Pakistan Nay Netherlands Ko Hara Kar T20 World Cup 2022 Main Apni Pehli Kamyabi Hasil Kar Hi Li. Balke, Ye World Cup Main Hi Nahi Australia Ki Sarzameen Par Bhi Pakistan Ki Pehli T20i Victory Hay. Jee Haan! Pakistan Aaj Say Pehlay Australia Main Kabhi Koi T20 International Nahi Jeeta Tha. Buhat Dair Ki Mehrban Aatay Aatay!

ICC T20 World Cup 2022, 29th Match

Pakistan vs Netherlands

30 October 2022

Perth Stadium, Perth, Australia

Result: Pakistan 6 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do NED91-9
Colin Ackermann27 (27)
Scott Edwards15 (20)
PAK BowlingOMRW
Shadab Khan40223
Mohammad Wasim30152
Raftar Bharne Do PAK(T:92)95-4
Mohammad Rizwan49 (39)
Fakhar Zaman20 (16)
NED BowlingOMRW
Brandon Glover2.50222
Paul van Meekeren40191

Laikin Ye Koi Convincing Victory Nahi Thi, Specially Batting Kay Lihaz Say Dekhain To. Pakistan Sirf 92 Runs Chase Kartay Huay Bhi 14th Over Tak Chala Gaya. Jis Ki Waja Say Run Rate Ko Kuchh Khas Faida Nahi Hua.

Is Match Say Pehlay Pakistan Ka Net Run Rate -0.05 Tha, Aur Is Jeet Kay Baad Bhi +0.76 Hua Hay. Khair, Points Table Par Zero Say Aagay To Barhay.

Perth Main Honay Walay Is Match Main Netherlands Nay Toss Jeeta Aur Pehlay Khud Khelnay Ka Faisla Kia. Abhi Saans Hi Nah Ilia Tha Ke Pakistan Ki Pace Battery Nay Pakarr Lia. Pehlay Shaheen Afridi Nay World Cup Main Apni Pehli Wicket Li Aur Kuchh Hi Dair Baad Haris Rauf Naya Din Ki Sab Say Khatarnaak Ball Phainki. Ye Aik Karara Bouncer Tha Jo Bas De Leede Kay Helmet Par Itni Zaur Say Laga Ke Wo Retired Hurt Ho Gaey.

Is Kay Baad Netherlands Match Main Wapis Nahi Aa Saka. Shadab Khan, Mohammad Wasim Aur Haris Rauf Nay Dutch Batsmen Ko Jamnay Hi Nahi Dia. Aur 20 Overs Main 9 Wickets Par Sirf 91 Runs Hi Bana Sakay.

Shadab Nay 22 Runs Day Kar 3 Wickets Leen. Wasim Nay 3 Overs Main 15 Runs Diay Aur 2 Khoobsurat Clean Bowled Kiay.

Pakistan Ka Start Achha Nahi Tha. Babar Out Of Form Hain Hi, Sath Hi Bad Luck Ka Bhi Shikar Hain. 2nd Over Ki Last Ball Par Run-Out Ho Gaey. Fakhar Zaman, Jinhain Aaj Pehli Baar Khilaya Gaya Tha, 16 Balls Par 20 Runs Bananay Kay Baad Out Huay. Mohammad Rizwan Apni Fifty Na Kar Sakay Aur 49 Par Out Ho Gaey. Pakistan Ki 4th Wicket Tab Giri Jab Score Bararbar Ho Chuka Tha.

Ye Match Jeetnay Kay Baad Pakistan Ki Semi Final Campaign Zinda Ho Chuki Hay. Ab Intezar Hay India Ki South Africa Kay Khilaf Jeet Ka. Agar Aisa Ho Gaya To Pakistan Ko Bhi Apnay Last Matches Main South Africa Aur Bangladesh Ko Harana Hoga.

شیئر

جواب لکھیں