Pakistan 2007 Ke T20 World Cup Mein Final Haar Gaya Tha, Woh Bhi India Se. Dil Totay Totay Ho Gaya Tha Aur Usay Jor Sakti Thi Sirf Aik Cheez, Aik World Cup. Phir 2009 Mein Aik Aur T20 World Cup Hua, Jis Mein Bhi Kai Yadgar Matches Hue. Final Bhi Kamaal Tha, Jis Mein Jeeta Kon? Jee Haan! Pakistan. Final Tak Bhi Jaaen Ge Lekin Pehlay Zara Is World Cup Ke Kuch Yadgar Matches Ki Baat To Kar Lain.

Aik Aur Start, Aik Aur Upset

Is World Cup Ka Aaghaz Bhi Dhamakay Daar Tha. Pehlay Match Mein England Aur Netherlands Ka Amna Samna Hua. England Ne 163 Runs Ka Target Diya, Jo Netherlands Ne 6 Wickets Par Haasil Kar Liya. Yoon World Cup Ka Start Hua Aik Bohat Barray Upset Say.

Raftar Bharne Do
T20 World Cup Ka Jadu, World Cup 2009 1

South Africa Jeeta, Sirf 1 Run Se

Tournament Ka Aik Aur Zabardast Muqabla Hua New Zealand Aur South Africa Mein. South Africa Sirf 128 Runs Ka Target Day Saka. Jisay Cheez Kartay Huay New Zealand Ko Aakhri 3 Overs Mein 34 Runs Ki Zaroorat Thi. Yahan Brendon McCullum Out Ho Gaey Aur Match Phans Gaya. Yahan Tak Ke Aakhri 2 Balls Par 8 Runs Darkaar Thay, Jacob Oram Ne Aik 4 Lagaya Bhi, Lekin Last Ball Par Boundary Nah Mil Saki. Match Tie Karne Ki Koshish To Ki, Laikin Teesra Run Hota To Milta Na? Run Out Hue Aur Yoon South Africa Jeet Gaya, Sirf Aur Sirf 1 Run Se.

Semi Final: Lala vs South Africa

Is Muqablay Ne Baad Mein South Africa Ko Semi Final Tak Pohncha Diya, Jahan Is Ka Muqabla Parra Pakistan Se. Balkay Yeh Kahain To Ziyada Behtar Hoga Ke Shahid Khan Afridi Se, Kyunkay "Lala" Uss Din Apne Urooj Par Thay. Captain Younis Khan Ne Afridi Ko One Down Bheja Tha, Jahan Unhon Ne 34 Balls Par 8 Chokay Lagatay Hue 51 Runs Bana Daaley.

Yahi Nahi Shahid Afridi Ne Bowling Karte Hue Herschelle Gibbs Aur AB de Villiers Ki Qeemti Wickets Bhi Leen. 150 Runs Bananay Ke Liye South Africa Ko 3 Overs Mein 39 Runs Ki Zaroorat Thi. Jacques Kallis 64 Runs Ke Sath Crease Par Kharray Thay, Woh Match Jitwa Bhi Satke Thay Lekin Saeed Ajmal Ne Inhen Out Kar Diya. Ab Pakistan Match Mein Wapas Aa Chuka Tha. Yahan Umar Gul Ne 19th Over Mein Sirf 6 Runs Diye Aur South Africa Ko Buri Tarah Phansa dDiya. Aakhri Over Mein 23 Runs Defend Karnay Thay, Mohammad Aamir Ne Aik Six Aur Aik 4 Bhi Khaya, Lekin South Africa Ko Target Tak Puhanchnay Nahi Diya. Pakistan 7 Runs Se Jeeta Aur Aik Martaba Phir T20 World Cup Ke Final Mein Pohanch Gaya.

Pakistan Bana Champion!

Final Mein Pakistan Ka Muqabla Hua Sri Lanka Se, Jahan Usay Bohat Acha Start Mila. Mohammad Aamir Ne Pehlay Hi Over Mein Tillakaratne Dilshan Ko Out Kar Diya, Jo Khatarnaak Batsman To Thay Hi, Lekin Behtareen Form Mein Bhi Thay. Phir Abdul Razaq Ne Apna Jadu Dikhaya. Power Play Mein Hi Unhon Ne Jehan Mubarak, Sanath Jayasuriya Aur Mahela Jayawardene Ko Out Kar Diya. Kumar Sangakkara Ne 52 Balls Par 64 Runs Banaey Aur Sri Lanka Ko Bachanay Ki Poori Koshish Ki, Lekin Phir Bhi Score 138 Runs Tak Hi Pohanch Saka. Yeh Runs Pakistan Ko Roknay Ke Liay Kaafi Nahi Thay. 7 Overs Mein 48 Runs Ka Opening Start Milnay Ke Baad Aik Martaba Phir Shahid Afridi One Down Aaey Aur Is Baar To 40 Balls Par 54 Runs Bana Gaey, Woh Bhi Not Out. Un Ki Innings Mein 2 Fours Bhi Thay Aur Do Sixes Bhi. Pakistan Aasani Se Target Tak Pahoncha Aur Yoon Pehli, Aur Aakhri Martaba, Champion Ban Gaya.

شیئر

جواب لکھیں