Zimbabwe Nay Ireland Kay Khilaf T20 Series Kay Liay Apna Squad Announce Kardia Hay Ke Jis Mein Gary Ballance Bhi Shamil Hain. Naam Kuch Suna Suna Lag Raha Hay. Jee Haan! Agar Aap Last 10 Years Say Bhi Cricket Dekh Rahay Hain To Aap Nay Inhain Zarur Kheltay Dekha Hoga. Ye Wohi Ballance Hain Jo England Kay Liay Kheltay Thay.

33 Saal Kay Gary Ballance Nay 2014 Say 2017 Kay Beech England Kay Liay 23 Test Aur 16 One Day Internationals Khelay, Laikin ‘Rise Of Jos Buttler’ Nay Unhain Team Say Bahar Kardia. Ab Ballance Apnay Birth Country Zimbabwe Kay Liay Khelnay Ja Rahay Hain.

12 January Say Shuru Honay Wali Zimbabwe-Ireland Series Say Ballance Un Players Mein Shamil Ho Jayen Gay, Jinhain International Cricket Mein 2 Mulkon Ko Represent Karnay Ka Mauqa Mila.

Garry Ballance Ka International Career

2013-2017

FormatMatRunsHSAve100s50s
Test23149815637.4547
ODI162977921.2102

Aap Ko Shayad Hairat Ho Laikin Jab Say Cricket Shuru Hui Hay, Tabhi Say Aisay Players Maujood Hain Jinhain 2 Mulkon Say Khelna Ka Mauqa Mila. Jab Cricket Sirf 2 Mulk Hi Kheltay Thay, Tab Bhi Aisa Hota Tha.

Aur Aisay Pehlay Khilari Thay Billy Midwinter, Jinhon Nay 1877 Mein Australia Kay Liay 2 Test Khelay Aur Baad Mein 1881-82 Mein England Ki Taraf Say Bhi Test Cricket Mein Hissa Lia. 19th Century Mein Hi 4 Aur Players Aisay Aaey Jinhon Nay Mulk Badlay: Billy Murdoch, J. J. Ferris, Sammy Woods Aur Albert Trott. Laikin Hum Shuru Karain Gay Nawab Iftikhar Ali Khan Pataudi Say.

Nawab Sahib

Raftar Bharne Do

Nawab Iftikhar Ali Khan Mansoor Ali Khan Pataudi Kay Walid Aur Famous Actor Saif Ali Khan Kay Dada Thay. Aap 1932 Mein Australia Kay Khilaf Us ‘Badnaam’ Series Mein Shamil Thay, Jisay Hum ‘Body Line Series’ Kehtay Hain. Nawab Pataudi Nay Debut Par Century Bhi Banai Aur 1932 Mein ‘Wisden Cricket Of The Year’ Bhi Select Huay Laikin England Kay Liay Zyada Khel Nahi Sakay.

Khair, Jab India Ki Cricket Team Nay 1946 Mein England Ka Tour Kia To Nawab Sahib Ko As A Captain England Bheja Gaya. Youn Wo 2 Mulkon Kay Liay Khelnay Walay Pehlay Indian Ban Gaey.


Quaid-e-Awwal

Raftar Bharne Do

1947 Mein Pakistan Azad Hua To Us Kay Paas Test Status Nahi Tha. Jab 1952 Mein Ye Ijazat Mili To Pakistan Nay Sub Say Pehlay India Ka Tour Kia. Jis Mein Kaptan Thay Abdul Hafeez Kardar. Wohi Jo 1946 Mein India Kay Tour Of England Ka Hissa Thay.

Pakistan Kay Quaid-e-Awwal Abdul Hafeez Kardar Kay Ilawa Gul Mohammad Aur Amir Elahi Bhi Aisay Player Hain Jinhon Nay India Ki Taraf Say Khelnay Kay Baad Pakistan Ko Bhi Represent Kia.

