International Monetary Fund Ya IMF Ko Pakistani Awam Villain Samjhatay Hain. IMF Program Ke Baat Suntay Hi Pakistanion Ke Zehn Main Mehngi Bijli, Mehnga Petrol, Subsidies Ke Khatmay Waghera Jesay Bhayanak Khayal Aatay Hain. Isi Liye Hamaray Leader Jab Opposition Main Hotay Hain Tou IMF Ke Programs Ko Mulk Dusmni Batatay Hain Aur Jab Khud Hukumat Main Aatay Hain Tou Khud Bhi IMF Ke Darwazay Per Pohnch Jatay Hain.

Pakistan Aaj Kal Phir IMF Ke Loan Program Ko Revive Karwanay Ke Liye Minnaten Kar Raha Hay. Mulk Ke Forex Reserves Drastically Kam Ho Chukay Hain. IMF Extended Fund Facility (EFF) Ki Nai Tranche Relese Karnay Ke Liye Sakht Conditions Laga Raha Hay Jin Ko Pura Karna Kisi Bhi Hukumat Ke Liye Bohat Mushkil Hota Hay. IMF Ki Demand Puri Karnay Se Mulk Main Inflation Ka Naya Toofan Aaye Ga. IMF Ki Nahi Mantay Tou Economy Ki Kashti Doobnay Ka Khatra Hay. Economists Keh Rahay Hain IMF Ne Program Revive Na Kiya Tou Mulk Default Ki Taraf Ja Sakta Hay.

Pakistan Aur IMF Ka Love Hate Relationship  Naya Nahi

Pakistan Apni Foundation Ke Din Se Budget Aur Current Account Deficit Ka Shikar Hay. Isi Liye Pakistan Ko 1952 Main World Bank Se Qarza Lena Para. 1958 Mian Ayub Khan Ke Daur Main Pakistan Ne Pehli Baar IMF Se 25 Million SDR Loan Ka Agreement Kiya Tha Lekin Ye Loan Draw Nahi Kiya Gaya.(SDR Special Drawing Rights Ka Abbreviation Hay. Pehlay Ye 1 USD Ke Barabr Hota Tha, 2022 Main 1 SDR Almost 1.33 US Dollar Ke Equal Hay.) March 1965 Main Pakistan Ne IMF Se 37.5 Million SDR Ka Loan Liya.

OECD Aur Dusray International Institution Se Bhi Loan Liye Jatay Rahay Thay. Lekin Interest Aur Principal Amount Ki Wapsi Mushkil Honay Lagi. Pakistan Ne 1968 Main OECD Ko Rescheduling Ki Request Ki Jo Reject Ho Gayi. Us Ke Baad Pakistan Ko October 1968 Main IMF Se Mazeed 75 Million SDR Ka Loan Lena Para. Yani Ayub Khan Ke Daur Main Jis Industrialization Ka Shor Machaya Ja Raha Tha Wo Udhar Ke Paison Se Ho Rahi Thi. Is Par Bhi Sitam Yeh Ke Itni Export Nahi Barheen Jitni Loan Aur Interst Ki Payment Barhi. 1960-65 Tak Debt Servicing Exports Ke 10% Per Thi Jo 1969 Mein Exports Ke 35% Tak Pohonch Gayi.

1971 Ki Indo-Pak War Ke Baad Mulk 2 Tukray Ho Gaya. Economy Mazeed Crisis Main Chali Gayi. Business Aur Production Kam Ho Gayi. Capital Flight Honay Laga. Foreign Exchange Reserves Kam Ho Kar 160 Million Dollars Tak Reh Gaye. Is Ke Nateejay Main Dollar Ke Muqablay Main Rupee Ki Value 60% Kam Kar Di Gayi. Zulfiqar Ali Bhutto Nay May 1972 Main IMF Se 84 Million SDR, August 1973 Main 75 Million SDR, Nov 1974 Main 75 Million SDR Aur March 1977 Main 80 Million SDR Ka Loan Liya. In 5 Saal Main Economy Phir Bhi Nahi Sanbhli. 1971 Main Jo Trade Deficit 340 Million Dollar Tha, 1976-77 Main 1.2 Billion Dollars Tak Ja Pohncha.

80s Aur 90s Main Bhi IMF Per Dependency Thi

Army Chief General Zia-ul-Haq Ne July 1977 Main Bhutto Ko Hata Kar Khud Hukumat Sanbhali. Unhon Ne Bhi Loan Rescheduling Ke Liye Wolrd Bank Aur Paris Club Ki Minnat Samajat Ki. Kyunke Pakistan Ke Forex Reserves Sirf 450 Million Dollars Reh Gaye Thay. Pehlay To International Institutions Ne Inkar Kiya Lekin Afghanistan Per Russia Ke Hamlay Ke Baad Situation Badal Gayi. America Ko Pakistan Ki Zarurat Pari Tou Imdad Bhi Mili Aur Loan Bhi. November 1980 Main IMF Ne Pakistan Ke Liye 1.26 Billion SDR Ka Loan Approve Kiya Lekin Pakistan Ne Us Main Se 340.9 Million SDR Draw Kiye. December 1981 Main Zia Sarkar Ne IMF Se Mazeed 730 Million SDR Loan Liya.

