Agar Kisi Bhi Pakistani Say Puchain Kay Dunya Ka Sab Say Sakhi, Sab Say Dayalo Log Kis Mulk Kay Hain? Kaunsa Mulk Charity Main Number One Hay Tou Wo Seena Thonk Kar Kahay Ga Kay Pakistan.

Raftar Bharne Do
Aik Rifahi Idaray Main Langar Kay Liye Khana Pakaya Ja Raha Hay.

Ye Taassur Pakistan Main Kai Barson Say Paya Jata Hay Kay Hum Khairat Denay Main Bhi “Number One” Hain. Jis Tarah Deegar Kai Baaton Main Pakistani Khud Ko “Number One” Samjhtay Hain. Maslan Pakistanion Nay Dunya Ki Zaheen Aqwam Main Bhi Khud Ko “Number One” Qarar Diya Hua Hay. Bahaduri Ki “Number One” Position Bhi Apnay Paas Rakhi Hay. Jhanda Bhi Hamara Sab Say Aala Hay, Tarana Bhi Hamara Hi “Number One” Hay. Ab Chahay Dunya Main Aisi Koi Muqala, Koi Survey, Koi Ranking Hui Ho Ya Na ho. Bulkay Jin Cheezon Ki Ranking Hoti Hay Wahan Achi Baaton Main Hum “Number One” Tou Kiya Top 10 Aur Kabhi Tou Top 100 Main Bhi Nahi Aatay.

Judiciary, Police, Sarkari Idaron Ki Karkardgi Main Pakistan Aakhri Saf Main Aata Hay. Haan Corruption Kay Tassur Ki List Banti Hay Tou Hamra Desh Aagay Khara Nazar Aata Hay. Khawateen Kay Liye Khatarnak Mulkon Ki Baat Hou Tou Bhi Hum Agli Saf Main Hotay Hain.

Charity Main Number One Kaun Sa Mulk Hay?

Isi Tarah Pakistani Chahay Laakh Daway Kar Lain Kay Khairat Denay Main Hum ‘Awal Number’ Hain, Dunya Aisa Nahi Manti. Charities Aid Foundation Har Saal ‘World Giving Index’ Kay Naam Say Aik Report Publish Karti Hay Jis Main Dunya Bhar Kay Mulkon Ki Charity Kay Hisab Say Ranking Ki Jati Hay.  Is Ka Pehla Edition 2010 Main Shaya Hua Tha. Dilchasp Baat Ye Hay Guzishta Bara Saal Main Pakistan Is Report Main Kabhi ‘Number One’ Position Tou Kiya Top 50 Main Bhi Nahi Aaya. 2010 Main Sab Say Zyada Sakhi Log Australia Aur New Zealand Kay Qarar Diye Gaye Thay.

Raftar Bharne Do
CAF World Giving Index 2010

2011 Main America Top Par Aa Gaya. 2012 Main Phir Australia Aur 2013 Main Dobara America Kay Logon Ko Sab Say Sakhi Mana Gaya.

2014 Main Sab Say Zyada Khairat Karnay Walay Awam Ka Aizaz Myanmar Aur America Ko Mila. 2015, 2016 Aur 2017 Main ‘Number One’ Ki Position Myanmar Kay Paas Rahi. 2018 Main Indonesia Kay Awam Sab Say Zyada Sakhi Ho Gaye, 2019 Main Phir America Ko 10 Saal Ki Report Main Pehlay Number Par Rakha Gaya Magar 2020 Ki Salana Report Main America Top 10 Main Bhi Shamil Na Ho Saka. 2020 Aur 2021 Main Indonesia Awal Number Par Raha. 2021 Main Kenya Ko 2nd Aur America Ko 3rd Position Par Rakha Gaya.

Raftar Bharne Do
CAF World Giving Index 2022

Charity Main Kisi Mulk Ko Number One Kesay Qarar Diya Jata Hay?

Charities Aid Foundation Kay Mutabiq Ye Ranking Gallup World Poll Kay Data Say Murtab Ki Jati Hay Jis Main Har Mulk Kay 1,000 Logon Say 3 Sawalat Kiye Jatay Hain Kay Unhon Nay Pcihlay Mahinay Main In 3 Main Say Konsa Charity Ka Kaam Kiya?

  1. Kisi Ajnabi Ki Madad Ki?
  2. Kisi Charity Ko Chanda Diya?
  3. Kisi Organization Kay Liye Volunteer Kiya?
Raftar Bharne Do

Pakistani Number One Nahi Tou Kis Number Par Hay?

CAF Ki Salana Report Kay Mutabiq Pakistan 2010 Main 142 Number Par Tha Magar 2011 Main Hairat Angez Tor Par 34 Par Aa Gaya.

Raftar Bharne Do
CAF World Giving Index 2010

2012 Main Dobara 85th Position Par Phonch Gaya. 2013 Main 53rd Par Aaya. 2014 Main Pakistan Ki Position 61 Rahi. 2015 Main 94 Aur 2016 Main Pakistan Ko 92nd Number Par Qarar Diya Gaya. 2017 Main Pakistan Ko 78 Aur 2018 Main 91st Position Par Dala Gaya. 2020 Main Pakistan Ko Lowest Scorer Mulkon Main Shamil Kar Karkay 107th Position Di Gayi. 2021 Main Bhi Pakistan Ko 108th Number Kay Saath Last 12 Mulkon Main Shamil Kiya Gaya.

