Kya Russia-Iran Political Relations Main Kuch Naya Ho Raha Hay? Kya Dono Mulk Kay Defence Relations Bhi Aik Qadam Aagay Barh Chukay Hain? Yeh Sab Sawalaat Irani Foreign Minister Hossein Amirabdollahian Kay Aik Aitrafi Bayan Kay Baad Uth Rahay Hain.

Hossein Amirabdollahian Nay Kaha Hay Ke Iran Nay Russia Ko Drones Diye Thay. Laikin Yeh Drones Ukraine War Shuru Honay Say Pehlay Diye Gaey Thay.

Ukraine War Main Iran Made Drones Nay Capital Kiev Main Bombardment Ki Thi.

Pehlay Inkar, Phir Iqrar

Is Say Pehlay Iran Ki Taraf Say Russia Ko Ukraine War Kay Liay Weapons Dainay Ki Tardeed Ki Jaati Rahi Hay.

United Nations Main Iran Kay Ambassador Amir Saeid Iravani Nay Bhi Russia Ko Weapons Denay Ki Tardeed Ki Thi Aur In Allegations Ko Ghair Haqeeqi Qarar Diya.

UN Security Council Main America Aur Uss Kay Ittehadi Mulkon Nay Secretary-General Antonio Guterres Ko Kaha Hay Ke Investigation Kerwaei Jaey Ke Kia Russia Nay Ukraine Main Civilians Ko Nishana Bananay Kay Liye Iranian Drones Istemaal Kiye?

Iran Kay Foreign Minister Hossein Amirabdollahian Nay Yeh Kaha Hay Kay Ukraine Main Iran Kay Drones Kay Istimal Ka Ilm Nahi. Unhonay Iss Controversy Ko Roknay Kai Liye Pur-Azm Rehnay Ka Yaqeen Dilaya.

Yeh Bhi Offer Ki Gai Ke Ager Ukraine Kay Pass Koi Aisay Documents Hain Jis Say Yeh Zahir Ho Ke Drones Istemal Kiye Gaey Hain Tou Humain Faraham Karay.

Mazeed Kaha Gaya Ke Ager Yeh Sabit Hojata Hay Ke Russia Nay Irani Drones Ukraine Main Istemaal Kiye Hain Tou Iran Iss Mamlay Per Apni Ankhain Band Nahi Keray Ga.

Irani Drones Hain Kia Cheez?

Raftar Bharne Do
Iranian Drones Aik undisclosed location Par (Photo: REUTERS)

In Jasoos Drones Ki Khususiyat Yeh Hay Ke In Ka Nishana Buhat Achha Hota Hay. Yeh Size Main Chhotay Aur In Ki Maliyaat Bhi Kam Hoti Hay.

Ukraine Per Russia Kay Hamlay Main Inn Drones Nay Ehaam Kirdar Ada Kiya. Inn Ki Waja Say Missiles Ka Role Khatam Horaha Hay. Yeh Seconds Main Hadaf Ko Nishana Bana Daitay Hain.

Iran Main In Ko Shahed-136 Drones Ka Naam Diya Gaya, Laikin Russia Inn Ko Geran-2 Kehta Hay.

Iss Main Explosives Lagay Hotay Hain Aur Yeh Hadaf Ko Nishana Banatay Huay Khud Bhi Tabaah Hojatay Hain. Yani Ye Suicide Drones Hain.

Russia Iran Relations Kaisay?

USA Nay Claim Kia Ke Russia Kay Delegation Nay June Aur July Main Tehran Kay Nazdeek Kashan Airfield Ka Visit Kerkay Drones Manfacturing Ka Jaiza Liya Tha.

Iran Nay American Statement Ko Condemn Kia Tha, Aur Kaha The Ke Ukraine War Main Russia Ya Ukraine Ko Weapons Faraham Nahi Kiye Jaein Gaey.

September 2022 Main Ukraine Military Ki Taraf Say Aisi Images Jaari Ki Gaein Theen, Jin Main Dikhaya Gaya The Ke Iran-made Drone Ko Nishana Bana Ker Giraya Gaya Hay.

شیئر

جواب لکھیں