Kaun Keray Ga 2030 FIFA World Cup Ki Mezbani? Iss Kay Liay South American Nations Nay To Joint Bid Kerdi Hay. Argentina, Chile, Paraguay Aur Uruguay Ki Khwahish Hay Kay 2030 FIFA World Cup Ki Mezbani Jointly Unhain Milay.

Kia FIFA World Cup 100 Saal Baad Dobara Uruguay Main Khela Jaei Ga? Iss Ka Faisla Next Year Tak Hojaey Ga. Yaad Rahay Kay Pehla FIFA World Cup 1930 Main Uruguay Main Khela Gaya Tha.

Is Liay President Of The South American Football Confederation Alejandro Dominguez Keh Rahay Hain Kay 2030 World Cup Sirf Aik Tournament Nahi Balkay First World Cup Kay 100 Years Ki Celebration Hoga.

World Cup Hosting Bids

2030 World Cup Host Karnay Kay Liye Interested Nations Kay Darmiyan Competition Intense Hogaya Hay. South American Nations Kay Ilawa Iss Waqt Spain, Portugal Aur Ukraine Bhi Joint Bid Kay Liya Tayar Hain. In Nations Ko European Governing Body UEFA Nay Back Kia Hay.

In Kay Ilawa Saudi Arabia, Morocco, Greece Aur Egypt Bhi Bid Kay Liye Application Submit Kerwana Chahtay Hain.

Next FIFA World Cup 2026 Main Hoga Jis Kay Joint Host United States, Mexico Aur Canada Hongay. Yeh Pehla Moqa Hoga Kay Jab 3 Nations Kisi FIFA World Cup Kay Aik Sath Host Banain Gay.

FIFA World Cup Her 4 Saal Baad Hota Hay Aur Qatar Middle East Ka Pehla Mulk Bana, Jahan Last Year October Aur November Main World Cup Khela Gaya Tha.

Pehla FIFA World Cup

World Cup Ka Aghaz 1930 Mein Hoa. Jis Mein Mezbani Ki Thi South America Kay Mulk Uruguay Nay.

Uruguay Ko Pehlay World Cup Ki Mezbani Is Liye Mili Kyunkay Woh Uss Waqt Economically Buhat Ameer Mulk Tha. Wo Us Waqt Football World Main Super Power Bhi Samjha Jata Tha. Us World Cup Say Pehlay Donon Summer Olympics 1924 Aur 1928 Main Uruguay Nay Hi Gold Medal Hasil Kia Tha. Uruguay Ki Janib Say FIFA Ko Ye Offer Tak Ki Gai Thi Ke World Cup Mein Shareek European Teams Kay Saray Expenses Wo Khud Pay Karay Ga. Laikin Is Offer Kay Baad Bhi European Teams Is Event Mein Nahi Aaein.

Khair, Final Uruguayan Capital Montevideo Kay Estadio Centenario Main Argentina Aur Uruguay Mein Hua. Donon Teams Nay Jeet Kay Liye Bharpur Zor Lagaya. Sakht Muqablay Kay Baad Uruguay 4-2 Say Jeet Gaya. Youn Pehla World Cup Hi Host Nation Kay Naam Raha.

Ab Argentina Kay President Alberto Fernandez Nay Tweet Kertay Hoay Kaha Hay Kay Yeh Buhat Hi Khushi Ki Baat Hogi Ager 100 Saal Baad World Cup Dobara Us Jaga Per Hoga Jahan Pehlay Hoa Tha. Unhon Nay Yeh Bhi Kaha Hay Kay Woh Bolivia Ko Bhi Joint Host Kay Toar Per Propose Kerna Chahtay Hain.

شیئر

جواب لکھیں