Pakistan Ke Prominent Anchor Aur Journalist Arshad Sharif Ko Kenya Main Murder Kiya Gaya. Fact Finding Committee Ne Supreme Court Main Submit Karayi Gayi Report Main Kaha Ke Arshad Sharif Ko Planning Kar Ke Qatal Kiya Gaya Jis Main Kenyan Police Use Hui. Arshad Sharif Murder Case Abhi Supreme Court Main Chal Raha Hay. Arshad Sharif Ko Marnay Ki Planning Kis Ne Ki? Kiya Un Ke Naam Samnay Aayen Gay Aur Un Ko Saza Milay Gi? Ye Tou Aanay Wala Waqt Hi Bataye Ga, Magar Mazi Main Pakistan Main Is Se Zyaad High Profile Murder Huye Hain Jin Ke Masterminds Ke Naam Samnay Nahi Aa Sakay Aur Wo Muder Mystery Ban Kar Reh Gaye.

Liaquat Ali Khan Ka Murder

Assassination Of Liaquat Ali Khan

16 October 1951 Ko Pakistan Ke Pehlay Wazir-e-Azam Liaquat Ali Khan Ko Rawalpindi Ke Company Bagh Main Goli Maar Ke Qatal Kiya Gaya. Wo Wahan Aik Public Rally Se Khitab Karnay Aaye Thay. Un Per Goli Chalanay Wala Muhammad Akbar Agli Rows Main Betha Tha. Qatil Ko Qabu Kar Liya Gaya Tha Magar Usay Giraftar Karnay Ke Bajaye SP Najaf Khan Ne Usay Goli Marnay Ka Order Diya.

Raftar Bharne Do

 Sawal Uthaty Ke Pakistan Ke Prime Minister Ke Jalsay Ki Security Naqis Kiun Theen? Qatil Revolver Ke Saath Agli Rows Main Kese Pohnch Gaya? Usay Girftar Karnay Ke Bajaye Goli Kiun Mar Di Gayi? Qatal Ki Inquiry Ke Liye Commission Bana, Scotland Yard Ke Detective Ko Bhi Bulaya Gaya. Magar 71 Saal Baad Bhi Ye Aik Raaz Hay Ke Pakistan Ki History Per Impact Dalnay Wala Qatal Us Ka Personal Act Tha Ya Is Main Koi National Ya International Conspiracy Thi.

Benazir Bhutto Ki Assassination

Raftar Bharne Do

46 Saal Baad 27 December Ko Rawalpindi Ki Usi Ground Main Pakistan Ki Aik Aur Wazir-E-Azam Benazir Bhutto Ko Qatal Kiya Gaya. Kai Barson Ki Tehqiqat Ke Baad Benzair Bhutto Ke Qatal Ka Ilzam TTP Aur Al Qaeda Per Lagaya Gaya. Lekin Us Waqt SP Rawal Town Khurram Shehzad Ne CPO Saud Aziz Ke Kehnay Per Fori Tor Per Crime Scene Ko Wash Kar Diya. Is Act Aur Security Main Ghaflat Per Dono Ko 17, 17 Saal Qaid Ki Saza Sunai Gayi Thi. United Nations Ke Inquiry Commission Ne Apni Report Main Kaha Ke Ke Itni Important Personality Ke Qatal Ke Baad Crime Scene Dhonay Ka Failsla 2 Junior Officers Apnay Tor Per Nahi Kar Saktay Thay. Case Main TTP Se Talluq Rakhnay Walay 5 Afrad Ko Bhi Arrest Kiya Gaya Tha Lekin Court Ne Lack Of Evidence Ke Wajah Se Unhen Acquit Kar Diya. Case Main Sabiq Military Dictator Pervez Musharraf Ko Bhi Indict Kiya Gaya Tha Aur ATC Court Ne 2017 Main Unhen Abscounder Declare Kiya Tha.  Court Main 10 Saal Case Chalnay Ke Bawajood Ye Sabit Nahi Ho Saka Ke Bibi Ka Asal Qatil Kaun Tha?

Zia ul Haq Ka Plane Crash

Raftar Bharne Do

Pakistan Ki Tareekh Main Sab Se Taveel Arsay Tak Hukmran Rehnay Walay Dictator General Zia Ul Haq Ki Maut Bhi Aaj Tak Aik Mystery Hay. 17 August 1988 Ko Pakistan Ke President Aur Army Chief General Zia Ul Haq Ka C130 Hercules Plane Bahawalpur Se Rawalpindi Aatay Huye Crash Ho Gaya. Un Ke Saath Plane Main CJSCS General Akhtar Abdur Rehman, Chief Of General Staff General Afzal, Pakistan Main Us Ambassador Arnold Raphel Samait 29 Afrad Sawar Thay. Incident Per Pakistan Aur America Ke Experts Ki Joint Investigation Samait Kai Inquires Hueen, Magar Koi Faisla Kun Baat Samnay Na Aa Saki. US Experts Ka Khayal Tha Ke Airplane Ke Hydraulic Ya Mechanical System Main Kharabi Hui Jis Se Hadsa Hua. Aik Theory Di Gayi Ke Airplane Ko Sabotage Kiya Gaya, Flight Control System Main Jaan Bujh Kar Kharbi Peda Ki Gayi, Cockpit Main Kisi Ne Interference Ki, Pilot Ko Behosh Kiya Gaya Etc. Aik Theory Ye Bhi Samnay Aayi Ke Plane Main Bomb Blast Kiya Gaya Jo Aam Ke Peti Main Rakha Gaya Tha. Aik Borad Of Inquiry Main Ye Bhi Kaha Gaya Ke Aamon Ke Case Main Rakhay Gaye Substance Se Niklanay Wali Gas Ne Pilots Aur Passengers Ko Unconscious Kar Diya Tha. Ye Koi Internal Conspiracy Thi Ya International, Ya Phir Sirf Aik Hadsa Kisi Ko Hatmi Tor Per Kuch Pata Nahi Chal Saka.

Murtaza Bhutto Ka Murder

Murder Of Murtaza Bhutto

20 September 1996, Pakistan Ki Us Waqt Ki Prime Minster Benazir Bhutto Ke Bhai Mir Murtaza Bhutto Ko Karachi Main Un Ke Ghar Ke Bahar So Called ‘Police Encounter’ Main Qatal Kar Diya Gaya. Mir Murtaza Bhutto Ki Widow Ghanva Bhutto Ne Qatal Ka Ilzam Asif Ali Zardari Aur Benazir Bhutto Per Lagaya. Donon Behn Bhaiyon Main Ikhtilafat Thay Aur Murtaza Bhutto Ne PPP Shaheed Bhutto Ke Naam Se Alag Party Bhi Bnayi Hui Thi. Murtaza Bhutto Asif Ali Zaradri Ko Sakhat Napasand Kartay Thay.

Benazir Bhutto Ne Bhai Ke Qatal Ki Investigation Ke Liye Scotland Yard Ke Retired Officers Ki Services Hasil Keen. Britain Investgators Ne Shikayat Ki Ke Crime Scene Se Evidences Mita Diya Gaye Thay. Pakistan Main Bannay Walya Judicial Commission Bhi Qatil Ko Point Out Na Kar Saka. Asif Ali Zardari President Banay Tou Sindh High Court Ne Unhen Acquit Kar Diya. Aglay Saal Encounter Main Mulawis DIG Wajid Durrani Aur Dusray Police Afsar Bhi Bari Ho Gaye.

Apni Autobiography ‘Daughter Of The East Main’ Main Benazir Bhutto Ne Bhai Ke Qatal Ka Allegation Establishment Ke Kuch Elements Per Lagaya. Murtaza Bhutto Ko Qatal Kis Ne Karaya Is Ka Jawab Bhi Shayad Hi Kabhi Mil Sakay.

Fatima Jinnah Ki Natural Death Ya Murder?

Raftar Bharne Do

Madar-E-Millat Fatima Jinnah Ki Maut Bhi Mysterious Conditions Main Hui. 9 July 1967 Ko Wo Karachi Main Wo Apnay Room Bed Per Murda Paayi Gaeen. Un Ke Inteqal Ke Fori Baad Logon Ne Kehna Shuru Kar Diya Ke Death Natural Nahi Bulkay Murder Thi. Shakir Hussain Shakir Ne Apni Kitab ‘Madar-E-Millat Fatima Jinnah’ Main Un Ki Mayyat Ko Ghusal Denay Wali Khawateen Ke Bayanat Likhay Hain. Un Ke Mutabiq Fatima Jinnah Ke Chehray Aur Jism Per Zakhm Aur Torture Ke Nishanat Thay. Un Ki Bedsheet Aur Dress Per Bhi Khoon Laga Hua Tha. Speculations Ki Jati Hain Ke Choron Ya Ghar Ke Kisi Mulazim Ne Jewelry Churanay Ke Liye Un Ka Qatal Kiya. President Ayub Khan Ne Un Ki Maut Ke Tehqiqat Ke Liye Aik Commission Banaya Tha Lekin Us Ki Report Aaj Tak Public Nahi Ki Gayi.

شیئر

جواب لکھیں