Fazal Mahmood Bhi Is List Mein Aa Jatay, Agar Wo India Kay Tour Of Australia 1948 Para Chalay Jatay. Laikon Unhon Nay Pakistan Ban’nay Kay Baad India Ki Taraf Say Na Khelnay Ka Faisla Kia. Fazal Ki Kahani Buhat Ajeeb Hay, Laikin Us Say Bhi Ajeeb Dastan Hay John Traicos Ki.


Baray Mian Subhanallah!

Raftar Bharne Do

John Traicos Nay Apna Pehla Test 1970 Mein South Africa Ki Taraf Say Khela Tha, Laikin Is Series Kay Baad Unhain Kabhi Select Nahi Kia Gaya. Yahan Tak Ke South Africa Par Apartheid Ki Waja Say Ban Lag Gaya. Traicos 1983 Say Zimbabwe Ki Taraf Say One Day Cricket Khel Rahay Thay, Aur Jab 1992 Mein Zimbabwe Ko Test Status Mila To Us Kay First Test Mein Bhi Shamil Huay. Youn Traicos 2 Mulkon Kay Liay Test Khelnay Walay Player To Banay Hi, Laikin Saath Hi Un Kay 2 Test Matches Mein 23 Saal Ka Gap Bhi Aa Gaya.

Mazay Ki Baat Ye Ke 45 Saal Ki Umar Mein Bhi Traicos Ka Khel Buhat Aala Tha. Unhon Nay India Kay Against Is Historic Test Mein 5 Wickets Hasil Keen Aur Sachin Tendulkar Ko 0 Par Out Karna Bhi Shamil Tha. Yani Wo To Baray Mian Subhanallah Niklay.


2 Mulkon Say ODIs

Raftar Bharne Do

South Africa Ban Ki Waja Say 1970 Say 1991 Tak International Cricket Nahi Khel Saka. Aur Jab Wapis Aaya To Pehlay Captain Banay Kepler Wessels, Wohi Player Jo Australia Kay Liay Khel Chukay Thay. Aur Wo Do Mulkon Ki Taraf Say One Day Internationals Khelnay Walay Pehlay Player Banay. Un Kay 109 ODIs Mein Say 55 South Africa Kay Liay Thay Aur 54 Australia Ki Taraf Say. Waisay Unhon Nay Australia Say 24 Aur South Africa Say 16 Test Matches Bhi Khelay Thay.


ODI Aur T20 Mein

Ab Zikar Un Players Ka Jo 2 Mulkon Kay Liay One Day Aur T20 Internationals Khel Chukay Hain. Sub Say Pehlay To Hum Bata Hi Chukay Hain Ke Aisay Player Kepler Wessels Thay. Un Kay Baad Famous Players Mein England Kay Geraint Jones Bhi Shamil Hain. Wohi Jo 2005 Ki Yadgaar Ashes Series Mein England Kay Wicket Keeper Thay. Unhon Nay England Kay Liay 49 ODIs Khelay Aur 2014 Mein Apnay Birth Country Papua New Guinea Kay Liay Bhi 2 ODIs Mein Shirkat Ki.

Phir Irish Players Aatay Hain: Ed Joyce, Boyd Rankin Aur Sab Say Aagay Eoin Morgan. Jo Ireland Kay Liay 23 ODIs Khelnay Kay Baad England Aaey Aur Phir 225 ODIs Khel Gaey. England Kay Captain Banay, World Cup Jitwaya Aur Kya Kuch Nahi Kia.

Raftar Bharne Do

Aik Aur Famous Naam Luke Ronchi Ka Bhi Hay. Unhon Nay 2018 Mein Islamabad United Ko Champion Bananay Mein Key Role Play Kia Tha. Laikin Kya Aap Jantay Hain Ke Ronchi Ka Apna International Debut Australia Say Kia Tha? Jee Haan! Unhon Nay 4 ODIs Aur 3 T20 Internationals Australia Say Khelay Aur Phir Apnay Birth Country New Zealand Ki Taraf Say 4 Test, 81 ODIs Aur 29 T20 Internationals Mein Shirkat Ki.

