"Akela Babar Kya Karay?" "Middle Order Mein Koi Sanbhalnay Wala Hi Nahi?" Aisay Sawal To Hum Roz Suntay Aa Rahay Hain, Laikin Jawab Ab Ja Kar Mila Hay: Wo Hay Karachi Ka "S" Factor, Yani Sarfraz Ahmed Aur Saud Shakeel. Donon Nay 2nd Test Main Bhi Responsibility Nibhai. Lagta Hay Kay Un Ki 150 Runs Ki Partnership Nay Pakistan Ka Middle Order Crisis Door Kardiya Hay.

Saal Bhar Home Ground Par Koi Test Na Jeetnay Walay Pakistan Kay Liay New Zealand Kay Sath Test Series Is Liay Bhi Important Hay Kyunke Ye PCB Kay New Setup Ka Pehla Imtihan Hay. Jo “New” Players Ab Shamil Kiay Gaey Hain, Un Ki Importance Buhat Zyada Hay. Especially, Sarfraz Ki.

2nd Test Karachi Main Umeed To Thi Kay Aik Sporting Wicket Hogi. PCB Management Nay "Tall Claims" Jo Kiay Thay, Laikin Aisa Kuch Nahi Hua. New Zealand Ki To Last Wicket Kaam Dikha Gai, Aur 449 Runs Ka Total Bana Dia. Laikin Jab Baari Ai Pakistan Ki To “Traditional Batting Collapse” Nazar Aa Gaya. 99 Per 3 Aur 182 Per 4 Batters Out Ho Gaey, Aur Yahan Saud Ka Sath Denay Un Kay Karachiite Partner Sarfraz Ahmed Crease Per Aaey. Dono Nay Karachi Ki Rawayati Street Smart Cricket Kheli. Bad Balls Out Of The Park Aur Achi Balls “Well Left” Ki Technique Istemal Ki Aur Score Barhta Chala Gaya.

Sarfraz Nay Dhoka Nahi Diya

Test Cricket Main 3 Saal Baad Come Back Former Captain Ko Raas Agaya Hay. 'Saifi' Nay Apni Wapsi Ko Theek Sabit Kartay Huay 109 Balls Par 78 Runs Ki Innings Kheli, Jis Main Experience Kay Sath Un Ki Class Bhi Nazar Aai.

Sarfraz Consecutive 3 Test Innings Main 50+ Score Kar Chukay Hain. Yeh Un Kay Career Ki 21st Fifty Thi.

As A Wicket Keeper Batter, Wo Pakistan Ki Taraf Say Sab Say Ziada Fifties Bananay Walay Player To Pehlay Say Hi Hain.

As A Wicket Keeper Most 50+ Innings For Pakistan

InnsRunsHS50+
Sarfraz Ahmed89287411224
Kamran Akmal922648158*18
Moin Khan98258113718
Imtiaz Ahmed67201020914
Mohammad Rizwan411360115*9

Aik Controversial Out

New Zealand Kay Captain Tim Southee Nay Kuch Out Of The Box Karnay Ka Socha Aur Ball Daryl Mitchell Ko Thama Di. Mitchell Ki Leg Side Say Bahar Jati Ball Ko Sarfraz Nay Khelnay Ki Koshish Ki Magar Ball Un Kay Bat Par Nahi Aai, Aur Woh Disbalance Ho Gaey.

Is Doran Wicket Keeper Blundell Nay Balls Dislodge Kardeen. Leg Umpire Nay New Zealand Players Ki Appeal Per Decision Third Umpire Kay Hawalay Kardiya.

Waisay Hi Is Series Main Umpiring Per Kafi Shor Mach Raha Tha, Yahan Third Umpire Ahsan Raza Nay Wo Decision Kar Dia, Jis Say Aur Question Mark Raise Ho Gaey Hain.

Replay Main Dekha Jasakta Hay Kay Sarfraz Ki Heel Crease Kay Andar To Hay Magar Un Kay Boot Ki Spikes Freezed Frame Main Bhi Crease Say Peechay Nazar Arahi Hain. Ab Ye Pata Nahi Ke Third Umpire Nay Kaun Si Bionic Eye Say Dekh Lia Aur Saifi Ko Out Day Diya.

Saud Shakeel, Man Of Steel

Cricket Pundits 27 Saala Saud Shakeel Ko Pakistan Cricket Ka Future Qarar Day Rahay Hain, Aur Wo Ghalat Nahi Keh Rahay.

Is Innings Ko Mila Kar Pehlay Saud Shakeel 9 Test Innings Main 78.14 Ki Average Say 547 Runs Bana Chukay Hain. Career Kay Initial 5 Tests Main 6 Baar 50+ Score Kar Chukay Hain. Aur Is Match Main Pehli Baar 100 Bhi Kar Li.

Career Ki 1st Test Century Kay Baad Saud 3rd Day Kay End Tak 124 Runs Par Not Out Hain. Apnay Zabardast Temperament Aur Shot Selection Say Fans Ko Buhat Impress Kar Chukay Hain.

To Pakistan Ab New Zealand Kay First Innings Total Kay Kafi Qareeb Puhanch Chuka Hay. Magar Ab Zarurat Hay Kay Top Order Bhi Acha Perform Karay, Warna Home Ground Par Series Haarnay Ka Silsila Aur Lamba Ho Sakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں