T20 World Cup Main Hua Aik Aur Rain Affected Match, Laikin Result Nikla Shandar. Jis Main Ireland Nay England Ko Hara Kar Aur ‘Group Of Death’ Ko Aur Khatarnaak Bana Dia Hay.

Melbourne Main 158 Runs Chase Kartay Huay England 15th Over Khel Raha Tha Ke Aik Martaba Phir Barish Shuroo Hogai, Aisi Ke Match Phir Ho Nahi Saka. 14.3 Overs Main 5 Wickets Par DLS Par Score 110 Tha. Tab England 105 Par Kharra Tha Aur Kharra Hi Reh Gaya.

ICC T20 World Cup 2022, 20th Match

Ireland vs England

26 October 2022

Melbourne Cricket Ground, Melbourne, Australia

Result: Ireland 5 Runs Say Jeet Gaya (DLS Method)

Raftar Bharne Do Ireland157
Andy Balbirnie62 (47)
Lorcan Tucker34 (27)
ENG BowlingOMRW
Mark Wood40343
Sam Curran30312
Raftar Bharne Do England(T: 111)105-5
Dawid Malan35 (37)
Moeen Ali24 (12)
IRE BowlingOMRW
Josh Little30162
George Dockrell1051

Ye Ireland Ko Muft Main Milnay Walay Points Nahi. Ireland Nay Apnay Behtareen Khel Kay Zariay Ye Points Earn Kiay Hain.

Ireland Toss Haara, Pehlay Batting Karna Parri, 10 Overs Main Sirf 1 Wicket Par 92 Runs Ka Zabardast Start Lia. Phir Wickets Girnay Say Innings Slow Hoti Chali Gai, Yahan Tak Ke Last Over Main All Out Ho Gaya. Aik Barra Total Nahi Ban Saka, Laikin 157 Runs Bhi Aakhir Main Kafi Sabit Huay.

Is Main Sab Say Barra Kirdar Tha Andy Balbirnie Ki Captain Innings Ka. Unhon Nay 47 Balls Par 62 Runs Banaey.

158 Runs Chase Kartay Huay England Ko Second Ball Par Hi Jos Buttler Ka Nuqsan Uthana Parra. Phir Alex Hales Aik Chance Milnay Kay Baad Bhi Wicket Nahi Bacha Sakay Aur Power Play Kay Last Over Main Ben Stokes Bhi Clean Bowled Ho Gaey.

Ye Aisay Shocks Thay Ke England Phir Uth Nahi Saka. Harry Brook, Dawid Malan Aur Moin Ali Nay Apni Si Koshish To Ki, Par 14th Over Main Malan Ka Out Hona Buhat Mehnga Parr Gaya. Agar Ye Wicket Na Girti To Shayad DLS Par Score Hasil Ho Jata, Aur England Bach Jata.

Aakhri Martaba Barish Kay Waqt England Ko 33 Balls Par 53 Runs Ki Zarurat Thi, Laikin Match Dubara Ho Hi Na Saka.

Waisay Aap Ko Ye Jan Kar Hairat Hogi Ke England Aaj Tak T20 Cricket Main Ireland Ko Kabhi Hara Nahi Saka. Donon Teams Ka Aaj Say Pehlay Sirf Aik Muqabla Hua Tha, West Indies Main Honay Walay 2010 Kay T20 World Cup Main, Jab England Champion Bana Tha, Laikin Ireland Kay Against Match Main Barish Ki Waja Say Jeet Nahi Saka Tha.

Khair, England Ki Haar Nay T20 World Cup Kay Group 1 Ko Aur Gambhir Kardia Hay. Sari Khatarnaak Teams Is Group Main Hain, Isi Liay To Isay ‘Group Of Death’ Keh Rahay Hain. Ab Barish Ka Factor Bhi Apna Kirdar Ada Kar Raha Hay. Yaani Tabahi Ka Poora Saman Tayyar Hay.

Is Waqt Group 1 Main Sirf Afghanistan Aisi Team Hay Jis Ka Koi Point Nahi, Baqi Sab 2,2 Point Lay Chuki Hain. Haan, Agar Melbourne Hi Main Honay Wala New Zealand-Afghanistan Match Bhi Barish Ki Waja Say Zaya Ho Gaya To Group Aur Phans Jaey Ga.

شیئر

جواب لکھیں