banay. Jab Kuch Na Bacha, Tab Pollard Ka Jadu Chala. Unhon Nay Last Donon Balls Par Sixes Laga Kar Match Finish Kardia. Un Ki Pushup Celebration Kay Sath Hi Lahore Qalandars Tournament Say Bahar Ho Gaey.


Shinwari Ka Brain Fade Moment

2018 Mein Bhi Karachi Kings Aur Lahore Qalandars Ka Aik Yadgaar Muqabla Hua. Shayad PSL History Ka Sab Say Shandaar Match.

Yahan Last Over Mein Lahore Ko 16 Runs Ki Zarurat Thi. Jab Usman Shinwari Nay Wo Kia, Jo Sirf Wohi Kar Saktay Thay. Sohail Akhtar Nay Unhain Consecutive Balls Par Four Aur Six Laga Dia. Aur Jab Last Ball Par 3 Runs Ki Zarurat Thi Tab Boundary Line Par Catch Day Dia.

Laikin... Laikin... Laikin... Replay Mein Pata Chal Ye To No-Ball Tha. Last Ball Par Bhi Run Out Hua Aur Match Ho Gaya Tie.

Karachi Aur Lahore Ka Muqabla, Wo Bhi Super Over Mein? Blood Pressure Shoot Kar Gaya, Dil Dharakna Bhool Gaya. High Intensity Moment Mein Lahore Nay Karachi Ko 11 Runs Ka Target Dia. Laikin Jab Bowler Sunil Narine Hon To Ye Bhi Buhat Mushkil Target Hay.

Colin Ingram Ka Out Hona Aur Lendl Simmons Ki Miss-Hits Kay Baad Shahid Afridi Ka Last Ball Six Bhi Karachi Kay Kaam Nahi Aaya. Lahore Jeet Gaya Aur Pichlay Saal Ka Badla Lay Lia.


Anwar Ali, Do Chaar Haath Jab...

Quetta Gladiators Aur Peshawar Zalmi Kay Matches To Hamesha Treat To Watch Hotay Hain. 2018 Mein To Donon Eliminator Mein Aamnay Samnay Aa Gaey, Yani Jo Haara Wo Bahar.

Yahan 158 Runs Ko Chase Kartay Huay Quetta Ka Haal Acha Nahi Tha. Last Over Mein Usay 25 Runs Ki Zarurat Thi Aur Sirf 2 Wickets Baqi Theen. Yahan Anwar Ali Nay Wo Kia, Jo Buhat Kam Players Kar Patay Hain. Unhon Nay Liam Dawson Ko Aik Four Laganay Kay Baad Next 4 Balls Par 3 Sixes Bhi Laga Diay.

Last Ball Par Quetta Ko 3 Runs Required Thay, Anwar Ali Match Nikaal Gaey Thay, Laikin Phir Un Ka Skier Long On Par Catch Bantay Bantay Drop Ho Gaya.

Quetta Ko Jeet Jana Chahiye Tha Laikin Anwar Ali Aur Mir Hamza Itni Dair Mein Bhi 2 Runs Nahi Daur Sakay. Kam Az Kam Match Tie Ho Kar Super Over Mein To Chala Jata. Laikin Yahan Mir Hamza 2nd Run Laitay Huay Run Out Ho Gaey Aur Is Baar Peshawar 1 Run Say Jeet Gaya.


Usman Shinwari, Unexpected Hero

Quetta Gladiators 2019 Mein Aik Baar Phir Receiving End Par Aaya. Is Martaba Karachi Ka National Stadium Tha Jahan Opponent Tha Karachi Kings. Quetta 191 Runs Chase Kartay Huay Perfect Position Mein Tha, Usay Last Over Mein Sirf 5 Runs Ki Zarurat Thi.

Karachi Nay Ball Di Usman Shinwari Ko, Jo Historical Baggage Rakhtay Thay. Puranay Daagh Mitanay Ka Mauqa To Mila, Laikin Samnay Thay Dangerous Anwar Ali.

Tab Usman Shinwari Nay First 3 Balls Par Ahmed Shehzad Aur Anwar Ali Donon Ko Out Kar Dia Aur Jab 2 Balls Par 3 Runs Required Thay, Tab Sarfraz Ahmed Ko Bhi Clean Bowled Kar Kay Match Phansa Dia. Last Ball Par Sohail Tavir Kuch Nahi Kar Sakay Aur Karachi Sirf 1 Runs Say Jeet Gaya. Usman Shinwari Aik Unexpected Hero Ban Kar Niklay.

Pakistan Super League Mein Zabardast Muqablay Har Season Mein Hotay Hain. Aap Kay Khayal Mein PSL 2023 Mein Kin Teams Kay Matches Sab Say Achay Hongay?

شیئر

جواب لکھیں