T20 World Cup Ho, Super 12 Round Ho, Melbourne Kay Grand Arena Main 90 Hazar Say Ziada Tamashai Hon Aur Aamna Samna Ho Pakistan Aur India Ka, Aur Kya Chahiye? Phir Match Bhi Aisa Jo Hamesha Yaad Rahay Ga. At Least Indians To Yaad Rakhain Gay Hi, Kyunke Inhon Nay Aik Hara Hua Match Jeeta Hay. Jabke Pakistan Kay Liay Ye World Cup Ka Worst-Possible Start Raha.

Pakistan Muhammad Rizwan Aur Babar Azam Kay Nakam Honay Ka Bawujood 160 Runs Ka Target Dainay Main Kamyab Raha. Phir Bowling Kartay Huay India Kay Sirf 31 Runs Par 4 Out Bhi Kar Diay. Laikin Virat Kohli Aur Hardik Pandya Par Control Na Kar Saka. Kohli Ki 53 Balls Par 82 Runs Ki Miraculous Innings Aur Hardik Pandya Kay Sath 113 Runs Ki Partnership Nay India Ko Last Ball Par Sirf 4 Wickets Say Jitwa Dia.

ICC T20 World Cup 2022, 16th Match

Pakistan vs India

23 October 2022

Melbourne Cricket Ground, Melbourne, Australia

Result: India 4 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do Pakistan159-8
Shan Masood52 (42)
Iftikhar Ahmed51 (34)
IND BowlingOMRW
Hardik Pandya40303
Arshdeep Singh40323
Raftar Bharne Do India(T: 160)160-6
Virat Kohli82* (53)
Hardik Pandya40 (37)
PAK BowlingOMRW
Haris Rauf40362
Mohammad Nawaz40422

Match Ka Turning Point

Match 17th Over Tak Pakistan Ki Grip Main Tha. 16th Aur 17th Overs Main Sirf 12 Runs Banay Thay. India Ko Last 3 Overs Main 48 Required Thay, Jab Shaheen Afridi Ko 17 Aur Haris Rauf Ko Kohli Kay 2 Kararay Sixes Kay Sath 15 Runs Parr Gaey. Prime Bowlers Ki Is Tarah Pittai Say Match Ko Rukh Hi Badal Gaya.

Crucial Last Over

Last Over Main 16 Defend Karnay Thay Aur Ball Mohammad Nawaz Kay Hathon Main Thi. First Ball Par Pandya Ko Out Bhi Kia, Aur Pehli 3 Balls Par Sirf 3 Runs Diay, Laikin Phir Aik Waist-Height No-Ball, Aik Wide, Free-Hit Par Kohli Kay Clean Bowled Kay Bawujood Bye Kay 3 Runs Aur Phir Dinesh Karthik Ki Wicket Lainay Kay Baad Aik Wide Aur Last Ball Par Ashwin Ka Winning Run. Itna Eventful Over Shayad Hi Kabhi Dekhanay Ko Mila Ho. Yani Nawaz 2 Wickets Lay Kar Bhi Match Nahi Bacha Sakay.

Pakistan Kay Blunders

Match Main Upper Hand Milnay Kay Baad Pakistan Nay Kucch Barray Blunders Kiay. Especially Bowlers Ko Use Karnay Main. 12th Over Main Jab Mohammad Nawaz Ko Aik Over Main 3 Sixers Parray To Usi Waqt Un Kay Shoulders Down Ho Chukay Thay. Is Liay Un Ka 4th Over Beech Main Kaheen Behtar Situation Main Istamal Karna Chahiye Tha. Laikin Babar Azam Ye Soch Kar Nawaz Ka Last Over Delay Kartay Rahay Ke Shayad Main Strike Bowlers 1,2 Wickets Nikaal Lain, Aur Situation Under-Control Ho Jaey. Laikin Aisa Hua Nahi Aur Pakistan Ko Most Crucial Last Over Daina Parra.

Aik Roller Coaster Ride

Pakistan Nay India Ki Dawat Par Pehlay Batting Ki Thi Aur Babar Aur Rizwan Donon Buri Tarah Nakam Huay. Babar Kay Golden Duck Kay Baad Rizwan 12 Balls Par Sirf 4 Runs Bana Kar Out Huay. India Match Main Upper Hand Lay Chuka Tha. Jab Iftikhar Ahmed Aur Shan Masood Pakistan Ko Match Main Wapis Laey.

Donon Nay 50 Balls Par 76 Runs Ki Partnership Ki, Aur Match Bana Kar Dia. Iftikhar Ahmed Nay 34 Balls Par 51 Runs Banaey, Jis Main Axar Patel Kay Aik Ho Over Main Lagaey Gaey 3 Sixes Samait 4 Chhakkay Bhi Shamil Thay. Laikin Hyder Ali, Asif Ali, Mohammad Nawaz, Sub Nakam Huay Aur Pakistan Akhir Main Shaheen Afridi Aur Haris Rauf Kay Sixes Ki Madad Say 159 Runs Tak Puhancha. Shan 42 Balls 52 Runs Kay Sath Not Out Rahay.

MCG Jaisay Barray Ground Main, Aur Pakistan Ki Bowling Line Dekhtay Huay, Ye Aik Achha Total Tha. Phir Pakistan Ko Jaisa Start Mila, Us Kay Baad To Haarna Banta Hi Nahi Tha. Pehlay Naseem Shah Nay KL Rahul Ko Bowled Kia, Phir Haris Rauf Ki Ball Par Slip Main Iftikhar Ahmed Nay Aik Shandar Catch Lia. Power Play Kay Last Over Main Haris Nay Suryakumar Yadav Ko Bhi Out Kardia. Jab Axar Patel Run Out Huay To Lag Raha Tha Aaj Pakistan Ka Din Hay.

Pakistan 94% Say 0% Tak

Pakistan Ki Win Probability Aik Stage Par 94% Tak Ja Puhanchi Thi. To Andaza Laga Lain Ke Sirf 6 Percent Winning Chance Rakhnay Wali Team Kis Tarah Jeeti Hogi.

King Kohli

Virat Kohli Ko Man Of The Match Award Mila Aur Kyun Na Milta? Aisay Waqt Main Jab Team Main Un Ki Main Jaga Par Sawal Uth Rahay Thay, Unhon Nay Sabit Kia Ke Unhain KING Kyun Kehtay Hain.

شیئر

جواب لکھیں