Cigarette Shuru Kerna Jitna Asan Hota Hay, Utna Hi Cigarette Chourna Yani “Quit Smoking” Tough Hota Hay. Smoking Ka Nasha Ahista Ahista Asar Kerta Hay Aur Is Kay Sehat Per Asarat Zahir Hona Shuru Hojatay Hain. Is Addiction, Smoking Main Mubtala Honay Kay Kuch Reasons Hain. Some times Loog Doston Ki Waja Say Smoking Kertay Hain Tou Koi Stress Ya Depression Durr Kernay Kay Liye Smoking Ka Sahara Laita Hay. Ager Ap “Quit Smoking” Kay Mission Ko Shuru Kerna Chahtay Hain Tou Dair Na Kerain Aur Hamari Yeh Tehreer Zaroor Parhain.

Jab Ap Smoking Quit Kernay Ka Plan Kertay Hain Ya Is Kay Baray Main Souchtay Hain Tou Is Kay Kuch Stages Hotay Hain. Sab Say Pehlay Tou Ap Ko Is Hawalay Say Nahi Souchna Chaheye. Aisa Bhi Hota Hay Kay Aap Smoking Say Doar Rehna Chahtay Hain Mager Yeh Mumkin Nahi Hota. Phir Yeh Stage Bhi Ajata Hay Kay Ap Smoking Quit Kernay Kay Liye Khudh Ko Tayar Ker Laitay Hain.

Smoking Quit Kernay Kai Doran Aap Ki Sabit Qadami Aur Khudh Per Control Rakhna Bauhat Eham Hota Hay. Jab Aap Yeh Maqsad Hasil Kerlaitay Hain Tou As A Non Smoker Is Adat Ko Maintain Rakhna Sab Say Eham Aur Zarori Hota Hay.

Quit Smoking Ka Pehla Phase

Ager Ap Right Mindset Kay Sath Smoking Ko Quit Kernay Ka Souch Rahay Hain Tou Ghabrain Nahi, Ap Zaror Is Main Kamiyab Hongae.

Aap Ko Sab Say Pehlay Aik Date Set Kerna Hogi Jis Per Smoking Chournay Ki Koshishain Shuru Kerain Gae. Yeh Date Ya Timeline Ziada Doar Ki Nahi Honi Chaheye.

Jab Ap Yeh Faisala Kerlain Tou Apnay Doston Aur Family Ko Is Kay Baray Main Bataei. Woh Lazmi Toar Per Ap Kay Liye Supportive Hongae. Health Care Professional Ya Quit Smoking Support Group Bhi Is Mamlay Main Bauhat Helpful Sabit Hosaktay Hain.

Khudh Per Qabo Rakhain

Smoking Chournay Kay Shuru Main Ap Ko Is Hawalay Say Bauhat Craving Hogi. Ap Ka Asal Imtehan Yeh Hota Hay Kay Ap Is Craving Ko Ignore Kerain. Jab Ap Ko Smoking Ki Talaab Ho Tou Khudh Per Control Rakhain. Yeh Waqt Thori Dair Main Hi Guzar Jaei Ga. Apna Daihaan Smoking Ki Taraf Sai Hatain. Deep Breath Lain Ya Exercise Kerkay Khudh Ko Kisi Constructive Kaam Main Lagaein.

Tobacco Aur Smoking Related Stuff Apnay Amnay Samnay Say Hata Dain. Aisa Kernay Say Smoking Ki Temptation Khatam Hojai Gi.

Nicotine Replacement Therapy Ki Adat Apnain. Is Hawalay Say Prescribed Medicines Bhi Helpful Sabit Hosakti Hain. Nicotine Replacement Therapy (NRT) Main Kuch Aisay Products Bhi Hotay Hain Jo Is Kai Liye Behtar Hotay Hain. In Main Gum Aur Patches Bhi Shamil Hotay Hain. In Products Say Smoking Quit Kernay Ka Stages Easy Hojatay Hain. Health Care Practitioner Is Kay Liye Ap Ki Madad Ker Sakta Hay Kay Kaunsi Medicines Ap Kay Liye Behtar Sabit Hogi.

Kuch Alag Kernay Ka Souchain

Khudh Ko Active Rakhain. Exercise Say Is Ki Craving Reduce Hoti Hai Aur Ap Ka Mood Behtar Rehta Hay. Aap Ka Stress Bhi Control Hota Hay Jo Kay Smoking Quit Kernay Ki Waja Say Barh Jata Hay.

Apnay Aap Ko Appreciate Kerain. Jab Ap Smoking Chour Dain Tou Khudh Ko Koi Reward Dain. Ap Woh Kaam Kerain Jin Say Aap Ko Khushi Aur Itmenan Mehsoos Hota Hay. Is Say Aap Ko Motivation Bhi Milay Gi Aur Aap Apnay Maqsad Main Sabit Qadum Rahain Gay.

Yeh Yaad Rakhain Kay Smoking Quit Kerna Aasaan Nahi Hota. Is Kay Liye Bauhat Baar Koshishain Kerna Hoti Hain. Smoking Quit Kernay Kay Bauhat He Behtareen Results Hotay Hain. Yeh Aap Ki Health Ko Acha Rakhta Hay Aur Aap Kai Bemariyun Say Bach Jatay Hain.

شیئر

جواب لکھیں