Yeh Hai Sri Lanka! Khatarnaak Sri Lanka. Kuch Haftay Pehlay Asian Champion Ban'nay Wala, India Ko Haranay Wala Aur Pakistan Ko 1 Nahi 2 Martaba Shikast Dainay Wala Sri Lanka. Jab Ye Introduction Namibia Ko Karwaya Gaya to Wo Bola “Hoga, Hamain Kia?” Aur Phir T20 World Cup 2022 Ke Pehlay Muqablay Main 55 Runs Se Sri Lanka Ko Hara Kar Aik Bara Upset Kar Dia.

Namibia Nay To Aaj Kamaal Hi Kar Dia. Toss Hara, Pehlay Batting Karna Pari, Sirf 16 Runs Par Dono Openers Out Ho Gaey, Balkay 14 Overs Main 91 Runs Par Hi 5 Wickets Gir Chuki Theen. Laikin Phir Jan Frylinck Ki 28 Baal 44 Aur JJ Smit Ki 16 Baal 31 Runs Ki Toofani Innings Ki Madad Se 163 Runs Tak Puhanch Gaya. Jee Haan! Namibia Ne Last 6 Overs Main 72 Runs Banaey Thay. Yeh Tha Sri Lanka Ko Pehla Jhatka.

Aur Phir 164 Runs Chase Karnay Walay Sri Lankan Batsmen Ko Saans Bhi Nahi Lainay Dia. Kia Pathum Nissanka Aur Kaun Kusal Mendis? Danushka Gunathilaka Aur Dhananjaya De Silva Kis Khait Ki Mooli Hain? Sub 7th Over Tak Pavilion Main Bethay Thay.

Tab Bhanuka Rajapaksa Aur Captain Dasun Shanaka Ne Match Bachanay Ki Aakhri Koshish Ki Laikin Namibian Bowlers Kay Samnay Un Ki Bhi Nahi Chali.

Sri Lanka Ko Last 6 Overs Main 76 Runs Ki Zaroorat Thi, Laikin Banata Kon? 7 Khilari To Out Ho Chukay Thay. Captain Dasun Shanaka Kay Sath Aakhri Umeed Bhi Khatam Ho Chuki Thi. Yahan Tak Ke 19th Over Kay Sath Hi Sri Lanka 108 Runs Par All Out Ho Gaya.

Yeh Koi Fluke Nahi Tha, Balkay Is Saal Namibia Ki Mehnat Ka Phhal Tha. Zimbabwe Ke Tour Par Jis Tarah Namibia Nay Kamiyabi Haasil Ki, Phir Hong Kong Ke Khilaaf, Tri-Series Main, Cricket World Cup Super League 2 Main, Balkay T20 World Cup Ke Liye Australia Pounchanay Ke Baad Bhi Apnay Warm Up Main Bhi Ireland Ko Haraya. Ye Sab Zahir Karta Hay Ke Namibia Ko Halka Mat Lena.

Jan Frylinck Ko Man Of The Match Award Mila, Jinhon Ne Behtareen Batting To Ki Hi Laikin Baad Main Bowling Main Bhi 2 Wickets Haasil Keen.

Ab Tournament Main Namibia Ka Agla Match Netherlands Se Hoga Jabkay Sri Lanka United Arab Emirates Se Khailay Ga.

شیئر

جواب لکھیں