Football World Cup Ka 22nd Edition Bus Shuroo Honay Hi Wala Hay. Is World Cup Kay Liye Qatar Nay 2010 Main Bid Jeeti Thi Aur Yun Pehla Arab Mulk Ban Gaya Jo FIFA Football World Cup Ki Mezbani Karay Ga.

Waisay To Host Nation Ko World Cup Main Edge Hota Hay. Laikin Qatar Kay Liay World Cup Jeetna Namumkin Nahi Laikin Mushkil Zaroor Hay. Host Nation Kay Liay Tournament Hamesha Favourable Nahi Rehta. Kabhi Kabhi Expectations Ka Pressure Buhat Zyada Hota Hay. Phir Bhi Kuchh Teams Aisi Hain Jinhon Nay Is Pressure Ko Bardasht Kia Aur Home Ground Par World Cup Trophy Uthai.

History Mein 17 Mulk Aisay Hain Jinhon Nay Ab Tak 21 World Cup Events Ki Mezbani Ki Hay. In Mein Say Sirf 6 Bar Aisa Hoa Kay Host World Cup Jeetnay Main Kamyab Hua.

YearHost & ChampionRunner-up Score
1930UruguayArgentina4-2
1934ItalyCzechoslovakia2-1
1966EnglandWest Germany4-2
1974West GermanyNetherlands2-1
1978ArgentinaNetherlands3-1
1998FranceBrazi3-0

Last 24 Years Main Host Kabhi World Cup Nahi Jeet Saka. Balkay Is Doran To Aik Host First Round Mein Hi Bahar Hua. South Africa, Jis Nay 2010 Kay World Cup Mein First Round Exit Bardasht Kia Aur Lagta Hay Qatar Kay Sath Bhi Yahi Hoga.

Mazay Ki Baat Ye Ke Pehlay Donon World Cup Tournaments Host Teams Nay Jeetay Thay. 1930 Mein Uruguay Aur 1934 Mein Italy Nay. Us Kay Baad 1966 Mein England, 1974 Mein West Germany, 1978 Mein Argentina Aur 1998 Mein France Nay Ye Karnama Anjam Dia.

Brazil Aur Sweden Wo Unlucky Teams Hain, Jinhon Nay Home Ground Par World Cup Final Hara. Brazil Nay 1950 Mein Aur Sweden Nay 1958 Mein Ye Heartbreaking Moments Dekhay.

1930: Pehla World Cup Aur Uruguay

World Cup Ka Aghaz 1930 Mein Hoa. Jis Mein Mezbani Ki Thi South America Kay Mulk Uruguay Nay. 3 July Say 30 July Tak Honay Walay Is Event Main Sirf 13 Teams Shamil Theen.

Raftar Bharne Do
(Photo: FIFA.com)

Uruguay Ko Pehlay World Cup Ki Mezbani Is liye Mili Kiyunkay Woh Uss Waqt Economically Buhat Prosperous Nation Thi. Uruguay Ko Us Waqt Football World Main Super Power Bhi Samjha Jata Tha. Is World Cup Say Pehlay Donon Summer Olympics, 1924 Aur 1928, Main Uruguay Nay hi Gold Medal Hasil Kia Tha. Uruguay Ki Janib Say FIFA Ko Ye Offer Tak Ki Gai Thi Ke World Cup Main Ki Sab European Teams Saray Expenses Wo Khud Pay Karay Ga. Laikin Is Offer Kay Baad Bhi European Teams Is Event Mein Nahi Aein.

Is Liay Uruguay Favorite Ban Gaya. Pehlay Match Main Peru Ko 1-0 Say Shikast Di. Phir Romania Ko Dosra Match Main 4-0 Say Haraya. Semi Final Main Uruguay Ka Samna Yugoslavia Say Hoa. Iss Match Main Host Team Nay 6-1 Say Fatah Pai.

