Smartphones Ka Modern Era Main Istemal Barh Raha Hay. Pakistan Sab Say Ziada Smartphones Use Kernay Walay Countries Main 20th Number Per Hai. Yahan 220.89 Million Afrad Smartphones Use Kertay Hain. Is Kai Ilawa, Pakistan Main 82.90 million internet users Hain. Masla Yeh Hay Kay Cellphones Nay Taraqi Ki Tou Baat Smartphones Tak Aei Aur Youn Dunya Hamari Hatheli (Hand Palm) Per Samit Ker Agaei. Smartphones Ka Ziada Istemal Aap Ki Sehat Per Shadeed Asr Daal Raha Hay. Anjanay Main Ap Kuch Aisay Masail Ka Shikar Horahay Hain Jin Ki Waja Smartphone “Addiction” Say Link Hoti Hay.

Smartphones Say Kaunsay Masail Hotay Hain

Smartphones Ka Rujhaan Industrialized Countries Main Barh Raha Hay. Smartphones Na Hona Ya Apna Pas Na Rakhna “Nomophobia” Kehlata Hay. Yeh Aik Social Problem Hay Aur Akser Log Is Ka Shikaar Hain.

Reseach Show Kerti Hay Kay Jo Log Smartphones Kay Addiction Main Mubtala Hain Woh Ziada Tanhai Pasand Aur Un Main Khudh Etemadi Kaam Hoti Hay.  

Yeh Bhi Dekha Gaya Kay Jab Aisay Logon Ka Smartphone Usage Kam Hoa, Tou Unkay Mizaj Aur Daily Routine Main Tabdeli Anay Lagi.

Research Main Kia Sabit Hoa

Research Main “SocialStatsApp” Ki Madad Say 111 Participants Ka Social Media Data Dekha Gaya. In Afrad Main 18 Say 65 Saal Ki Age Kay Loog Shamil Thay. 28 % Participants College Students Thay Jabkay 78% Workers Thay.

Smartphone Addiction Scale – Short Version Kay Zariye Her Participant Ka Smartphone Addiction Aur Us Kay Honay Walay Effects Ko Dekha Gaya. Participants Nay Psychological General Well-Being Index Per Bhi Samples Diye.

Is Study Kay 3 Phase Thay. In Main Pre-Test Phase, An Experimental Phase Aur Post Test Phase Shamil Hay. Pre-Test Phase Main Researchers Nay Participant Kay Baseline Smartphone Istemal Ko Dekha. Dosray Phase Main, Participants Ko 3 Days Tak 1 Hour Smartphone Istemal Kam Kernay Ka Kaha Gaya. Post Test Phase Kay Liye, Participants Ko 7 Days Tak Rozana, Apni Pasand Kay Mutabiq Smartphone Use Kernay Ka Kaha Gaya.

Akheri Phase Say Pehlay Aur Bad Main, Participants Ki Memory, Attention, Sun Ker Jawab Denay Ki Salahiyat, Daikh Ker Jawab Denay Ki Salahiyat Aur Behaviour Ko Jancha Gaya.

Results Main Yeh Samnay Aya Kay Jo Log Smartphones Kai Istemal Main Addictted Hain, Un Main Kisi Mamlay Per Jawab Denay Ki Salahiyat Intehai Kam Hoti Hay. In Logon Nay Teeno Phases Main Sab Say Ziada Smartphones Istemal Kiye.

Yeh Bhi Samnay Aya Kay Aisay Log Jo Smartphones Per Ziada Waqt Guzartay Hain Un Main Self Control Kam Hota Hay.

Smartphone Ka Munasib Istemal

Report Main Bataya Gaya Kay Jo Afrad Smartphones Ka Kaam Istemal Kertay Hain, Woh Aam Toar Per Tandurst Rehtay Hain. Who Apna Behtar Khayal Rakhtay Hain Aur Quality Of Life Kay Mamlay Main Muhtaat Rehtay Hain.

Is Study Main Dilchasp Baat Yeh Thei Kay Kuch Logon Nay Isliye “Walk Out” Kerdia Kion Kay Woh 3 Days Tak 1 Hour Kay Liye Smartphone Ka Istemal Kam Kernay Per Razi Nahi Thay.  

Doar e Hazir Main Smartphone Ki Ehmeyat Say Inkar Nahi. Kisi Bhi Technology Ka Had Say Ziada Istemal Pareshani Ka Saba'ab Banta Hay.

Musalsal Kai Ghantay Thay Phone Thamay Sofa Ya Bed Per Lait Ker Dunya Jahan Ki Apps Istemal Kernay Kai Doran Ap Ko Yeh Andaza Nahi Hota Kai Ap Ka Bazahir Comfortable Posture Ap Ki Back (Kamar), Gardan (Neck) Aur Ankhon (Eyes) Ko Bhi Shadeed Nusqsan Pouhancha Raha Hay.

Experts Ka Kehna Hay Kay Smartphones Kay "Controlled" Usages Say Aap Khudh Ko Ziada Relax Rakh Saktay Hain. Aisay Honay Ki Surat Main Ap Ko Apnay Routines Ziada Behtar Andaz Main Kernay Ka Waqt Bhi Mil Jata Hay.

Famous Saying Hay Kay “Smartphone is definitely smarter than us to be able to keep us addicted to it.” Kohsish Kerain Aur Khudh Ko Is Addicition Say Bacha Ker Sehatmand Zindagi Guzarain.

شیئر

جواب لکھیں