Ahsan Sabz

Do Saal Qabal Imam Khomeini Ki Barsi Ke Mauqay Per Duniya Bhar Ke Sahafion Ki Terhan Khanah Farhang Ke Tavassut Se Irani Hukoomat Ne Karachi Ke Sahafion Ko Bhi Dora Iran Ki Dawat Di.

Tehran Land Karne Se Thori Der Pehlay Tak Jahaaz Me Bhi Mein Yahi Soch Raha Tha Ke Hawai Adday Ke Bahar Sarrak Per Baithy Log Degchion Mein Uranium Afzodah Kar Rahay Honge, Baazaaron Mein Johri Missilon Ki Lout Sale Hogi, America Aur Israel Ke Sifarat Khanon Par Taaza Hamlon Ke Liye Shiften Change Horahi Hongi, Aur Ijtimai Phansiyon Ki Wajah Se Har Aglay Chowk Par Traffic Jaam Hoga.

Lekin Jahaaz Se Utar Kar Shehar Mein Bohat Andar Tak Daakhil Honay Ke Baad Bhi Aisa Kuch Nazar Na Aaya, Haan Nisbatan Garam Martoob Tehran Ke Aitraaf Pahariyoon Per Jami Barf Herat Angaiz Thi, Yahan Jitne Din Qiyam Kiya, Lamhay Lamhay Aur Qadam Qadam Par Inkishafaat Hue, Aankhon Dekhi Ne Bohat Sharminda Karaya, Apna Sach Talaash Karna Kitna Zaroori Hai Is Ka Kabhi Na Bhoolnay Wala Sabaq Haasil Kiya. 12 Roz Ki Kahani Tou Mahino Chal Sakti Hai Lekin Dil Per Assar Karne Walay Lamhaat Mein Se Bas Teen Pesh Khidmat Hain.

Woh Sirf Mineral Water Ki Ek Bottle Hi To Thi, Woh Bhi Adhi Khaali, Lekin Cabin Walay Ki Nahi, Meri Milkiyat Thi, Halake Hotel Se Muft Mili Thi Lekin Cabin Per Bhola To Uss Ne Amanat Ke Tor Par Rakh Li. Apne Usi Fridge Mein Jo Usi Brand Ki Bottlon Se Pehlay Se Bhara Huwa Tha, Baqiyon Me Sirf Meri Bottle Aadhi Thi, Baqi Bhari Hui, Meri Mamooli Baqi Qeemti. Lekin Thi To Amanat. Woh Amanat Ki Ahmiyat Se Waaqif Tha, Isi Liye Teen Roz Tak Hifazat Se Rakhi. Raat 11 Bajey Ke Waqt Jab Aadha Tehran So Chuka Tha Me Apne Group Ke Sath Adat Ke Mutabiq Karachi Ke Time Wali Chaye Peenay Cabin Per Pohancha To Is Ne Wohi Pani Ki Bottle Muskurahat Ke Sath Thama Kar Mujhe Larza Diya. Me Teen Roz Se Uthte Baithtay Waisay Hi Tehran Ki Mohabbat Mein Shiddat Se Girftar Tha Lekin Is Ada Ne To Mujhe Bilkul Hi Nidhaal Kar Diya. Ya Allah Me Kis Shehar Me Kin Logon Ke Beech Reh Raha Hon? Yeh Kon Si Makhlooq Aur Saiyarah Hai? Mehman Nawazi Ki Mithaas Ne Mujhe Chai Ke Pheekay Pan Ka Ehsas Bhi Na Honay Diya. Bakol Chandio Sahib Ke. Yaar Hum To Is Shehar Mein Un Logon Ke Beech Bemaar Ho Jaien Ge. Dil Ko Kaisay Samjhayen Ge Ke Km O Besh Apni Rangat Walay Insanon Mein Imandari, Mehman Nawazi, Rakh Rakhao Aur Naram Goi Ki Tamam Baatein Khuwab Nahi, Haqeeqat Hain.

