Hum 2023 Main Agaey Hain. Job Market Change Ho Rahi Hay Aur Global Employers Bhi Apnay Workers Main Multi Dynamic Talent Aur Skills Dekhna Chahtay Hain. Aap Ka Employer Yeh Bhi Chahta Hay Kay Aap Teamwork Kerna Jantay Hain Aur Is Kay Liye Aap Ko Critical Thinking Bhi Aani Chahiye. Aap Open Mind Set Kay Sath Solution Based Skills Rakhtay Hoay Apnay Office Environment Main Ideal Bhi Ban Saktay Hain.

Aaj Kal Ziada Tar Employees Office Environment Kay Aadi Nahi Hain. Work From Home Culture Hi Nahi Aaya, Kaafi Kuch Badal Chuka Hay. Yeh Sab Covid-19 Kay Baad Aanay Wali Tabdili Ki Waja Say Hoa.

Ab Technically Sound Employee Basic Soft Skills Nahi Rakhtay, Jis Ki Waja Say Un Ko On-Job Maslay Hotay Hain. Wo Yeh Samajhtay Hain Kay Yeh Soft Skills Old Fashioned Hain Magar Asal Baat Yeh Hay Kay Yeh Tou Woh Basics Hain Jin Ka Hona Acha Hay. Aur Yeh Soft Skills Aati Hain Experience Kay Sath Aur Phir Aap In Main MASTER Hojatay Hain. Aur Yeh Kaun Si Skills Hain Aur Kion Zarori Hain? Aiye Daikhtay Hain.

Ye Baat Yaad Rakhain Kay Remote Ya Hybrid Work Kernay Walay Yeh Kabhi Nahi Samajh Saktay Kay Apnay Kaam Say Kaam Rakhnay Wali Aadat Ki Waja Say Kaisay Office Environment Main Un Kay Attitude Aur Behavior Say Collective Issues Ho Saktay Hain. Phir Aap Kay Daily Work Routine Main Motivation Aur Inspiration Bhi Aap Ki Creativity Per Impact Dalti Hay.

Professionalism

Yeh Aik Tarha Ki Abstract Soft Skill Hoti Hay. Professionalism Ko Her Organization Main Alag Alag Tarha Say Samjha Jata Hay. Ziada Tar Is Ka Matlab Yeh Hota Hay Kay As An Individual Kis Tarha Aap Apnay Kaam Ki Jagha Yani Work Place Per Effective Hotay Hain. Is Main Personal Performance Say Lai Ker Broad Standards Tak Sab Shamil Hay.

Self Evaluation Bhi Is Silsilay Main Buhat Zarori Hoti Hay. Specific Goals Kai Liye Timelines, Guidelines Aur Parameters Ko Bhi Regularly Assess Kertay Rehna Chahiye.

Personal Responsibility Is Hawalay Say Bhi Aik Eham Kirdaar Ada Kerti Hay. Apnay Maqsad Main Focus Rehtay Hoay Concentration Aur Serious Hona Hamesha Zarori Hota Hay.

Interpersonal Communication Main Attentive Listening, Observing And Reading Shamil Hay. Apnay Words Ka Sahi Istemal, Tone Aur Expressions Per Control Aur One-On-One Aur Group Conversations Main Bhi Aap Ki Participation Ka Vital Role Rehta Hay.

Critical Thinking

Jab Aap Kisi Organization Ka Part Hotay Hain To Wahan Apnay Assigned Task Kay Sath Aap Ko Different Situations Say Nikalnay Kay Liye Out-Of-The-Box Bhi Souchna Hota Hay.

Yahan Aap Ki Proactive Learning Kaam Aaey Gi Yani Mind Ko Open Rakhtay Hoay Judgment Say Guraiz Kerna Hoga. Apnay Knowledge Base, Skill Set Aur Wisdom Ko Khoob Say Khoob Tar Kernay Kai Liye Bhi Efforts Jari Rakhna Hongi.

Problem Solving Aik Aisi Skill Hai Jo Ap Ko Different Kerti Hay. Repeatable Solutions Kay Sath Aap Apnay Maslay Jald Solve Ker Saktay Hain.

Decision Making Main Bhi Aap Ko Waqt Kay Sath Experience Ajaye Ga. Desired Outcome Kay Liye Aap Kay Timely Aur Close To Perfect Decisions Aap Kay Soft Skills Main Value Add Kertay Hain.

Team Work

Aaj Kal Kay Working Environment Main Increasingly Collaborative Relationships Yani Teamwork Buhat Eham Hota Hay. Apnay Role Ko Samajhtay Hoay Apni Performance Aur Input Say Team Ko As-A-Whole Faida Pohanchana Aap Kay Office Environment Kay Liye Zarori Hoga.

Yeh Kuch Aisi Soft Skills Hain Jo Ager Aap Seekh Lain To Koi Doubt Nahi Kay Aap Apni Organization Kay Value Added Aur Important Member Ban Saktay Hain. Zarurat Is Baat Ki Hai Kay Apni Responsibilities Ko Samjha Jai Aur Un Ko Behtar Andaz Main Pora Kernay Ki Her Mumkin Koshish Ki Jaey.

شیئر

جواب لکھیں