Khoob Say Khoob-Tar Rehnay Ki Dhun Hamesha Insan Par Sawar Rehti Hay. Chahay Baat Salahiyat Aur Kamyabi Ki Ho Ya Zahiri Shakl Aur Soorat Ki. Waisay To Is Maamlay Main Badnaam Khwateen Hain Laikin Jab Baat Aa Jaey Mard Hazraat Kay Ganj Pan Ki To Mamla Buhat Hasaas Ho Jata Hay. Zyada Tar Mard Heredity Genes Ki Waja Say Ganjay Ho Jatay Hain. Is Maslay Ka Hal Hay Hair Transplant.

Hair Transplant Main Hota Kia Hay?

Hair Fall Kay Baad New Hairs Kay Liye Transplant Ko Asal Balon Ka Naimul-Badal Kaha Jata Hay. Doctor Aap Kay Sar (Head) Kay Baghair Balon Walay Ya Halkay Balon Walay Hissay Per Surgery Kay Zariye Baal Transplant Kertay Hain.

Iss Process Kay Zariye 95-98 % Hairs Dobara Grow Hojatay Hain. Laikin Iss Main Kuch Months Lagtay Hain.

Yeh Aik Surgrical Process Hota Hay. Patient Ko Local Anesthesia Aur Pain Killer Medicine Daiker Pur Sukoon Rakha Jata Hay.

Raftar Bharne Do

Transplant Kis Age Main Behtar?

Medical Experts Ka Kehna Hay Ke Kisi Bhi Mard Kay Liye 25 Saal Ki Age Hair Transplant Kay Liye Behtar Hoti Hai. Yani, Agar Aap Kay Baal Gir Rahay Hon, Aur Aap Transplant Karwana Chahtay Hain To 25 Saal Say Kam Age Main Aisa Process Nahi Kerwana Chahiye.

Research Mai Bataya Gaya Kay Baal Girnay Ka Amal 18 Saal Ki Age Say Shuru Hojata Hay. 35 Say 40 Saal Ki Age Main Ye Girna Kam Hojatay Hain. 50 Say 60 Saal Ki Age Main Baal Girnay Ka Amal Ruk Jata Hay.

Baal Lagwanay Kay Side Effects

Hair Transplant Kay Kuch Side Effects Bhi Hain. Pehlay To Sar Ki Jild (Head Scalp) Per Bleeding Ho Sakti Hay. Infection Aur Head Scalp Per Swelling Yani Soojan Ka Khadsha Rehta Hay. Iss Kay Ilawa Jis Hissay Per Hair Transplant Kia Gaya Ho, Wahan Numbness Bhi Honay Ka Imkaan Rehta Hay.

Yeh Bhi Kaha Jata Hay Ke Heart Issues, Diabetes, Liver Aur Kidney Kay Patients Bhi Hair Transplant Ka Treatment Nahi Karwa Saktay Hain. Aisay Patients Main Infection Kay Chances Ziada Hotay Hain Aur Nuqsaan Ka Khatra Zyada Hay.

Aisa Bhi Dekha Gaya Ke Surgery Kay Baad, Infection Ki Waja Say Transplant Honay Walay Follicles Gir Jatay Hain.

Procedure Kay Baad Care

Hair Transplant Kay Procedure Kay Baad, Halki Topi (Cap) Pehn'na Behtar Rehta Hay. Iss Say Scalp Per Infection Ka Khatra Nahi Rehta.

Procedure Kay Baad, Sonay Kay Liye Sar Sirf Seedha Rakhnay Ki Ijazat Hoti Hay. Pait Kay Bal Sonay Ya Kisi Bhi Taraf Karwat Lenay Say Zakham Mutasir Hosakta Hay.

Raftar Bharne Do

Aisay Afrad Ko Aik Aur Ehteyat Sar Per Pani Kay Istemal Kay Hawalay Say Karni Chahiye. Hair Transplant Kay Baad Agerchay Nahanay Ki Ijazat Hoti Hay. Laikin Pani Ko Sar Kay Un Hisoon Per Daalnay Say Mana Kiya Jata Hay Jahan Yeh Transplant Kiye Gaey Hon.

48 Hours Baad, Sar Per Pani Dalnay Ki Ijazat Hoti Hay Laiken Iss Mamlay Main Bhi Ehteyat Kerna Parrti Hay. One Week Baad, Sar Ko Pani Say Acchi Tarah Wash Kiya Jasakta Hay.

Pakistan Main Hair Transplant Ki Cost

Pakistan Main FUT (Follicular Unit Transfer) or FUE (Follicular Unit Extraction) Ka Process Hota Hay. Transplantation Main 5000 Grafts Laganay Ka Kharcha 1 Lakh Say 1.5 Lakh Rupees Hay. Kuch Cases Main 4 Lakh Rupees Tak Ka Kharcha Ata Hay. Iss Silsilay Main, Mukhtalif Doctors Kay Rates Alag Alag Hotay Hain.

Best Hair Transplant Kahan?

Turkey Ko Hair Transplant Kay Liye Saab Say Behtar Mulk Samjha Jata Hay. Iss Kay Baad Poland, Hungary Aur Spain Ka Number Aata Hay.

Turkey Kay Ziada Tar Hair Transplant Clinics International Society Of Hair Restoration Surgery Say Registered Hain. Turkey Main Doctors Follicular Unit Extraction Process Kertay Hain. Iss Main Recovery Kay Doran Dard Kam Hota Hay. Sar Per Surgery Ka Nishaan Nahi Hota Aur Baal Bhi Jald Grow Hona Shuru Hojatay Hain.

Turkey Main Hair Transplant Ki Cost 1500 Dollar Say 3500 Dollar Kay Darmiyan Hoti Hai. Yani 3 Lakh Say Approx. 8 Lakh Tak. Phir Accomodation Aur Travel Expenses Mila Ker Total 7000 Dollar Tak Puhanch Jata Hay, Yani 15.5 Lakh Rupees.

Transplant Kay Ilawa Aur Koi Treatment?

Transplant Kay Ilawa Scalp Micropigmentation Ka Process Bhi Ganj-Pun Ka Ilaj Hay.

Raftar Bharne Do
Scalp Micropigmentation

Iss Process Main Sar Hai Un Hison Per Jahan Baal Halkay Ya Nahi Hotay, Wahan Per Naqsh Bana Ker Hair Line Ko Wazah Kerdia Jata Hay. Iss Process Mai Sirf 2-3 Sessions Lagtay Hain.

Medical Experts Ka Kehna Hay Ke Modern Technology Nay Insaan Kay Liay Khoub Say Khoub Tar Ban'na Aasan Kar Diya Hay. Magar Is Mein Lagtay Hain Paisay Zyada!

شیئر

جواب لکھیں