Woh Ho Gaya Jo Socha Bhi Nahi Tha. Itwaar Ki Subah Abhi Adhay Pakistanion Ki Ankhen Bhi Theek Se Nahi Khuli Hon Gi Ke Unhen Aik Moajze Ki Khabar Mili. T20 World Cup Kay South Africa vs Netherlands Match Mein 'Orange Toofan' Nay Sab Se Barra Upset Kar Dia. Jee Haan! South Africa Aik Martaba Phir Choke Kar Gaya.

Adelaide Mein ‘Super-Duper Sunday' Ke Pehlay Muqablay Mein South Africa 13 Runs Se Haar Gaya Aur Yun Tournament Se Hi Bahar Ho Gaya. Woh Team Jo Koi Match Nahi Haari Thi, Apne Last Matches Mein Pehlay Pakistan Aur Phir Netherlands Se Haar Gayi.

ICC T20 World Cup 2022

Netherlands vs South Africa

6 November 2022

Adelaide Oval, Adelaide, Australia

Result: Netherlands 13 Runs Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do NED158-4
Colin Ackermann41 (26)
Stephan Myburgh37 (30)
SA BowlingOMRW
Keshav Maharaj40272
Anrich Nortje40101
Raftar Bharne Do SA(T:159)145-8
Rilee Rossouw25 (19)
Heinrich Klaasen21 (18)
NED BowlingOMRW
Brandon Glover2093
Fred Klaassen40202

Netherlands Ki Is Kamyabi Ne India Ko Semi-Final Mein Puhancha Dia, Aur Pakistan Ko Bhi Semi-Final Ke Liye Direct Rasta Day Diya Ke Woh Apne Aakhri Match Mein Bangladesh Ko Shikast Day Aur Puhanch Jaye Final-4 Mein.

Catch Of The Tournament

Netherlands Ne Jahan Aaj Behtareen Batting Ki, Waheen Fielding Bhi Kamaal Ki Rahi. Especially Roelof van der Merwe Ka “Woh Catch”, Jis Ne Faisla Kar Dia Ke Yeh Match Netherlands Hi Jeetay Ga. Probabely Ye ‘Catch Of The Tournament' Tha.

Last Over Mein South Africa Ko 26 Runs Ki Zaroorat Thi, Lekin South Africa Choke Kar Chuka Tha. Ye Kisi Bhi Format Kay South Africa vs Netherlands Match Mein Netherlands Ki Pehli Aur Historical Victory Thi.

South Africa Ki 'Pehli Ghalti'

Match Main Toss Jeeta Tha South Africa Ne Aur Pehlay Netherlands Ko Khailnay Ki Dawat Day Di. Yeh Match Ka Pehla Ghalat Faisla Tha. Dutch Openers Stephan Myburgh Aur Max O'Dowd Ne 58 Runs Ka Acha Start Diya. Myburgh Barg Ke 30 Baal 37 Aur O’Dowd Ke 31 Baal 29 Runs Ke Baad Netherlands Gear Shift Karne Ki Position Mein Aa Gaya.

Yahan Tom Cooper Ki 19 Balls 35 Aur Is Se Bhi Barh Kar Colin Ackermann Ke 26 Baal 41 Runs Ne Hawa Ka Rukh Hi Badal Diya. Netherlands Surprisingly 20 Overs Mein 158 Runs Tak Puhanch Gaya. Finishing Overs Mein Kitni Zabardast Batting Ki, Is Ka Andaza Is Baat Se Lagaaen Ke Netherlands Ne Last 5 Overs Mein 46 Runs Banaey Thay. Woh Bhi South Africa Ki Top-class ‘Pace Battery' Ke Hotay Huay. Aaj Kagiso Rabada Ko 3 Overs Mein 37 Aur Lungi Ngidi Ko 35 Runs Parre.

Behtareen Batting, Kamal Fielding

Phir Netherlands Ne Batting Jitni Achi Ki, Bowling Aur Fielding Is Se Bhi Aala Thi. Powerplay Mein Hi Dono South African Openers Ko Out Kia. Phir Khatarnaak Hotay Rilee Rossouw Aur Aiden Markram Ko Bhi 100 Runs Se Pehlay Pehlay Pavilion Bhej Diya.

‘Aakhri Umeed’ David Miller 17 Balls Par 17 Runs Bananay Ke Baad Tab Out Hue, Jab 29 Gaindon Par 47 Runs Ki Zaroorat Thi. Yeh Match Ka Decisive Moment Tha. van der Merwe Ne Kay Kamal Catch Ne Match Ka Faisla Hi Kar Diya.

Phir South Africa Match Mein Wapas Nahi Aa Saka. 20 Overs Poooray Honay Par 8 Wickets Par 145 Runs Hi Ban Sakay.

Netherlands Ki Janib Se Brandon Glover Ne Sirf 9 Runs Diay Kar 3 Wickets Hasil Keen. 2,2 Khilarion Ko Fred Klaassen Aur Bas de Leede Ne Out Kia.

Pakistan Kay Liay "Mauqa"

Netherlands Ki Is Kamyabi Ne Hi Pakistan Ko Mauqa Faraham Kya Ke Woh Bangladesh Ko Shikast Day Kar Seedha Semi-Final Mein Puhanch Jaye. Pakistan Ne Is 'Khuli Dawat Ka Poora Faida Uthaya Aur Bangladesh Ko 5 Wickets Se Hara Kar Semi-Final Mein Puhanch Bhi Gaya. Yani Yeh ‘Mircles Ka Din’ Saabit Hua. Kis Ne Socha Tha Ke Subah Netherlands Jeetay Ga Aur Pakistan Semi-Final Khelay Ga?

شیئر

جواب لکھیں