First Innings Mein 438 Runs Banany Kay Baad Bhi 174 Ka Deficit? Bowling To Responsible Thi Hi, Laikin Pak-New Zealand First Test Kay Aakhri Din To Batsmen Bhi Phansa Gaey. Yahan “S” Factor Kaam Aa Gaya, Matlab: Sarfraz Ahmed Aur Saud Shakeel.

Pooray Saal Home Ground Par Koi Test Na Jeetnay Walay Pakistan Kay Liay 2022 Ka Ye Last Test Is Liay is liay Bhi important tha kyunke ye PCB Kay New setup ka pehla imtehan tha. jo "New" Players Shamil kiay gaey thay, un ki importance buhat zyada thi. especially, sarfraz ki.

Sarfraz Ki Wapsi

Sarfraz Ahmed Ki 4 Saal Baad Test Team Main Wapsi Headlines Bana Gai. Un Kay Liye Ye Match Is Liye Bhi Eham Tha Kyunke ye Un Ka 50th Test Bhi Tha. Pehli Innings Mein 86 Runs Bana Kar Unhon Nay Apni Importance To Sabit Kar Di Thi, Laikin 2nd Innings Main To Game Hi Badal Chuka Tha.

Wicket Keeping Mein Ghaltion Nay Sarfraz Par Pressure Aur Barha Dia. Phir 2nd Innings Main Jab Wo Aaey To Pakistan Sakht Mushkil Main Tha. Pakistan Ki Umeed Babar Azam Out Ho Chukay Thay. Abhi To Poora Din Para Tha Aur Team Ki Recent Performance Dekh Kar To Lagta Tha Ke Hum Aik Baar Phir Haar Jayen Gay. 74 Runs Ka Deficit Aur Pahar Jaisa Din Abhi Baqi Tha.

Yahan Sarfraz Nay Dhoka Nahi Dia, Aik Bar Phir. 76 Balls Par 53 Runs Ki Aisi Innings Kheli Jis Nay Match Bachanay Main Aik Important Role Play Kia. Imam-ul-Haq Kay Sath Un Ki 85 Runs Ki Partnership Nay Match Bachanay Ki Bunyad Dali.

Top Class Saud

Laikin Tea Par Pakistan Ka Score 249-7 Tha, Yani Total Lead Sirf 75 Runs Ki Thi Aur Wickets Only 3 Baqi Theen. Yani Match Hath Say Nikal Chuka Tha, Jab Saud Shakeel Datt Gaey. Apnay 4th Test Match Main 5th Fifty Plus Score Kiya Aur Pakistan Ka Saviour Ban Gaey.

Saud Shakeel

Saud Match Kay Nazuk Tareen Marhalay Par 8th Number Par Khelnay Aaey Thay. Jab Imam ul Haq 96 Par Out Huay Thay Aur Doosray End Par All-Round Mohammad Wasim Thay.

Yahan Donon Nay Kamal Kardia. Match Kay Last Session 71 Runs Ki Is Partnership Nay Match Bacha Lia. Saud 138 Minutes Tak Crease Par Rahay, 108 Balls Par 55 Runs Kiay Aur Not Out Rahay. Kyunke Pakistan Kay Captain Nay Din Kay Last Moments Mein Pakistan Ki Innings Declare Karnay Kay Ailan Kar Dia Tha. New Zealand 138 Runs Chase Karnay Kay Liay Aagay To Barha Laikin Itnay Overs Hi Baqi Nahi Thay Ke Wo Target Hasil Kar Leta, Aur Na Hi Pakistan Kay Bowlers Kay Liay Mumkin Tha Ke 10 Wickets Lay Patay.

Khair, Is Innings Kay Sath Saud Shakeel Ab Tak 4 Test Matches Main 60.42 Ki Average Say 423 Runs Score Kar Chukay Hain. Cricket Pundits 27 Saala Saud Ko Pakistan Cricket Ka Future Qarar Day Rahay Hain, Aur Wo Ghalat Nahi Keh Rahay.

To "S" Factor Nay 1st Test Match To Bacha Lia. Sarfaraz Aur Saud Ki Street Smart Skills Pakistan Ko Home Ground Par Aik Aur Shikast Say Mehfooz Rakha. Ab Dekhna Ye Hay Ke 3rd January Say Isi Maidan Par Honay Walay 2nd Test Match Main Kya Hoga? Yaad Rakhain Ke Ghalti Ki Koi Gunjaish Nahi.

شیئر

جواب لکھیں