Kia Ap Kay Sath Aisa Hoa Hay Kai Ap Nay Smartphone Per Kisi Say Koi Item Purchase Kernay Ki Bat Ki Ho Aur Woh Item Ya Us Say Related Information Aglay Din Kisi Advertise Ya Campaign Ki Surat Main Ap Kay Smartphone Per Show Horaha Ho. Aisa Bhi Hosakta Hay Kay Ap Nay Kabhi Kuch Browse Ya Explore Kiya Ho Aur Us Say Related Content Ap Kay Smartphone Per Advertise Hona Shuru Hojaei. To Kya Waqai Smartphone Listening Aik Haqeeqat Hay?

Kia Smartphone Listening Possible Hay?

Hum Main Say Akser Loog Daily Bauhat Sari Information Different Websites Aur Applications Ko Dai Daitay Hain. Hum Yeh Us Waqt Kertay Hain Jab Internet Per Explore Kertay Waqt Cookies Ko Allow Kertay Hain Ya Kuch Aur Information Tak Permission Ka Access Daitay Hain.

First Party Cookies” Say Websites Per Hamari Kuch Aisi Information Ko Allow Kerdia Jata Hay Jo Hamari Browsing Ya Exploring History Say Related Hoti Hai. Third Party Cookies Website Domain Ki Taraf Sai Hoti Hain Jis Ka Maqsad Yeh Hota Hay Marketing Perspective Say Customer Ka Data Save Hota Rahay.

Is Data Ki Roshni Main Ap Ko At Times, Different Advertisements Send Kiye Jatay Hain. Advertiser Aisa Kerkay Ap Ka Routine Aur Khwahishain Bhi Jaan Laita Hay.

Behind The Scenes

Artificial Intelligence Main Machine Learning Techniques Use Hoti Hain. In Techniques Say Data Filter Aur Analyze Hota Hay. Jo Techniques Is Main Istemal Hoti Hain Un Ko Data Clustering, Classification, Association Aur Reinforcement Learning (RL) Kaha Jata Hay.

Jab Kisi Social Media Post Ko “LIKE” Kia Jata Hay Tou RL Ko Reward Signal Chala Jata Hay Jis Main Yeh Message Hota Hay Kai Customer Ko Yeh Post Pasand Aai Hay. Youn RL Agent Ko Ap Ki Preferences Aur Personal Interests Kay Baray Mai Maloom Hojata Hay.

Isi Waja Say Ap Ko Facebook Per Kuch Aisay Advertisements Ya Products Kay Banners Nazar Atay Hain Jin Ke Ap Nay Soucha Bhi Nahi Hota Ya Woh Ap Kay Khayal Main Bhi Nahi Hotay.

Right To Privacy

App Providers Apni Terms And Conditions Say Users Ko Bata Detay Hain Ke Un Ka Data Kis Tarah Collect, Store Aur Use Hosakta Hay. User Ko Bhi Chahiye Kay In Conditions Ko Theek Say Parhay Aur Apps Aur Sites Per Aisi Information Kay Hawalay Say Muhtat Rahay.

Jaab User Ko Kisi Application Kay Baray Main Koi Doubt Ho Tou Need Basis Per Application Ko Proceed Kernay Ki Permission Dai. WhatsApp Ko Camera Aur Microphone Ka Access Dena Iss Liye Theek Hai Kyun Kay Us Kay Bina Yeh Options Istemal Nahi Hosaktay.

Aik Research Main Yeh Samnay Aya Hay Kay Worldwide Users Artificial Intelligence (A.I.) Ko Kisi Insaan Ki Recommendations Say Ziada Preference Daitay Hain.

Don’t Be Predictable

Kuch Aisi Tips Hoti Hain Jin Ko Follow Kerkay Aap Online Data Sharing Ko Limited Ker Saktay Hain. Is Silsilay Main Smartphone Ki Applications Ki Permission Setting Ko Regularly Review Kernay Ki Zarorat Hoti Hai.

Jab Bhi Koi Application Ya Website Visit Kerain, To Cookies Allow Kernay Ya Kisi Bhi Cheez Ki Permission Denay Say Pehlay Sochain. Personal Social Media Accounts Ko Doosri Websites Ya Services Kay Use Kay Liye Istemal Kernay Say Jitna Bhi Hosakay Avoid Kerain. Kuch Options Main Email Kay Zariye Sign Up Kernay Ka Option Bhi Hota Hay Jis Ko Use Kiya Jasakta Hay.

In Tamaam Steps Aur Restrictions Ko Follow Kernay Kay Bad Bhi Ager Ap Ko Lagta Hay Ka Aap Ka Smartphone Aap Ki Batain Sun Raha Hay Tou Ap Apnay Phone Ki Settings Mai Jaker Tamaam Apps Kai Liye Microphone Access Restrict Kerdain.

Phir Koi Aisi Product Pick Kerain Jis Kay Baray Main Ap Nay Pehlay Baat Hi Na Ki Ho Aur Na Search Kia Ho. Uss Product Par Kisi Say Baat Kerain. Is Ko Make Sure Kerain Kay Yeh Process Ap Few Times Repeat Bhi Kerain. Ager Ap Ko Koi Targeted Ads Nazar Na Aein Tou Samajh Lain Kay Aap Ka Smartphone Aap Ko Nahi SUNN Raha, Aur Ab Aap Aaram Say Browsing Ya Surfing Kersaktay Hain. Enjoy Kerain!

شیئر

جواب لکھیں