Barish Ne T20 World Cup Ke Kayi Matches Kharab Kiye Hain. Lekin Jo Matches Khelay Gaye, Kamaal Ke Huay Hain. Maza Hi Aa Gaya. Yeh Tournament Kitna Competitive Raha Hay? Is Ka Andaza Is Baat Se Lagayen Ke Sab Teams Apne 4,4 Matches Khel Chuki Hain Lekin Ab Bhi 12 Mein Se 10 Teams Semi Final Ki Race Mein Mojood Hain. Jee Haan! Pakistan Bhi. Chalain Dekhte Hain Ab Bhi Pakistan Semi Final Mein Kaisay Pohanch Sakta Hai?

ICC T20 World Cup 2022

Points Table

Super 12 - Group 2

MWLN/RPTNRR
Raftar Bharne Do IND43106+0.730
Raftar Bharne Do SA42115+1.441
Raftar Bharne Do PAK42204+1.117
Raftar Bharne Do BAN42204-1.276
Raftar Bharne Do ZIM41213-0.313
Raftar Bharne Do NED41302-1.233

Pakistan T20 World Cup 2022 Ki Super 12 Stage Mein Apnay 4 Mein Se 2 Ahem Matches Haara. Pehlay Arch-Rival India Aur Phir Unbelievable Andaaz Mein Zimbabwe Se

Lekin Netherlands Ke Khilaf Jeet Kay Baad Us Nay South Africa Ko Bhi Hara Diya Hai, Jo Ab Tak Tournament Mein Kisi Se Nahi Haara Tha, India Se Bhi Nahi. In Dono Kamyabion Ne Pakistan Ke Semi Final Khelnay Ki Umeed Jaga Di Hai. Hai To Bohat Bohat Kum Chance, One Out Of Million, Lekin Hai To Sahi! 

To Pakistan Ko Karna Kya Hoga?

Sab Se Pehlay To Pakistan Ko Sunday Ko South Africa Aur Netherlands Ka Muqaabla Dekhna Hoga. Is Match Mein Agar South Africa Haar Gaya To Pakistan Ko Pehli Life Line Mil Jaye Gi. Agar Barish Ho Gayi Aur Match Zaya Ho Gaya, Tab Bhi Pakistan Ko Hi Faida Hoga Kyunkay Is Se South Africa Ke Points 6 Ho Jayen Ge. Yani Maximum Utnay Hi Points Jo Pakistan Haasil Kar Sakta Hai. Waisay Uss Din Adelaide Mein Barish Ka Imkaan To Nahi, Lekin Yeh Umeed Zaroor Hai Ke 'Orange Toofan' Zaroor Aaye Ga!

T20 World Cup 2022

Super 12 Group 2 Kay Baqi Matches

vs.GroundDate
Raftar Bharne Do NEDRaftar Bharne Do SAAdelaide6 Nov 2022
Raftar Bharne Do BANRaftar Bharne Do PAKAdelaide6 Nov 2022
Raftar Bharne Do INDRaftar Bharne Do ZIMMelbourne6 Nov 2022

Kher, Usi Din Pakistan Ko Bhi Khud Ko Saabit Karna Hoga. Pakistan Group Mein Apna Aakhri Match Bangladesh Se Khelay Ga, Jis Mein Kamyabi Bohat Zaroori Hai. Doosra Koi Rasta Hay Hi Nahi. Chahay Netherlands Apnay Match Main Koi Miracle Dikha Bhi Day, Tab Bhi Pakistan Ke Liye Apna Yeh Last Match Jeetna Laazmi Hai. Agar Pakistan Shakib Al Hasan XI Ko Nahi Hara Saka To Kahani Yahin Khatam Ho Jaye Gi. Phir Agay Peechay Ke Matches Mein Miracles Hotay Bhi Rahen To Pakistan Ke Kisi Kaam Ke Nahi. Is Liye Bangladesh Ke Khilaaf Poooray Focus Ke Sath Khelna Hai, Achi Tarah Jeetna Hai, Tabhi Kuch Hoga. 

Pakistan Aur South Africa Donon Jeet Gaey To? 

Zara Sochen Agar South Africa Aur Pakistan Dono Apne Aakhri Matches Jeet Jayen To? Tab Bhi Pakistan Ke Liye Aik Final Chance Hoga. Woh Yeh Ke Zimbabwe Apne Aakhri Match Mein India Ko Shikast Day Day. Mazaaq Karte Ho Panday Jee!

Arrey Nahi Nahi. Netherlands Ki South Africa Ke Khilaaf Jeet Se To Kahin Zyada Chances Zimbabwe Ke India Ke Against Jeetnay Ke Hon Ge. Kyunkay Zimbabwe Ne Yeh Tournament Bohat Acha Khela Hai. Netherlands Se Aakhri Match Zaroor Haara Lekin Pakistan Ko Shikast Day Kar Tehelka Macha Chuka Hai. Is Liye Zimbabwe Ki Jeet Mushkil Zaroor Hai Lekin Namumkin Nahi. 

To South Africa Ke Aakhri Match Harnay Ki Soorat Mein To Pakistan Bangladesh Se Jeet Kar Seedha Hi Chala Jaye Ga. Lekin Agar India Ko Upset Shikast Hui Ya South Africa-Netherlands Match Mein Barish Ho Gayi To Pakistan Ke Points Un Teams Ke Barabar Ho Jayen Ge. Yahan Pakistan Ka Behtar Net Run Rate Usay Lead Day Sakta Hai. To Pakistan Semi Final Mein Ja Sakta Hay, To Shabash Larko! Aakhri Dhaka Day Kar Dikha Do!

شیئر

جواب لکھیں