Turkey Kay Sheher Istanbul Main Taksim Square Per Sunday Ki Sham Honay Walay Khudh Kush Dhamakay (Suicide Bombing) Nay Is Peaceful Sheher Main Khouf Phaila Diya Hay. Istanbul Kay European Hissay Main Maujod Iss Jagha Rozana Hazaron Afraad Atay Hain. Ye Tourists Mein Bhi Buhat Maqbool Jaga Hay.
Taksim Ka Matlab Division Ya Distribution Hay. Waisay To Ye Arabic Language Ka Word Hay, Laikin Urdu Mein Bhi Aam Bola Jata Hay. Is Ka Ye Naam Para Kaisay? Asal Main Taqrebun 275 Years Pehlay, Iss Jagha Par Water Pipe Lines Jama Hoti Theen. Aur Yahan Say Hi Water Lines Sheher Kay Doosray Areas Tak Jati Theen. Yani Ya Water Distribution Ka Markaz Tha.
Yahan Per Usmani Doar (Ottoman Era) Ka Patharon Say Tayar Kerda Reservoir Bhi Tha.
Yahan Par Paidal Chalnay Walon Kay Liye Aik Lambi Shopping Street Bhi Hay Jis Ko Istiklal Caddesi (Independence Avenue) Kehtay Hain.
Yahan Per Tram Service Bhi Chalti Hai Jo 1875 Main Shuru Hoi Thi. Yeh Dunya Ki Doosri Sab Say Purani Tram Service Hay.
Taksim Square Ko Tourists Ka Popular Muqaam Kaha Jata Hay. Yahan Kay Resturants, Shops Aur Hotels Buhat Maqbool Hain.
Iss Kay Nazdeek Istanbul Metro Station Bhi Hai, Jis Ki Waja Say Yahan Aana Jana Aasan Hai.
Protests And Violent History
Taksim Square Ko Political History Ki Waja Say Bhi Ehmeyat Hasil Hay. 16 February 1969 Ko, Right Wing Groups Aur Leftists Kay Darmiyan Yahan Honay Walay Protests Main 150 Afrad Zakhmi Huay Thay.
1 May 1977 Ko Labour Day Par Aik Firing Incident Mein Left Wing Kay 36 Afrad Halaak Hogaey Thay.
31 October 2010 Ko Yahan Police Bus Kay Pass Suicide Blast Hoa Tha. Iss Incident Main 15 Police Officers Aur 17 Civilians Zakhmi Hoay Thay.
Taksim Square Ki Current Significance
Taksim Square Aur Iss Kay Surroundings Main Ab Demonstrations, Protests Ya Kisi Bhi Qisam Ki Rally Nikalnay Ki Permission Nahi Hai.
Iss Liya Yahan Police Moujood Rehti Hay, Takay Logon Ko Kisi Gathering Say Roka Ja Sakay.