Is Saal Ka Sab Say Bara Tournament Kaun Sa Hay Bhai? Seedhi Si Baat Hay T20 World Cup! Iss Waqt To Bhayya Yahi Format Chal Raha Hay. Test Ko To Ab Puranay Log Bhi Nahi Dekhtay, One Day Bechaara Darmiyan Mein Latka Hua Hay, Lekin T20 Hay Laadla Format. Aur Jab Is Ka World Cup Aa Jaye To Hype To Banti Hay Boss!

To Aaen Is Hype Ko Aur Barhatay Hain, Aur Baat Kartay Hain Har T20 World Cup Kay Yadgar Matches Ki, Kuchh Aisay Moments, Ki Jo Bhulaey Nahi Bhooltay.

Cricket Mein World Cup Ki Tareekh To Bohat Purani Hay, Lekin T20 World Cup Itna Purana Nahi Hay. Pehla T20 World Cup Yahi Koi 2007 Mein Khela Gaya Tha. Yani Usi Saal Mein Jab One Day World Cup Buri Terha Nakam Hua Tha. Lagta Hay Nuqsaan Poora Karnay Kay Liye Ye Idea Phainka Gaya Tha Ke Kyun Na T20 Format Mein Aik World Cup Karwaya Jaye?

Phir Maizban Bana South Africa Aur Hamein Dekhnay Ko Mila Aik Bohat Hi Mazedar Tournament! Aur Kai Aisay Matches Bhi Jin Ki Yadein Aaj Bhi Aik Dam Taaza Dam Hain.

Pehla Match Hi Kamaal

Uss World Cup Ka To Pehla Match Hi Kamaal Tha. Khail Rahay Thay South Africa Aur West Indies. Jis Mein 4s Aur 6s Ki Woh Barsaat Dekhnay Ko Mili Ke Bowlers Ko Chhati Ka Doodh Yaad Aa Gaya Tha.

Is Match Mein Pehlay "Universe Boss" Chris Gayle Ne Apna Jadu Dikhaya. Jinhon Ne Banai Sirf 57 Balls Par Hundred. Pehli Wicket Par Dwayne Smith Ke Sath Un Ki 145 Runs Ki Partnership Rahi. Phir South Africa Ko Target Diya 206 Runs Ka. Ye To Aaj Ki Cricket Mein Bhi Bohat Bara Total Hay.

Lekin Yeh Woh Zamana Tha Jab South Africa Ke Liye Kuch Bhi Namumkin Nahi Tha. Balkay Jo Impossible Hota, South Africa Woh Bhi Possible Kar Deta Tha. Is Match Mein Bhi Hum Ne Yahi Dekha. Herschelle Gibbs Ne Sirf 55 Balls Par 90 Runs Banaey, Woh Bhi Not Out Rehtay Huay. Aur South Africa Ne Itna Bara Target 18wain Over Mein Hi Chase Kar Liya. Justin Kemp Ki 22 Balls Par 46 Runs Ki Innings Ne Bhi Apna Kaam Dikhaya. Lekin Aik Bara Kirdaar Khud West Indian Bowlers Ka Bhi Tha, Jinhon Ne 23 Wides Aur 1 No Baal Phaink Kar South Africa Ka Kaam Kar Diya Bilkul Aasaan.

T20 World Cup
T20 World Cup Ka Jadu, World Cup 2007 1

Chak De Phatte!

Ab T20 World Cup 2007 Ki Behtareen Yaadon Mein Chaltay Hain Aur Agay. Yeh Match Hay England Aur India Ka. Jee Haan! Wohi Jis Mein Yuvraj Singh Ne 'Chak De Phatte' Kar Diye Thay. England Pehlay Hi Tournament Se Bahar Tha, Is Liye Kuch Tapa Hua Bhi Tha. Lekin Is Tapan Mein Andrew Flintoff Ne Ghalat Bande Ko Chhairr Diya, Apnay Yuvraj Singh Ko! Aur Yeh To Aap Jantay Hi Hain Ke Sardar Jee Ko Tapanay Ka Anjaam Kya Hota Hay? England World Cup Se To Bahar Tha Hi, Lekin Izzat Bachi Hui Thi, Us Din Yuvraj Singh Ke Hathon Woh Bhi Chali Gayi.