Final Uruguayan Capital Montevideo Kay Estadio Centenario Main Argentina Aur Uruguay Mein Hua. Dono Teams Nay Jeet Kay Liye Bharpur Zoar Lagaya. Sakht Muqablay Kay Baad Uruguay Nay 4-2 Say Baazi Maar Li. Yun Pehla World Cup Hi Host Kay Naam Raha.

1934: Aik Aur World Cup, Aik Aur Mezban

Doosray World Cup Ki Mezbani Italy Ko Di Gai. Yeh Pehli Aur Akhri Baar Hua ke Host Ko FIFA World Cup Kay Liye Qualification Round Kehlna Para.

Khair, 1934 Mein World Cup 27 May Say 10 June Tak Khela Gaya. 16 Teams Nay Main Round Mai Hissa Liya.

Iss Baar Tournament Knock-Out Format Per Kehla Gaya Tha. Is World Cup Mein Match Draw Ho Janay Par 30 Minutes Ka Extra Time Diya Gaya. Laikin Us Mein Bhi Match Draw Ho Gaya To Aglay Din Match Dobara Hota. Wah Bhai!

Khair, Defending Champion Uruguay Nay As A Protest Event Main Shirkat Nahi Ki. First World Cup Mein European Teams Kay Shirkat Na Karnay Ki Waja Say.

Ab Host Italy Favourite Tha. Un Ki Team Bhi Buhat Zabardast Thi Laikin Us Nay Apni Marzi Kay Faislay Lainay Kay Liye Referees Ko Pressurize Kia.

Raftar Bharne Do
(Photo: FIFA.com)

Italy Final Tak Bhi Puhancha Jahan Us Ka Samna Czechoslovakia Say Hua. Mehmaan Team Nay Pehlay Goal Kia Aur Lead Hasil Ki, Jis Ko Italy Nay Baad Mein Equal Kardia. Extra Time Main Italy Nay Goal Kia Aur Muqabla 2-1 Say Apnay Naam Kar Lia.

Yeh Muqablay Italy Kay 8 Grounds Main Kehlay Gaey Aur Iss Baar Bhi Hazroon Supports Har Match Main Ground Main Moujoud Hotay Thay.

1950: The Blow of Maracanã

1950 Main World Cup Ki Mezbani Brazil Ko Mili. Ye Pehla Mauqa Tha Ke Latin America Kay Is Mulk Ka Football Talent Khul Ker Samnay Aya. 24 June Say 16 July 1950 Tak Honay Walay Is Event Main Germany Aur Japan Ko World War 2 Ki Waja Say Banned Kia Gaya Tha.

Political Grounds Per Soviet Union, Hungary Aur Czechoslovakia Nay Event Main Hissa Nahi Liya. Argentina Nay Brazil Ki Football Federation Kay Sath Conflict Ki Waja Say Qualification Round Main Hi Event Ka Boycott Kar Dia Tha.

France Aur India Nay Qualify Kernay Kay Bawajoud, Kuch Reasons Ki Waja Say Event Ka Boycott Kiya. Iss World Cup Main Sirf 13 Teams Nay Hissa Liya.

Phir Brazil Kay 6 Cities Mein Yeh Matches Huay. Is World Cup Kay Liay Rio de Janeiro Mein Aik Naya Stadium 'Estádio do Maracanã' Banaya Gaya, Jis Main 2 Lakh Afraad Ki Gunjaish Thi.

Brazil Ki Team Nay Iss Tournament Main Behtareen Khel Paish Kiya. Host Team Nay Switzerland Kay Khilaf Draw To Khela, Phir Bhi Aglay Round Main Pohanch Gaya.

Final Round Main Brazil Nay Sweden Ko 7-1 Aur Spain Ko 6-1 Say Shikast Di. Yahan Lag Raha Tha Ke Brazil Easily World Champion Ban Jaey Ga. Phir Final Bhi Aa Gaya, Jab Estádio do Maracanã Main Brazil Ka Samna Kia Uruguay Nay.

Raftar Bharne Do
Brazil Ki History Ka Sab Say Bura Din (Photo: ZUMA Press)

Brazil Nay Apnay Behtareen Khel Say Yeh Yaqeeni Banaya Ke Woh Title Jeet Jaey. Uruguay Bhi Apnay Shandar Khel Ki Waja Say Brazil Ki Raah Main Rukawat Tha.

Dono Teams Main Uss Waqt Kay Super Stars Thay. Jab Semi-Finals Jeet Kar Donon Nay Final Kay Liye Qualify Kiya To Sub Jantay Thay Ke Football World Cup Ka Final Aik Behtareen Match Hoga.

Phir, Final Match Ko Taqreeban 2 Lakh Afraad Nay Stadium Main Dekha. Match Mein Brazil Nay 1-0 Ki Lead Bhi, Laikin 66th Aur 79th Minute Mein Uruguay Nay 2 Goals Mar Kar Maidan Maar Lia. Brazil Mein Aaj Bhi Is Match Ko 'The Blow of Maracanã' Kehtay Hain.

1958: Aisay Kaisay?

6th World Cup Sweden Main Khela Gaya. 8 Say 29 June 1958 Tak Jaari Rehnay Walay Iss Event Main 16 Teams Nay Hissa Liya.

Host Nay Pehlay Match Main Mexico Ko 3-0 Say Haraya. Group Stage Main Apnay Dosray Matches Main Hungary Ko 2-1 Say Shikast Di Aur Wales Kay Khilaf 0-0 Say Draw Khela.

Laikin Us Kay Baad Zabardast Khel Dikhaya. Quarter Final Main Soviet Union Ko 2-0 Say Hara Kar Bahar Kia. Semi Final Main West Germany Ko 3-1 Say Haraya Aur Final Mein Jaga Bana Li.

Laikin, Sweden Ki Qismaat Dekhain, Final Brazil Say Parr Gaya. Yahan Sakht Muqabla Hua Aur Aik Emerging Star Pele Nay Sweden Ka World Cup Jeetnay Ka Khwab Torr Dia.

Brazil Nay Final Mein Sweden Ko 5-2 Say Shikast Day Di. Ye Brazil Ka Pehla World Cup Tha, Jis Kay Baad Wo Mazeed 4 Martaba World Champion Bana Hay.

1966: England Ka Only World Cup

1966 Main Honay Walay 8th World Cup Ka Host England Tha. 11 Say 30 July Tak 14 Teams Nay World Cup Finals Main Muqabla Kia.

Pehli Baar Tournament Main Flood Lights Ka Istemaal Hua. England Nay Start Kuch Khaas Nahi Lia. Uruguay Kay Against Match 0-0 Say Draw Hua. Laikin Doosray Match Mein Mexico Ko 2-0 Say Haraya. Phir France Ko Bhi Isi Margin Say Shikast Di Aur Quarter Final Mein Puhanch Gaya. Yahan England Nay Favorite Argentina Ko 1-0 Say Hara Kar Bahar Kar Dia.

Semi-Final Main England Kay Samnay Portugal Ki Team Thi. Yahan Bhi Host Nay 2-1 Say Maidaan Mar Lia.

Final Main England Ka Muqabla West Germany Say Hua. England Ki Team Main Forward Line Main Bobby Charlton, Geoff Hurst Aur Roger Hunt Ka Torr Kisi Opponent Team Kay Pass Nahi Tha. England Ki Team 4-2 Say Final Jeeti. Aur Pehli World Champion Bani. Kisay Maloom Tha Ke England Is Kay Baad Kabhi World Cup Nahi Jeetay Ga.

1974: Naya Cup, Naya Champion

West Germany Nay 1974 Main 10th World Cup Ki Mezbani Ki Thi. 13 June Say 7 July Tak Honay Walay Iss Tournament Main 16 Teams Moujoud Theen.

