Aaj Kaal Dosroon Kay Mamlaat Main Tang Aranay Ka Riwaj Hay. Aap Ko Koi Aur Kaam Nahi Tou Dosron Ko Apnay Statements Say He Uncomfortable Kerna Hi Shuru Kerdaitay Hain. Aisay Kernay Say Aap Boundaries Cross Kerta Hain Aur Yeh Akser Unintentionally Bhi Hojata Hay.

Jab Hum Boundaries Determine Kertay Hain Tou Hum Dosron Ko Kuch Messages Dai Rahay Hotay Hain. Hum Yeh Batatay Hain Kay Kis Tarhan Ki Communication Hum Ko Pasand Hay Aur Hum Ko Kia Acha Lagta Hay Kai Hamaray Sath Kaisay Treat Kia Jaei. Yeh Message Bhi Clear Hojata Hay Kay Hum Ko Kia Baatain Pasand Hain Aur Kaisay Interaction Main Hum Comfortable Feel Kertay Hain. Hum Woh Baatain Bhi Clear Kerdaitay Hain Kay Kia Acceptable Nahi Hoga Aur Hum Kinn Baton Per Bura Maantay Hain.

Yeh Boundary Aap Ki Dosron Kay Sath Relationship Ko Define Kerti Hay. Aap Ki Personality Main Yeh Limitation Dosron Kay Liye Mukhtalif Affect Daalti Hay. Kuch Loogn Ko Surprise Milta Hay Tou Koi Confuse Bhi Hojatay Hain. Kisi Ko Afsoso Hota Hay Tou Koi Aap Ko Qabool Bhi Kerta Hay.

Importance Of Respecting Boundaries

Hum Apnay Liye Tou Boundaries Bana Laitay Hain Mager Dosron Ki Boundaries Ki Respect Nahi Kertay. Jab Bhi Baray Horahay Hotay Hain Tou Hum Ko Yeh Samajhna Chaheye Kai Boundaries Kion Set Ki Jati Hain Aur Un Ki Respect Kion Zaroori Hoti Hay.

Psychologist Dr. Meghan Marcum Nay Bataya Hay Kay Loog Apni Safety Kay Liye Boundaries Set Kertay Hain. Relationships Ko Strengthen Kernay Kay Liye In Boundaries Ki Respect Zaroori Hoti Hay. Iss Say Trust Build Up Hota Hay Aur Yeh Message Bhi Jata Hay Kay Dosra Banda Aap Ki Care Kerta Hay Aur Aap Ki Emotional Well-Being Kay Liye Concerned Bhi Hay.

Impact Of Disrespecting Others’ Boundaries

Dr. Meghan Marcum Kehtay Hain Kay Disrespecting Boundaries Say Relationships Ko Significant Harm Hota Hay. Jab Boundaries Consistently Violated Hoti Hain Tou Yeh Safety Ko Breakdown Kerdaiti Hain. Is Say Trust Ko Bhi Nuqsaan Pouhanchtha Hay. Iss Waja Say Conflicts Paida Hotay Hain Aur Loog Emotional Distress Mai Ajatay Hain Aur Aik Dosray Ko Avoid Kerna Shuru Ker Daitay Hain.

How To Respect Others’ Boundaries

Psychologist Dr. Marcum Nay Kuch Strategies Bataie Hain Jis Say Aap Ko Andaza Hota Hay Kay Dosron Ki Boundaries Ko Understand Aur Respect Kaisay Kia Jasakta Hay.

Aap Ko Chaheye Kay Apni Communication Main Clear Rahain. Is Say Aap Ko Andaza Hoga Kay Dosra Banda Kaisay Comfortable Feel Kerta Hay. Aap Ko Chaheye Kay Dosron Say Yeh Khudh Pooch Lain Kay Woh Kaisay Comfortable Feel Kerain Gae Aur Iss Mamlay Main Assume Kerna Behtar Nahi Rehta.

Non Verbal Cues Per Attention Dain, Yani Dosron Ki Tone Aur Body Language Say Bhi Aap Ko Un Ki Boundaries Ka Andaza Hojana Chaheye. Is Say Aap Ko Samnay Walay Kay Comfort Level Ka Andaza Bhi Hojata Hay. Ager Aap Apnay Kisi Dost Say Koi Aisa Sawal Kerain Jis Say Aap Ko Us Ki Tone Change, Posture Closed Off Aur Topic Change Kerna Samaj Aei Tou Aap Ko Chaheye Kay Aisi Baat Na Kerain.

Jab Aap Kay Kisi Sawal Per Koi NO Answer Aei Tou Aap Ko Yeh Clear Boundary Samaj Jani Chaheye. Iss Answer Ko Respect Dain Aur Yeh Aisa He Hay Jaisay Aap Yeh Chahtay Hain Kay Dosray Aap Ko Respect Dain.

Boundaries Change Bhi Kerti Hain Aur Vary Bhi Hoti Hain. Kisi New Relationship Main Boundaries Looser Ya Tight Hosakti Hain Aur Jaisay Woh Relation Agaei Barhta Hay, Mamlay Main Tabdeeli Bhi Aanay Ka Imkaan Bhi Rehta Hay.

Kisi Bhi Healthy Relationship Kay Liye Dosron Ki Boundaries Ko Respect Dena Eham Hota Hay. Yeh Waisay Aasaan Kaam Nahi Hota Aur Iss Kay Liye Maturity Bhi Darkaar Hoti Hay. Integrity Aur Empathy Kay Sath Aap Yeh Recognize Kertay Hain Kay Kisi Jumlay Say Samnay Wala Uncomfortable Hosakta Hay.

Apnay Jumlon Aur Actions Ko Pehchanain. Apnay Alfaz Ka Khayal Kerain, Ye Maat Souchain Kaay Aap Hamesha Theak Hotay Hain Balkay Dosron Ko Respect Dai Ker Dil Jeetna Bhi Aap Ko Qabil E Qadar Bana Daita Hay.

شیئر

جواب لکھیں