Petroleum Products Ki Qeematon Main Kami Ne Ishaq Dar Aur Miftah Ke Darmiyan Ikhtilafat Ki Aag Mazeed Bharka Di Hay. Sabiq Wazir-e-Khazana Ne Ishaq Dar Ke IMF Se Puchay Baghair Qeemat Kam Karne Ke Faislay Ko “Reckless” Qarar Diya Tou Ishaq Dar Ne Unhen Khari Khari Suna Deen.

Aik TV Program Main Baat Kartay Huye Ishaq Dar Ne Kaha Ke Miftah Fikar Na Karen, Mujhe IMF Se Deal Karna Aata Hay. 25 Saal Se IMF Ko Deal Kar Raha Hoon. Ishaq Dar Ka Mazeed Kehna Tha Ke Awam Ko Sahulat Pohnchana Pehli Tarjeeh Hay, Sailab Ki Wajah Se Paida Shuda Halat Main Izafi Levy Lagana Munasib Nahi Hota. Ishaq Dar Ki Barahk Ki Goonj Thami Bhi Nahi Thi Ke IMF Ka Reaction Bhi Aa Gaya. IMF Ne Kaha Ke Pakistan Ne Loan Ke Liye Jo Muahiday Kiye Hain Wo Ab Bhi Laagu Hain. Islamabad Main IMF Ki Numainda Esther Pérez Ruiz Ne Kaha Ke Hukumat-e-Pakistan Ne IMF Support Program Ke 7th Aur 8th Review Ke Liye Jo Policy Commitment Ki Hain Un Per Amal Karna Hoga. Esther Pérez Ruiz Ne Mazeed Kaha Ke Sailab Mutasreen Ko Kese Support Karna Hay Is Per Policy Muazkrat Aaainda Hafton Main Hon Ge.

Dusri Jaanib Bloomberg Ne Pakistan Economy Ke Liye Khatray Ki Ghanti Baja Di Hay. Report Main Bloomberg Ne Likha Hay Ke IMF Program Se Jo Behtari Aani Thi Us Per Sailab Ne Paani Phair Diya Hay. 50% Khadsha Hay Pakistani Currency Aglay Saal Shadeed Dabao Ka Shikar Rahay Gi. Rupay Ki Qadar Mazeed Kam Aur Zar-e-Mubadla Ke Zakhair Main Kami Ka Silsila Jari Rahay Ga. Bloomberg Ka Ye Khaufnak Tajziya Dursut Sabit Hua Tou Pakistanion Ke Liye Sakht Waqt Aanay Wala Hay.

Aiay Haal Main Jab Mulk Ki Economy Sailab Ki Wajah Se Doob Rahi Hay, IMF Ki Taraf Se Do More Ka Taqaza Ho Rahay Hay, Pakistan Ko Thora Sa Relief Aqwam-e-Muttahida Ki Jaanib Se Mila Hay. UN Ne Sailab Mutasreen Ke Liye Imdad 160 Million Rupees Se Barha Kar 916 Million Rupees Karnay Ka Elan Kiya Hay.

شیئر

جواب لکھیں