FIFA World Cup Ki Current Trophy Ko Pehli Baar Iss Event Say Introduce Kiya Gaya Tha. Iss Say Pehlay Jules Rimet Trophy Ko World Cup Ka Status Hasil Tha. Jo 3 Baar Jeetnay Par Permanently Brazil Ko Day Di Gai Thi. Ab Aik New Trophy World Cup Thi, Jisay Silvio Gazzaniga Nay 18 Karat Gold Say Tayyar Kiya Tha.

Yahan Host West Germany Apnay Pehlay Match Main Chile Kay Khilaf 1-0 Say Jeeta. Doosray Match Main Australia Ko 3-0 Say Haraya. Jis Kay Baad Hua Tournament Ka Sab Say Dilchasp Match, West Germany Aur East Germany Kay Darmiyan.

Ye Cold War Era The Jis Mein East Germany Nay West Germany Ko 1-0 Say Shikast Day Di. Ye World Cup History Mein East Germany Ki Wahid Shirkat Thi.

Phir Second Round Main West Germany Nay Yugoslavia Ko 2-0 Say Haraya Aur Sweden Ko 4-2 Say Shikast Di. Phir Poland Kay Khilaf Match Bhi 1-0 Say Host Kay Naam Raha.

West Germany Final Main Puhancha, Jahan Us Ka Muqabla Hot Favorite Netherlands Say Hua. Laikin West Germany 2-1 Say Ye Match Jeet Gaya Aur Title Apnay Naam Kia. Aur Ye Khoobsurat Trophy Uthai.

1978: Argentina Ka Pehla World Cup Title

Argentina Ki Team Pehli Baar 1978 Main 11th World Cup Ki Host Nation Bani. 1st Say 25th June Tak Honay Walay Is Event Main 15 Teams Maujoud Theen.

Argentina Nay Hungary Ko 2-1 Aur Phir France Ko Isi Score Say Hara Kar Start Lia. Phir Argentina Aur Poland Kay Match Main Bhi Maidan 2-0 Say Argentina Kay Naam Raha.

Brazil Aur Argentina Ka Zabardast Match 0-0 Say Draw Raha. Yahan Tak Ke Final Mein Puhanch Gaey, Jahan Argentina Ka Muqabla Hua Netherlands Say.

Phir Argentina 3-1 Say Fateh Raha. Mario Kempes Nay Host Team Ki Taraf Say Behtareen Khel Paish Kiya. Aur Yoon Netherlands Aik Baar Phir Haar Gaya.

1998: Zidane Aur 'Mighty' Brazil

16th World Cup 1998 France Mein Khela Gaya. Jis Mein Bar 32 Teams Shamil Theen.

South Africa, Croatia Aur Jamaica Nay Pehli Baar World Cup Finals Main Jaga Banai.

Group Stages Main Host France Nay South Africa Ko 3–0 Say, Phir Saudi Arabia Ko 4–0 Say Haraya. Denmark Kay Against Aik Important Match Mein Bhi 2–1 Say Kamyabi Hasil Ki.

Round of 16 Main France Nay Golden Goal Per Paraguay Ko 1–0 Say Shikast Di. Quarter Final Main Italy Ko Penalties Per 4-3 Say Shikast Di.

Phir Semi-Final Main France Ka Muqabla Hua 'Khatarnaak' Croatia Ko 2-1 Say Haraya.

Ab Final Main Taakra Tha 'Mighty' Brazil Say. France Nay Brazil Ko 1-0 Say Nahi, 2-0 Say Nahi Balkay 3-0 Say Haraya Aur 20 Saal Baad Pehli Baar Koi Host World Champion Bana.

Is World Cup Mein Zinedine Zidane Ka Jadu Sir Charh Ker Bola Tha. FIFA World Cup Final Main Un Kay 2 Goals Dekhnay Say Taluq Rakhtay Thay. Baad Mein Zidane Ko Tournament Ka Behtareen Player Bhi Qarar Diya Gaya.

Kya Qatar Is Baar History Repeat Kar Sakta Hay? Ya Kisi Host Nation Kay Jeetnay Kay Liay Hamain Abhi Kai Saal Intizar Karnay Parray Ga.

شیئر

جواب لکھیں