Amriki Riyasat Florida Main Samandari Toofan Ian Se Halakaton Ki Tadad 100 Se Ziyada Ho Gayi. Category 4 Ka Toofan Guzishta Haftay Junoob Maghribi Florida Se Takraya Tha. Sab Se Ziyada Amwat Florida Ki County Lee Main Hueen Jin Ki Tadad 54 Tak Ja Pohnchi Hay. Charlotte County Main 24 Afrad Zindagi Se Mehroom Huye. Riyasat North Carolina Main Bhi 4 Afrad Halak Huye. CNN Ke Mutabiq Ab Tak 1600 Afrad Ko Florida Ke Mukhtalif Elaqon Se Rescue Kar Ke Mehfooz Maqamat Tak Muntaqil Kiya Ja Chuka Hay.

Riyasat Florida Main Barish Ka Silsila Tham Chuka Hay Lekin Ab Bhi 491,000 Se Ziyada Ghar Aur Dafatir Bijli Se Mehroom Hain. Hukam Ke Mutabiq Lee County Main Bijli Bahal Honay Main 30 Din Se Ziyada Lag Saktay Hain Kiun Ke Waha Pura Electric Infrastructure Tabah Ho Chuka Hay. Kai Elaqon Main Makanat Aur Dukanen Mukkammal Tabah Ho Chuki Hain Aur Shehrion Ko Zindagi Mamool Per Lanay Main Mushkilat Ka Saamna Hay.

Lee County Ke Hukkam Ko Is Baat Per Bhi Sakht Tanqeed Ka Nishana Banaya Ja Raha Hay Ke Unhon Ne Inkhala Ke Ehkamat Akhri Din Kiun Jari Kiye. Agar Pehle Se Warning Jari Kar Di Jati To Qeemti Janon Ka Nuqsan Bachaya ja Sakta Tha.

American Idaron ke Mutabqi Hurricane Ian Se Kai Arab Dollar Ka Nuqsan Hua Hay. America Main Samandri Toofanon Ka Sislisla Saal Bhar Jari Rehta Hay Jis Main Shehrion Ko Shadeed Jani o Mali Nuqsanat ka Samna Karna Prta Hay.

Raftar Bharne Do
American Toofan 1
شیئر

جواب لکھیں