Waisay Yuvraj Ko Ghussa To Flintoff Par Tha, Lekin Utaara Nojawan Stuart Broad Par. Jinhein 1 Nahi, 2, 3 Nahi Balkay Over Ki 6 Ki 6 Gaindon Par Chhakay Laga Diye. Hamari Cricket Language Mein Bolein To Chhay Chhik Chhatees Kar Diye. Yuvraj Ne Sirf 12 Gaindon Par Apni Fifty Mukammal Ki, Jo Taiz Tareen Fifty Ka World Record Bana. Aaj Tak T20 International Cricket Mein Koi Dosra Batsman 12 Gaindon Par Fifty Nahi Bana Saka. To Janab, Yeh Thi Yuvraj Ki Raftaar!

Match Jisay Hum Bhulana Chahtay Hain

Ab Aglay Match Ki Taraf Chalein? Aik Aisa Match Jisay Pakistani Hamesha Ke Liye Bhula Dena Chahtay Hain, Apnay Dimagh Mein Mojood Iss Match Ki Yaadon Ko Delete Kar Dena Chahtay Hain Balkay Dimagh Kay Is Drive Partition Hi Ko Format Kar Dena Chahtay Hain. Yeh Tha World Cup 2007 Ka Final, Jis Mein Pakistan Haara, Woh Bhi India Se, Aur Uss Waqt, Jab Jeet Apnay Hathon Mein Thi.

Pehlay India Khela Aur Gautam Gambhir Ke 75 Aur Aakhir Mein Rohit Sharma Ke 16 Balls Par 30 Runs Ki Madad Se 157 Runs Bana Diye. Yani Pakistan Ko Pehla T20 World Champion Ban'nay Ke Liye Zaroorat Thi 158 Runs Ki. Chase Shuru Hua Aur Phir ‘Kahani Wohi Purani’, 65 Par Hi Pakistan Ke 4 Out Ho Gaye. Kai Logon Ne To Tv Hi Band Kar Diya Hoga Ke Ab Dekhnay Ka Kya Faida? Lekin Jab Aik End Se Wickets Girti Ja Rahi Theen To Doosray End Se Misbah Al Haq Jamay Hue Thay.

Jab 4 Overs Bachay, To Pakistan Ko 54 Runs Ki Zaroorat Thi, Aur Wickets Sirf 3 Bachi Theen. Mushkil Zaroor Tha, Lekin Namumkin Nahi. Misbah Ne Yahan Harbhajan Singh Ko 3 Chhakay Lagaey To Rotay, Dhotay Aur Sotay Pakistani Bhi Jaag Uthay. Aakhri Over Shuroo Hua To Pakistan Ko Sirf 13 Runs Bananay Thay. Aur Misbah Ne Yahan Bhi Aik Chakka Laga Diya. Ab Baqi Kya Bacha Tha? 4 Gaindon Par Sirf Aur Sirf 6 Runs? Yani Aik Hit Aur World Cup Apnay Hathon Mein!

Lekin Apni Bhi Kya Qismat Hay Bhai? Yahin Par Misbah Ke Dimagh Ki Batti Bujh Gayi. Unhon Ne Agli Gaind Par Aik Bhayanak Shot Khela. Aisa Shot Jo Chhakka To Kabhi Na Bantaa Lekin Catch Zaroor Ban Sakta Tha. Misbah Ne Khela Scoop, Off-Stump Se Kaheen Bahar Parney Wali Gaind Par Scoop. Aur Yeh Unn Ki Zindagi Ka Sab Se Barra Aur Bad Tareen Faisla Tha. Gaind Unn Ke Ballay Se Lag Kar Hwa Mein Uthi Aur Kuchh Hi Dair Mein Catch Ban Gayi. Bharat Ko Muft Mein Mil Gaya World Cup Aur Hamein Mila Zindagi Bhar Ka Rog!

Shayad Yahi Wajah Hay Ke Bohat Se Log Aaj Bhi Misbah Ko Maaf Nahi Karte. Waisay Dil Se Bitayen, Kya Aap Ne Kar Diya Hay?

T20 World Cup
T20 World Cup Ka Jadu, World Cup 2007 2
شیئر

جواب لکھیں