Lagta Hay Pakistan Ab Tak India Say Milnay Wali Shikast Kay Nafsiyati Asar Say Nahi Nikla, Kyunke Team Pakistan Zimbabwe Kay Hathon Bhi Haar Gai Hay. Lagta Hay World Cup Hi Khatam Ho Gaya.

T20 World Cup 2022 Kay Sub Say Baray Upset Main Zimbabwe Nay Sirf 1 Run Say Pakistan Ko Shikast Day Di Hay. Ye Kitna Barra Upset Hay, Is Ka Andaza Is Baat Say Lagaen Ke Pakistan Is Say Pehlay 17 T20 Matches Main Zimbabwe Say Sirf Aik Baar Hara Tha. Ab Ye Doosri Shikast Khai Hay Aur Is Haar Ka Is Say Ziyada Bura Waqt Ho Nahi Sakta Tha.

ICC T20 World Cup 2022, 24th Match

Pakistan vs Zimbabwe

27 October 2022

Perth Stadium, Perth, Australia

Result: Zimbabwe 1 Run Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do Zimbabwe130-8
Sean Williams31 (28)
Brad Evans19 (15)
PAK BowlingOMRW
Mohammad Wasim40244
Shadab Khan40233
Raftar Bharne Do Pakistan(T:131)129-8
Shan Masood44 (38)
Mohammad Nawaz22 (18)
ZIM BowlingOMRW
Sikandar Raza40253
Brad Evans40252

Worst Powerplay

Pakistan 131 Runs Chase Kartay Huay Powerplay Main Sirf 28 Runs Bana Saka,Wo Bhi Babar Azam Aur Mohammad Rizwan Ki Big Wickets Day Kar. Babar Aur Rizwan Aaj Phir Buri Tarah Nakaam Huay. Babar Nay 9 Balls Par 4 Runs Banaey Jabke Rizwan 14 Off 16 Bana Kar Bowled Huay. 

Itna Bura To Pakistan India Kay Against Bhi Nahi Khela Tha, Jahan Powerplay Main Score 2-32 Tha. 

Haar Ki Asal Waja 

Pakistan Ki Shikast Ki Sab Say Barri Waja To Batting Ki Nakami Hay, Laikin Fielding Ka Bhi Ehm Kirdar Raha. India Kay Against Pakistan Hara Zaroor Tha Laikin Positive Points Buhat Saray Thay. Jin Main Say Aik Ye Bhi Tha Ke Hum Nay Koi Catch Drop Nahi Kia Tha. 

Laikin Aaj Perth Main To Najanay Kia Hua Tha? Pakistan Nay 2 Aasan Aur Aik Thora Sa Mushkil Catch Drop Kia. Ye Catch Drops Akhir Main Buhat Mehngay Parray.

Chhota Total, Barra Hausla 

Zimbabwe Nay Pehlay Kheltay Huay Bunyad To Achhi Rakhi Thi. 14th Over Main Sirf 3 Wickets Par Us Kay 95 Runs Thay. Innings Ko Launch Karnay Ki Tayari Hi Kar Raha Tha Ke Pakistan Nay Par Kaat Diay. Zimbabwe Ki 4 Wickets Sirf 6 Balls Par Gir Gaeen, Wo Bhi Baghair Kisi Run Kay Izafay Kay. 

Aaj Asif Ali Ki Jaga Khelnay Walay Mohammad Wasim Nay Bohat Achhi Bowling Ki. 4 Overs Main 24 Runs Day Kar 4 Wickets Hasil Keen.

Haris Rauf Nay Bhi Aaj Dekhnay Wali Bowling Ki. Especially 11th Over Main, Jis Main Unhon Nay Zimbabwe Kay Best Batsman Sikandar Raza Ko Khoob Nachaya. Pace Ka Toofan Tha Ye Over! Last Ball Par Leg Bye Kay 4 Runs To Gaey, Laikin Over Kamal Ka Tha. 

Zimbabwe Ki Innings 130 Runs Say Aagay Nahi Ja Saki. Lagta Tha Ab Pakistan Ko Koi Nahi Hara Sakta. Laikin Chhotay Total Kay Bawujood Zimbabwe Ko Hausla Barra Tha.

Aik Baar Phir Nawaz 

Ye Mohamamd Nawaz Ka 50th T20i Tha. Aik Bar Phir Wo Poochtay Reh Gaey Ke ‘Aisi Situation Main Pata Nahi Kaisay Main Aagay Aa Jata Hoon.’ 

Nawaz India Kay Khilaf Last Over Main 16 Runs Defend Na Kar Sakay Thay, Aaj Phir Finish Karnay Ki Zimmedari Un Par Hi Aa Gai. Unhon Nay 19th Over Main Wo Six Bhi Lagaya, Jis Nay Pakistan Kay Chances Barha Diay, Laikin Last Over Main Winning Shot Nahi Laga Sakay Aur Out Ho Gaey. Phir Last Ball Par Shaheen Afridi Match Ko Tie Bhi Nahi Kar Sakay. 

Turning Point

36 Runs Par 3 Out Honay Kay Baad Shan Masood Aur Shadab Khan Nay 52 Runs Ki Partnership Ki. 14th Over Main Shadab Nay Sikandar Raza Ko Aik Zabardast Six Lagaya, Laikin Wo Lalach Main Aa Gaey. 

Next Ball Ko Phir Six Kay Liay Bhejnay Ki Koshish Ki Aur Long-Off Par Catch Day Gaey. Us Kay Baad Pakistan Match Main Wapis Nahi Aa Saka. Sikandar Raza Ki Next Ball Par Haidar Ali Out Huay Aur Un Kay Aglay Over Main Shan Masood Gaey. Match Palat Gaya Aur Phir Pakistan Kay Haath Main Wapis Nahi Aaya. 

Upsets Ka World Cup 

T20 World Cup 2022 Ko Upsets Ka World Cup Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Namibia Nay Asian Champion Sri Lanka Ko Haraya, Scotland Nay 2 Baar Kay World Champion West Indies Ko Shikast Di, Phir Super 12 Main England Ireland Say Haara Aur Aaj Pakistan Ko Moun Ki Khani Parri. Abhi To Buhat Say Matches Baqi Hain, Pata Nahi Kia Kuchh Dekhna Parray Ga. 

Kia Pakistan Bahar Ho Gaya Hay? 

2 Matches Harnay Kay Baad To Dil Hi Toot Gaya Hay. India Say Haray, Buhat Dukh Hua Laikin Shikast Samajh Aati Hay, Laikin Zimbabwe Say Harnay Ka Koi Jawaz Nahi. Pakistan Aaj Buhat Bura Khela, Is Liay Har Gaya. 

To Kia Pakistan Ki World Cup Campaign Khatam Ho Gai Hay? Nahi, Abhi Pakistan Ko Netherlands, South Africa Aur Bangladesh Say Khelna Hay. Agar Pakistan Ye Sub Matches Jeet Lay, Aur India South Africa Ko Hara Day To Pakistan Semi Final Main Puhanch Sakta Hay. 

Yani Hamesha Ki Tarah Hum Doosri Teams Kay Matches Ka Intizar Kartay Rahain Gay.

ICC T20 World Cup 2022

Points Table

Group 2

MWLN/RPTNRR
Raftar Bharne Do India220041.425
Raftar Bharne Do South Africa210035.200
Raftar Bharne Do Zimbabwe210130.050
Raftar Bharne Do Bangladesh21102-2,375
Raftar Bharne Do Pakistan20200-0.050
Raftar Bharne Do Netherlands20200-1.625
شیئر

جواب لکھیں