Raftar Bharne Do
CAF World Giving Index 2021

CAF KI Reports Par Uthnay Walay Sawalat

Aalmi Idaray Ki Annual Reports Kay Bawajood Pakistani Khud Ko Sakhawat Kay Maidan Main Peechay Mannay Ko Tayyar Nahi, Bulkay Wo Tou CAF Aur Gallup Ki Reports Aur Un Kay Tareeqa-e-Kar Par Sawalat Uthatay Hain. 2010 Main Pakistan Ko 142nd Number Par Rakha Gaya Tha Magar Aglay Saal Direct 34 Par Pohncha Diya Gaya. Khud CAF Ki Report Main Ye Aitiraf Kiya Gaya Kay Aisa Data Collecting Agency Badalnay Aur Say Sampling Methodology Tabdil Honay Ki Wajah Say Hua.

Raftar Bharne Do
World Giving Index 2011, Page 34

Jab Agency Aur Sampling Badlnay Say Sirf Aik Saal Main Itna Faraq Par Sakta Hay Tou Idaray Kay Baqya Saalon Aur Dusray Mulkon Kay Data Par Kyun Kar Aitibar Kiya Ja Sakta Hay. Dusri Baat Ye Kay Gallup Kay Mutabiq Har Mulk Main Sample Kay Taur Par 1,000 Afrad Ko Chuna Jata Hay. Itnay Chotay Sample Size Par Itnay Baray Nataij Akhaz Karanay Par Pehlay Bhi Sawalat Uthtahy Rahay Hain.

Myanmar, Kenya Aur Kai Afriqi Mulkon Ka Musalsal Top 20 Main Rehna Bhi Is Survey Ki Authenticity Par Shukook Paida Karta Hay.

Kya Survey Kay Sawalat Say Bhi Farq Par Sakta Hay?

Aik Aham Baat Gallup Kay Sawalat Bhi Hain, Pehla Sawal Ye Kya Jata Hay Kay Kya Aap Nay Kisi Ajnabi Ki Madad Ki?

Goya Kisi Jannay Walay Ki Madad Karna Charity Nahi Hay? Pakistan Main Log Aksar Apnay Doston Yaron, Rishtedaron Ki Madad Kartay Rehtay Hain. Tou Bajaye Ye Puchnay Kay Agar Ye Pucha Jaye Pichlay Mahinay Aap Nay Kisi Ki Bhi Madad Ki Tou Yakeenan Zyada Tar Afrad Ka Jawab Haan Man Hota.

Dusra Sawal Ye Kiya Jata Hay Kay Aap Nay Kisi Charity Ko Atiya Diya? Is Sawal Par Sawal Ye Paida Hota Hay Kay Kiya Charity Kisi Organization Ko Chanda Denay Hi Say Hoti Hay?

Pakistan Main Yun Tou Beshumar Charity Idaray Kaam Kar Rahay Hain, Lakhon Log Har Mahinay Unhen Chanda Bhi Detay Hain, Lekin Is Kay Bawajood Bohat Say Log Kisi Idaray Ko Chanda Denay Kay Bajaye Khud Kisi Ki Madad Karna Pasand Kartay Hain. Tou Gallup Kay In Do Sawalon Kay Bajaye Sir Aik Sawal Kiya Jaye Kay Kya Aap Nay Pichlay Mahinay Kisi Ki Bhi Mali Madad Ki? Koi Sadqa, Khairat, Chanda Waghera Diya? Tou Wazeh Imkan Hay Kay Pakistan Ki Ranking Dusray Mulkon Say Kahin Behtar Hoti.

Teesra Sawal Volunteer Ban Kar Kisi organization Ko Waqt Denay Say Mutaliq Hay. Ye Haqiqat Hay Kay Pakistan Main Volunteer Bannay Ka Rujhan Kam Hay, Isi Wajah Say Is Category Main Pakistan Ki Ranking Hamesha Kam Aati Hay, Lekin Deegar Mulkon Ki Achi Kar Kardagi Ki Wajah Ye Bhi Hay Kay Wahan Razakaron Ko Stipend Diye Jatay Hain. Paksitan Main Agar Kisi Ko Stipend Milay Tou Wo Khud Ko Razakar Nahi Bulkay Mulazim Hi Samajhta Hay.

Ground Realities Kiya Hain?

In Sab Baaton Kay Ilawa Zameeni Haqaiq Bhi Batatay Hain Kay Pakistani Khulay Dil Kay Log Hain. Edhi Foundation, Akhuwat Foundation, Alamgir Trust, Sailani Trust, Al Khidmat, Chhipa, JDC Samait Hazaron Falahi Idaray, Lakhon Masajid, Deeni Idaray, SIUT, Indus, Shaukat Khanum Jesay Lakhon Hospitals, Schools, Langar Khanay Waghera Awam Kay Chanday Hi Chaltay Hain. Magar Badqismati Say Hamari Economy Ki Tarah Zyada Tar Atiyat Bhi Undocumented Hotay Hain Is Liye In Kay Volume Ka Dursut Pemaish Mumkin Nahi. Agar Charity Ki Ye Ruqoom Documented Hoti Aur Per Capita Income Ki Percentage Kay Hisab Say Charity Ranking Ki Jati Tou Pakistan Saf-e-Awal Kay Mumalik Main Shamil Hota.

شیئر

جواب لکھیں