Waisay Aap Ko Roelof Van Der Merwe Yaad Hain? T20 World Cup 2022 Kay Aik Most Important Match Mein Un Kay Athletic Catch Nay Na Sirf Netherlands Ko Aik Historic Kamyabi Dilai Thi, Balke Pakistan Kay Semi Final Khelnay Ki Raah Bhi Hamwaar Kardi Thi. Laikin Aap Ko Shayad Ye Na Pata Ho Ke Wo Khud South Africa Ko Represent Kar Chukay Hain. 2009-10 Mein Unhon Nay South Africa Kay Liay 13 ODIs Aur 13 T20is Khelay Aur Phir Netherlands Ki Taraf Say Bhi 3 One Day Aur 39 T20 Internationals Khel Chukay Hain.

Last Player Jinhon Nay 2 Mulkon Kay Liay One Day International Cricket Kheli, Wo Hamaray Qalandar David Wiese Hain. 2015-16 Mein Wiese Nay South Africa Kay Liay 6 ODIs Khelay Thay Aur Phir Wo Namibia Chalay Gaey Kyunke Un Kay Father Namibia Mein Paida Huay Thay. Wahan Say Wiese Ab Tak 9 ODIs Khel Chukay Hain Aur 19 T20 Internationals Bhi.

Choti Bari Teams Walay

T20 Internationals Mein Aisay Players Ki List Dekhain To Aap Ko Kuch Ajeeb Naam Bhi Nazar Aayen Gay. 2012 Mein Afghanistan Kay Liay 4 T20 Internationals Khelnay Walay Izatullah Dawlatzai Germany Kay Liay 12 Matches Khel Chukay Hain.

Phir England Kay Jade Dernbach Hain Jinhon Nay 2011 Say 2014 Kay Darmian England Kay Liay 34 T20i Matches Khelay Aur Phir Italy Kay Liay 6 Matches Mein Bhi Nazar Aaey.

Raftar Bharne Do

Aik Naam Amjad Khan Ka Bhi Hay, Aray Wo 'Sholay' Walay Gabbar Singh Nahi, Balke England Kay Liay 2009 Mein 1 T20 Khelnay Walay Amjad Khan. Jo Us Kay Baad Denmark Kay Liay Khel Rahay Hain Aur 8 T20i Mein Shirkat Bhi Kar Chukay Hain.

South Africa Kay Aik Bowler Thay Rusty Theron, Jinhon Nay 2010-12 Kay Dauran 9 T20 International Matches Mein Proteas Ko Represent Kia. Laikin Kya Aap Jantay Hain Ke Rusty Ab America Ki Taraf Say Kheltay Hain?

Last Player Jinhon 2 Mulkon Ki Taraf Say T20 International Khelnay Ka Mauqa Mila, Hamaray Jaanay Pehchanay Tim David Hain. Wo 2019-20 Mein Singapore Kay Liay 14 T20i Khel Chukay Thay. Wo Paida To Singapore Mein Hi Huay Thay Laikin Zindagi Perth, Australia Mein Guzari Hay Aur Ab Usi Ki Taraf Say Khel Rahay Hain.

Raftar Bharne Do

David Ab Tak Australia Ki Taraf Say 11 T20i Matches Khel Chukay Hain, Laikin Wo Famous Hain Franchise T20 Mein. Zyada Din Nahi Guzray IPL Auction Mein Unhain 10 Lakh Dollars Mein Khareeda Gaya. Jabke Wo Pakistan Super League Mein Multan Sultan Ki Taraf Say Kheltay Hain.

History Mein Buhat Say Players Aisay Hain Jo Baal Baal Bach Gaey, Fazal Mahmood Say Imran Tahir Tak, In Ka Zikar Phir Kabhi.

شیئر

جواب لکھیں