Kuch Der Burj Azadi Ke Saaye Taley Kharay Rehne Ka Shandaar Ehsas Lekar Qareebi Zair Zameen Metro Station Ki Janib Lota, Hamara Hotel Tehran Ke Firdousi Nami Ilaqay Mein Tha, Yun Maidan Azadi Se Firdousi Ke Beech Adhay Ghantay Par Muheet Rastay Mein 6 Stations Parna Thay. Station Mein Dakhil Hotay Waqt Machine Ke Scanner Ko Metro Card Dekhaya To Is Ne Credit Khatam Honay Ki Nishandahi Ki. Pakistani Chand 100 Rupoo Ka Card Kitney Hazaar Irani Rial Ka Banay Ga. Zehen Mein Hisaab Karte Karte Ticket Counter Ki Janib Barha, Wahan Baithy Khush Libaas Larke Ne Salam Ka Jawab Dete Hi Bhaanp Liya Ke Mujhe Farsi Nahi Aati. Mein Ne Batway Se Nikaal Kar Bohat Se Irani Rial Aur طومان Is Ke Samnay Counter Par Phela Diye Ke Matlooba Raqam Nikaal Le, Abhi Woh Dubi Muskurahat Ke Sath Mujhe Narmi Se Samajhate Hue Paisay Wusool Kar Hi Raha Tha Ke Aik Hanpti Kaanpti Zanana Aawaz Ne Hum Dono Ko Chonka Diya. Woh Bohat Khubsoorat Or Purkashish Thi, Line Mein Peechay Lagnay Ke Bajaye Bilkul Mere Barabar Aa Khari Hui, Francesi Tarz Ka Madham Makeup, Fashion Ke Aala Zouq Ki Akkaasi Ker Raha Tha. Uss Ne Counter Ki Khirki Ke Andar Daal Kar Haath Se Note Oopar Neechay Hilaate Hue Be Qarari Se Credit Refill Karne Darkhwast Ki. Shayad Is Ki Train Nikal Rahi Thi. Mein Thora Peechay Ko Hata Lekin Aglay Hi Lamhay Counter Mein Baithy Nojawan Ne Daant Beenchte Hue Ussay Nisbatan Sakhti Se Mukhatib Kya. Un dono ke darmiyan chand jumlon ke tabadlon mein mujhe mehman ka lafz aik se zyada martaba sunai diya. Achanak larki ne paison samait haath counter ki khirki mein se khech nikala aur mujhe dekhte hue tooti phooti angraizi mein ‘Sorry, Please You Go’ Kaha Is Baar Mein Ne Ussay Ghor Se Dekha. Woh waqai khubsoorat thi. Mein chaah kar bhi. No No. Ya Ladies First Ka Boseedah Takaluf Bhara Jumla Na Keh Paaya. Muskuratay Nojawan Se Card Le Kar Platform Ki Taraf Lota To Izzat Afzai Ki Gul Qand Se Hont Chip Chipa Rahay Thay. Train Mein Safar Ke Doran Uss Ka Face Cut Yaad Karta Raha Aur Dil Hi Dil Mein Naam Miss Tehran Rakh Diya.

Jis Waqt Qari Ne Tilawal Shuru Ki, Pehli Ayat Khatam Honay Se Pehlay He Meray Bazuon Ke Baal Kharay Hogai, Halanke Speaker Munasib Faslay Per Tha Aur Tez Ac Walay Haal Me Neend Ki Si Kefiyat Thi, Lekin Awaz Ki Pitch Ne Mujhe Ek Lamhe Ke Lie Jhinjor Dala, Makhsoos Irani Nakoosh,Kad Chota Lekin Choti Peshani Wala Pur Aitmaad Chehra, Us Per Qurani Ayaat Ka Ek Ek Lafz Ki Adaigi Intehai Saleeqay Se Jama Betha Kar, Wahan Qari Sahib Ki Ankhen Band Thi Lekin Yahan Me Palken Jhukana Bhool Gaya, Ye Tehran Ke Sadarti Compounder Me Sadar Ahmedi Nusraad Ki Taraf Se Dunya Bhar Se Aye Sahafiyon Ke Aizaz Me Saji Taqreeb Thi Jis Ka Aghaz Kisi Ke Bhi Taruf Ya Hidayati Ailaan Ke Bajae Barahay Rast Qalaam Allah Se Hua. Ye Tilawat Hmari Ala Satah Ki Mahafil Ki Tarah Rasmi Yun Na Thi Kay Jis Andaaz Me صدق الله العظيم  Ke Baad Bagher Kisi Announcement Sadar Ahmadeen Nasrad Khud Kursi Se Uth Kar Agay Barhke Or Dono Shanon Se Jakar Kar Qari Sahib Ko Galay Lagaya Or Dono Galon Pe Bosa Denay Meray Lie Manzar Bilkul Naya Or Choka Denay Wala Tha Menay Aisa Hotay Pehlay Kabhi Nahi Dekhha Tha. Na Sirf Ye Balke Sadar Stage Ki Seerhi Ke Kareeb Qari Sahib Se Sawaliya Andaaz Me Guftugu Karnay Lag Gai Allah Janay Kisi Ayat Ka Matlab Pocha Ya Husne Qirat Se Mutaliq Koi Tanqeedi Pehlu Daryaft Kiya, Lekin Darjanon Ghair Mulki Mehmanon Ko Khushamadeed Kehnay Se Pehlay Yun Apnay Hum Watan Or Qabil Dastaras Qari Sahib Ki Yun On The Spot Izat Afzai Ki , Wo Bilashuba Ek Mutasir Kun Lamha Tha, Menay Khud Se Kaha Ke Yar Aisa Kon Karta Hai, Aisa Tou Sirf Kadardaan He Karsakty Hain, Iske Baad Apni Taqreer Me Sadar Sahib Ne Mehmanon Ko Salam Kiya, Khushamdeed Kaha, Khairiyat Jani, Phir Tasawuf Se Lekar Mazhabi Rawadari, Saqafat Ki Ehmiyat, Benul Aqwami Siyasat, Iktisadi Pecheedgiyon, Tail Ki Tijarat Tawanai Ki Barhti Zarorat Or Science Or Technology Ke Badalte Rujhan Ke Tak Har Mozu Per Jam Kar Guftugu Ki, Kai Baten Samajh Aen Or Jo Nahi Aen, Inhe Bhi Me Bilkul Ishe Tarah Shoq Se Suntan Raha Jis Tarah Quaid Azam Ko Suntay Hue Unparh Dehati Kaha Kartay Thay, Ke Maloom Nahi Kiya Keh Raha Hai, Lekin Itna Yaqeen Hai Ke Sach Reh Raha Hai.

شیئر

جواب لکھیں