Zia-ul-Haq Airplane Crash Main Maray Gaye Tou Election Ke Baad Benazir Bhutto Prime Minister Baneen. Unhon Ne Hukumat Sanbhalany Ke Sirf 3 Din Baad IMF Ka Darwaza Khatkhataya. Benazir Ne Almost 2 Saal Ki Hukoomat Main IMF Se 2 Programs Ke Tehat 576 Million SDR Ke Loan Liye.

September 1993 Main Care Taker Government Main Bhi IMF Se 88 Million SDR Ka Loan Liya Gaya. Benazir Bhutto Dusri Baar PM Baneen Tou IMF Se 3 Programs Ke Zariye 590 Million SDR Loan Liye. Nawaz Sharif 'Kashkol' Tornay Ka Slogan Le Kar Aaye Magar Unhon Ne Bhi IMF Se 2 Programs Main 379 Million SDR Ke Loans Liye. Nawaz Daur Main “Qarz Utaro Mulk Sanwaro” Campaign Bhi Chalai Gayi Lekin Us Fund Ka Kiya Hua Ye Kuch Pata Na Chal Saka.

Raftar Bharne Do
History of IMF Lending Commitments as of February 2020

October 1998 Main Army Chief General Pervez Musharraf Ne Nawaz Sharif Ka Takhta Ulta. Un Ki Government Ko Bhi Economic Problem Ka Samna Raha Aur Nov 2000 Main IMF Se 460 Million SDR Loan Lena Para. 2001 Main Afghanistan Per America Ke Hamlay Ke Baad Pakistan Phir West Ka Favorite Ban Gaya. December 2001 Main IMF Ne Pakistan Ko Na Sirf 861 Million SDR Loan Diya Bulkay IMF Aur Dusray Institutions Ne Pakistan Ke Loan Reschedule Bhi Kar Diye. Is Daur Main America Ke Janib Se Coalition Support Fund Milta Raha. Musharraf Daur Main Pakistan Phir IMF Ke Paas Nahi Gaya.

15 Saal Main Sab Record Toot Gaye

Musharraf Je Jaanay Ke Baad Dobara PPP Ki Government Aa Gayi. Jis Ne November 2008 Main Record 4.936 Billion SDR Ka Loan Liya, Ye Amount Almost 6 Billion US Dollar Ke Equal Thi. Pakisan Ne Apni History Main Kabhi IMF Se Itna Loan Aik Saath Nahi Liya Tha.

Nawaz Sharif 2013 Main Teesri Baar Prime Minister Banay. Is Baar Election Main Bhi Un Ke Manifesto Main “Khairat Ka Piyala” Torna Shamil Tha. Magar Un Ki Government Main Bhi September 2013 Main IMF Se 4.393 Billion SDR Yani 6.5 Billion US Dollar Ka Loan IMF Se Liya Gaya.

Imran Khan Bhi Jab Opposition Main Thay Tou Kehtay Thay Ke Wo Khudkushi Kar Len Gay Magar IMF Ke Paas Nahi Jayen Ge. Prime Minister Bannay Ke Baad Un Ko Bhi Aatay Daal Ka Bhao Pata Chal Gaya. Na Sirf Un Ko IMF Ke Paas Jana Para Bulkay Apnay Finance Minister Asad Umar Ko Hata Kar Un Ki Jagah Hafeez Shaikh Ko Lana Para Jo IMF Ke Aadmi Samjhay Jatay Hain. PTI Ke Daur Main July 2019 Main IMF Ne Pakistan Ke Liye 4.268 Billion SDR Ka Loan Approve Hua. Jis Ki 1.044 Billion Dollars Ki Tranche Release Kar Di Gayi. Aaj Kal PDM Government Us Ki Mazeed Tranches Release Karanay Ke Liye Haath Pair Maar Rahi Hay.

In Programs Ki History Dekhen Tou Pakistan 1958 Se Ab Tak 64 Years Main IMF Se 22 Programs Ke Zariye 14.83 Billion SDR Ka Loan Le Chukka Hay. Jabkay World Bank, Paris Club, ADB Aur Dusray Institution Se Liye Gaye Loans Is Ke Elawa Hain. In Sab Ko Mila Kar Pakistan Per Total Debt 130 Billion Dollars Se Zyada Ho Chuka Hay.

شیئر

جواب لکھیں