Hum To Umeed Lagaey Bethay Thay Ke Babar Azam Apni Pehli Test Double Century Karain Gay, Laikin Wo To Pehlay Din Kay Score Mein 1 Run Ka Izafa Bhi Nahi Kar Sakay, Aur New Zealand Kay Khilaf Karachi Test Kay 2nd Day Mein 161 Runs Par Hi Out Ho Gaey. Youn Babar Azam 2022 Mein Apni Pehli Double Century Banany Ka Khwab Poora Nahi Kar Sakay.
Australia Kay Khilaf 196 Runs Ki Epic Innings Say Aaj Kay 161 Runs Tak, Wo 200 Kay Magical Number Tak To Nahi Puhanch Sakay, Laikin Doosray Kai Records Zarur Torr Diay Hain.
Pakistan Ki Tareekh Kay Is Pehlay Boxing Day Test Mein Babar Azam Aik Saal Mein Sab Say Zyada International Runs Bananay Walay Pakistani Batsman Ban Gaey Hain. Test Format Mein Wo Mohammad Yousuf Ka Record To Wo Nahi Torr Sakay, Balkay Wo To Koi Nahi Torr Sakta, Laikin All Formats Dekhain To Babar Sab Pakistanion Say Aagay Nazar Aatay Hain.
Karachi Test Mein 161 Runs Ki Innings Say 2022 Mein Babar Ka International Cricket Mein Total 2,584 Runs Ho Chuka Hay. Youn Unhon Nay 2006 Mein Mohammad Yousuf Ka Banaya Gaya 2,435 International Runs Ka Record Apnay Naam Kar Lia Hay. Laikin… Laikin… Jaan Rakhain Ke Yousuf Nay 39 Innings Mein Ye Runs Banaye Thay Jabke Babar Nay 51 Innings Kheli Hain.
Pakistan Kay Liay Sab Say Zyada Test Runs Ka Karnama Mohammad Yousuf Nay 2006 Mein Anjam Dia Tha. Unhon Nay Sirf 19 Innings Mein 1788 Runs Banaey Thay, Aur Viv Richards Ka 30 Saal Purana Record Torra Tha. Phir Saal Mein 9 Centuries Bhi Aik Tak Aik World Record Hain.
Babar Azam Nay Saal Kay 2nd Test Mein Hi 196 Runs Ki Wo Innings Kheli Thi, Jis Nay Dunya Ka Hairan Kar Dia Tha. Jis Mein 425 Balls Khel Kar Babar 603 Minutes Tak Crease Par Kharay Rahay Aur Pakistan Ko Yaqeeni Shikast Say Bacha Lia.
Babar Nay Is Century Kay Baad 9 Consecutive 50+ Innings Kheleen. In Mein Australia Kay Against 2 Aur West Indies Kay Khilaf 1 ODI Century Bhi Shamil Thi. Phir Sri Lanka Kay Against Galle Test Mein Century Aur Karachi Mein England Kay Khilaf T20 Century Bhi Hain.
Aik Nakaam T20 World Cup Kay Baad Babar Aik Baar Phir Purani Form Mein Nazar Aaey. England Kay Against Rawalpindi Test Mein 136, Multan Mein 75 Aur Karachi Mein 78 Aur 54 Runs Ki Innings Pakistan Ko Series To Nahi Jitwa Sakeen, Laikin Babar Ko Record Kay Qareeb Zarur Lay Aayeen.
afsos ki baat ye hay ke is saal babar ki performance jitni achi rahi, pakistan utna bura khela. kam-az-kam test mein to aisa hi hua, jis mein pakistan saal bhar mein sirf 1 match jeeta aur home ground par to 1 baar bhi kamyab nahi hua. england kay against 3-0 ki shikast say pehlay australia kay haathon 1-0 say haara tha.
new zealand kay khilaf test series ka pehla match pakistan kay liay aakhri mauqa hay ke wo saal ka end on a high note karay.
khair, aap saal 2022 mein babar ki international cricket mein performance innings by innings Yahan dekh saktay hain.