Pakistan Stock Exchange Market Ke Liye 2022 Ek Bahut Bura Saal Raha. PSX Pe Listed Companies Ki Market Value (Market Capitalization) 17% Tak Gir Kar Rs. 6.4 Trillion Tak Pohanch Gayi. Agar USD Mein Dekha Jaye Tou Ye Decline Bahut Khatarnak Dikhai Dega Kyun Ke Market Capitalization 35% Se Gir Kar $25 Billion Tak Pohanch Chuki Hai.
Laikin Is Downfall Ke Douraan Kuch Sectors Aisay Bhi Hain Jo Grow Kar Gaye, Real Estate, Textiles Aur Sugar Top-Performing Sectors Rahe Aur Unki Market Capitalization 12%, 6% Aur 5 % Respectively Barhi.
Top-Performing Stocks, Gains (Based On Adjusted Prices)
- Lotte Chemical (LOTCHEM) 117%
- Faysal Bank (FABL) 35%
- Unilever Pakistan Foods (UPFL) 34%
- Systems Private Limited (SYS) 31%
- Pakistan Oilfields (POL) 31%
Dekha Jaye Tou Technology Sector 2% Oopar Hi Raha Hai Jo Ke Globally Listed Technology Market Ke Girne Ka Bawajood Ek Outstanding Performance Hai.
Real Estate Ki Ek Hi Listed Company Ne 2022 Mein Gain Kiya Hai, Kyun Ke Dividend Yield Ki Regulations Mein Changes Hoi Hain.
Doosri Taraf Textiles Kay Shobay Mein Bhi Kaafi Strong Performance Rahi, Jisay Lead Kiya Ibrahim Fiber Limited (IBFL) Ne. Phir JDW Sugar Mills (JDWS) Ne Sugar Sector Mein Sab Say Aagay Rahi, Aur Ek Buyback Bhi Announce Kardiya.
2022 Mein Lotte Chemical (LOTCHEM) Ko As A Top-Performing Stock Record Kiya Gaya, Jis Ka Stock 117% Gain Kar Gaya. LOTCHEM Ki Is Lead Ko Follow Kiya Faysal Bank (FABL) Aur Unilever Pakistan Foods (UPFL) Ne Jinka Stocks Mein Gain Hua 35% Aur 34% Respectively.
FABL Ki Ye Strong Performance Nazar Ayi Jab Isne Islamic Bank Mein Convert Hone Ke Sath Special Dividend Announce Kiya. Aisay Hi UPFL Ka Stock Bhi 34% Oopar Gaya Jab Company Ne YoY 9M2022 Mein 33% Ki Strong Profitability Growth Ki.
Worst-Performing Stocks, Losses (Based On Adjusted Prices)
- Air Link Communication Limited (AIRLINK) 54%
- Gul Ahmed Textile Mills Limited (GATM) 52%
- The Searle Company Limited (SEARL) 52%
- Mughal Iron & Steel Industries Limited (MUGHAL) 50%
- Unity Foods Limited (UNITY) 46%
Economic Slowdown Aur Construction Ki Low Activity Ki Waja Se Engineering Sector Jis Mein Steels Related Companies Hein Wo Bahut Buri Tarha Muta'sir Hueen. Automobile Parts Sector Ne Sab Se Bura Perform Kiya Kyun Ke Imports Restrictions, High Financing Rates Aur Demand Slow Ho Gayi Hai.
Lower Volumetric Sales Ki Waja Se Air Link Communication (AIRLINK) Ke Shares Bhi Bura Perform Kar Gaye Aur Phir Stock Value 54% Tak Gir Gayi.
Ab Agar Worst Performing Sectors Ki Janib Dekhein Tou In Mein Shamil Engineering, Automobile Parts Aur Miscellaneous Stocks Hein Jinki Market Capitalization 45%, 41% Aur 34% Respectively 2022 Mein Decline Hui.
Gul Ahmed Textile Mills (GATM) Ke Stock Value 52% Decline Hone Ka Reason Textile Exports Ka Slowdown Ho Jana Hai. Lower Profits, Gross Margin Fall Raw Materials Ki Cost Ke Barhne Aur Costumers Par Required Impact Na Dalne Se Searle Company Limited (SEARL) Ki Stock Value 52% Decline Hui.