Pakistan New Zealand Karachi Test Draw Hogaya. 2 Matches Ki Series Kay 1st Test Main Pakistan Ki Taraf Say Jahan Babar Azam Aur Agha Salman Nay Centuries Score Keen, Phir Kane Williamson Ki Double Hundred Nay Kamal Dikhaya Aur Haan! Umpire Aleem Dar Kay Decisions Par Bhi Buhat Tanqeed Hui. Pakistan Ka World Test Championship Khelnay Ka Khwab To Kab Ka Toot Chuka Laikin Is Match Kay Talking Points Kia Rahay? Aayen Dekhtay Hain:

Pehla Boxing Day Test

Is Martaba Pak-New Zealand Series Ka 1st Test 26th December Say Shuru Hua, Yani Ye Pakistan Ki Cricket History Ka Pehla Boxing Day Test Ban Gaya. Ye Match Draw To Hua Leken Last Day Kay Last Session Main Pakistan Nay Najanay Kis Tarang Main 311-8 Par Innings Declare Kardi.

New Zealand Ko 17 Overs Main 138 Runs Ka Target Mila, Magar Bad Light Ki Waja Say Match 7 Overs Pehlay Ki Khatam Ho Gaya. Yun Pakistan New Zealand Test History Main Aik Aur Draw Test Ka Izafa Ho Gaya.

Babar Azam Ka Saal

Babar Azam Aik Saal Main Sab Say Zyada International Runs Bananay Walay Pakistani Batsman Ban Gaey Hain. Test Format Main Woh Mohammad Yousuf Ka Record To Nahi Torr Sakay, Balkay Wo To Koi Nahi Torr Sakta, Laikin All Formats Dekhain To Babar Sab Pakistanion Say Aagay Nazar Aatay Hain.

Karachi Test Main 161 Aur 14 Runs Ki Innings Say 2022 Ka End Kartay Huay Babar Nay Ye Saal 2,598 Runs Kay Sath Khatam Hua. Is Say Pehlay 2006 Mein Mohammad Yousuf Ka Banaya Gaya 2,435 International Runs Ka Record Apnay Naam Kar Lia.

Kane Williamson Ki Double Century

Karachi Test Main Runs Ki Behti Ganga Mein Kane Williamson Nay Double Century Bana Di. Ye 2022 Main Kisi Pakistani Ground Pehli Double Hundred Thi. Williamson To Waisay Hi Pakistan Kay Peechay Paray Rehtay Hain. Last Teenon Centuries Bhi Pakistan Kay Khilaf Hain, Balke Un Mein Say 2 To Double Centuries Hain. Allah Khair Karay, Abhi Last Match Baqi Hay. 😟

Dar Ka Waar Khali

Umpire Aleem Dar Ko Umpiring Ki Dunya Main Ak Muqaam Hasil Raha Hay. Laikin Ab Lagta Hay Un Kay Din Pooray Ho Chukay Hain. Karachi Test Main Un Kay Kai Faislay Ghalat Sabit Huay. 1st Test Main Unhaon Nay Captain Babar Azam Ko LBW Out Dia, Jo Review Par Bachay. Phir New Zealand Kay Devon Conway Ko Out Nahi Dia, Jab Wo 90s Main Thay. Pakistan Nay Review Par Decision Apnay Haq Main Lia. Yahi Nahi, Tom Blundell Ka LBW Bhi, Jin Kay Bat Par Edge Laga Tha.

Ghalat Faislon Aur Aik Kay Baad Doosra Decision Overturn Honay Say Aleem Dar Ki Credibility Par Question Mark Lag Gaya Hay.

Pakistani Fast Bowlers Gaey?

Pakistani Fast Bowlers Kay Liay Saal 2022 Buhat Bura Raha. Pak-New Zealand Karachi Test Is Saal Pakistan Ka 9th Test Tha. Laikin Itnay Saray Matches Main Pakistan Pacers Ki Wickets Raheen Sirf 45.

Last 3 Matches Main To Pakistan Fast Bowlers Nay Hadd Hi Kardi Hay. 217 Kay Average Say Un Ki Sirf 2 Wickets Hain. England Kay Against Multan Test Mein To Hamaray Fast Bowlers Aik Wicket Tak Nahi Lay Sakay.

Pakistan Ka "S" Factor

Saal Ka End Bhi Aik Shikast Kay Sath Hota, Laikin “S” Factor Kaam Aa Gaya, Matlab: Sarfraz Ahmed Aur Saud Shakeel. Jinhon Nay Last Day Buhat Crucial Stage Par Fifties Score Keen Aur Karachi Test Banachay Main Important Role Play Kia.

شیئر

جواب لکھیں