Sydney Ki Yeh Khoobsurat Shaam Shayad Kabhi Bhulai Na Ja Sakay. Afsos, Pakistan Mein Jo Siyasi Halaat Peda Hue, Un Ki Wajah Se Is Shandaar Match Ka Zikar Nahi Ho Raha. Lekin Yeh Muqabla Aisa Tha Jisay Aik Baar Nahi, Baar Baar Balkay Hazaar Baar Dekhna Chahiye. Ye Tha Pak-SA T20 World Cup Muqabla.

Mohammad Haris Ke Atay Hi Kagiso Rabada Ko Chhakay, Chokay. Phir Anrich Nortje Ko Scoop Par Lagaya Gaya Kamaal Six. Is Ke Baad Shadaab Khan Aur Iftikhar Ahmed Ki Tabahi Batting, Aur Un Sab Par Nasir Hussain Ki Commentary. Pakistani Cricket Fans Ke Liye Is Se Acha Din Ho Nahi Sakta Tha. 

Pakistani Players Bhi Tigers Ki Tarah Lartay, Zor Lagatay Nazar Aaye. Lekin Kya Aisa Pehli Baar Hua Hai? Bilkul Nahi, South Africa Ko Dekh Kar Pakistani Khilarion Mein Najane Kon Si Bijli Bhar Jati Hai? 

Chahay Halaat Kitney Hi Mushkil Kyun Nah Hon? T20 World Cup Mein Jab Bhi Pakistan Ka Muqaabla South Africa Se Hua, Sab Se Aala Aur Behtareen Karkardagi Isi Match Mein Dikhai. 

Yahi Wajah Hai Ke Pakistan Aaj Tak T20 World Cup Mein South Africa Se Kabhi Nahi Haara. Yeh Aisi Riwayat Hai Jo 2009 Se Chal Rahi Hai Aur Aaj Bhi Barqarar Hai. 

Trent Bridge Mein 'Lala' Ka Kamaal

T20 World Cup Ki Tareekh Mein South Africa Se Pakistan Ka Pehla Muqabla 2009 Mein Hua Tha, Woh Bhi Semi Final  Jaisay Important Muqablay Mein. Trent Bridge, Nottingham Mein Woh Shahid Khan Afridi Ka Din Tha. 

Pakistan Ki Batting Mein ‘Lala’ Ne 34 Balls Par 51 Runs Banaye. Phir 150 Runs Chase Karte South Africa Ki 2 Sab Se Barri Wickets Bhi Haasil Keen. Aik Over Mein Shahid Afridi Ne AB de Villiers Ko Out Kia Aur Aglay Mein Herschelle Gibbs Ko. 

South Africa Poora Zor Laga Kar Bhi 142 Runs Hi Bana Saka. Pakistan 7 Runs Se Jeeta Aur Final Mein Pahonch Gaya. Jahan Pakistan Kay ‘Shaheen’ Pehli, Aur Aakhri Martaba, World Champion Banay.

Crunch Match Mein Crushed

Aik Saal Bhi Nahi Guzra Tha Ke Dono ‘Green Shirts’ Aik Martaba Phir T20 World Cup 2010 Mein Aamnay Samnay Theen. Saint Lucia Mein Bhi Pehlay Pakistan Khela Aur Umar Akmal Ke 33 Baal 51 Runs Ki Madad Se Taqreeban Utna Hi Score Banaya, Yani 148 Runs.

Lekin Chase Karte Huay South Africa Saeed Ajmal Ke Hath Lag Gaya. Unhon Ne Jacques Kallis, AB de Villiers Aur Mark Boucher Ki Big Wickets Leen. South Africa 11 Runs Se Haar Kar Tournament Se Hi Bahar Ho Gaya. Yani Crunch Match Mein Pakistan Ke Hathon Crushed Ho Gaya. 

Best Of The Best Match

Pak-SA T20 World Cup
Aik Nahi 2 Umar Pakistan Ko Jitwa Gaey (Photo: ICC)

Lekin Pak-South Africa Yadgar Tareen Muqabla 2012 Mein Khela Gaya Tha. Sri Lanka Mein Khailay Gaey Is T20 World Cup Ke Aik Match Mein Donon Maqabil Aaye. Is Martaba Pehlay Batting South Africa Ne Ki Aur Pakistan Ko 134 Runs Ka Hadaf Diya. Jisay Chase Karte Huay Pakistan 76 Runs Par Hi 7 Wickets Day Gaya.

 Match To Samjhain Khatam Ho Chuka Tha. Pakistan Ko 33 Balls Par 58 Runs Ki Zaroorat Thi Aur Khailnay Walay Sirf Aik Batsman Bachay Thay, Umar Akmal.  

Yahan Umar Akmal Ko Sath Mila Aik Aur Umar, Yani Umar Gul Ka. Jin Ki Tofani Innings Aaj Bhi Yaad Ki Jati Hai. 

‘GulDozer’ Ne Us Din Bowling Se Nahi, Balkay Batting Se Match Palt Dia. Unhon Ne 17 Balls Par 3 Chakkon Aur 2 Chowkun Ki Madad Se 32 Runs Banaye Aur Pakistan Ki Jeet Mein Ahem Kirdaar Ada Kia. Umar Gul Ke Sixes Aaj Bhi Colombo Ki Fizaon Mein Goonj Raha Hon Gay.

10 Saal Baad Bhi Result Wohi

Is Ke Baad 10 Saal Tak Pak-SA T20 World Cup Muqabla Nahi Hua. Shayad South Africa Ne Darkhwast Ki Hogi Ke Hamein Pakistan Ke Group Mein Nah Rakha Jaye. Lekin Aakhir Kab Tak Bachta? 2022 Mein Akhir Takkar Ho Hi Gayi. Aur Yahan Bhi Pakistan Ne Riwayat Qaim Rakhi. Sydney Mein Pakistan 33 Runs Se Jeeta. Aur Apnay Sath South Africa Ko Bhi Mushkil Mein Phansa Gaya Hai. 

Format Badla, Qismat Nahi

Mazay Ki Baat Yeh Hai Ke Inhi Saloon Mein Jab One Day World Cup Mein Pakistan Ka Muqaabla South Africa Se Hua, Tab Bhi Jeeta Pakistan Hi. 2015 Mein Auckland Wala Woh Match Koi Kaisay Bhool Sakta Hai? Jis Mein AB de Villiers Taqreeban Match Nikaal Gaye Thay, Bas Pakistani Bowling Ne Himmat Nahi Haari Aur Pakistan Ko Jitwa Kar Dam Liya. 

Phir 2019 Mein Bhi Aisa Hi Hua. Pakistan Lord's Mein South Africa Ka Lord Ban Gaya. Jeeta Aur South Africa Ka Aik Aur Zakhm Day Gaya.

شیئر

جواب لکھیں