Kaam Koi Bhi Ho, Deadline Kabhi Kabhi Dead Line Ban Jati Hain. Hamari To Waisay Bhi Kaam Ko 11th Hour Mein Complete Karnay Ki Aadat Hay, Examination Hall Mein Last Minute Tak Paper Complete Karnay Ki Koshish Say Lay Kar Ab Professional Life Mein Deadlines Meet Karnay Ki Efforts Tak. Ye Deadlines Har Waqt Aur Har Jaga Hoti Hain Aur Unhain Beat Karna Aik Art Hay. Aaen, Aap Ko Is Art Ka Artist Banatay Hain:

Deadlines Kia Hoti Hain?

Teachers Hon Ya Boss, Kisi Kaam Kay Liay Aap Ko Aik Waqt Detay Hain, Aur Aap Ko Apnay Tasks Ya Assignments Isi Waqt Par Complete Karna Hotay Hain. Isi Ko Deadline Kehtay Hain. Zyada Tar Aap Kay Mashwaray Say Hi Ye Deadline Banai Jati Hay.

Laikin Is Mein Koi Shak Nahi Ke Deadlines Stressful Hoti Hain. Aur Inhain Beat Karna Aap Kay Commitment Aur Professionalism Ko Show Karta Hay.

Deadline Kaisi Honi Chahiyen?

Jab Aap Koi Deadline Set Kartay Hain Tou Us Kaam Ki Importance Bhi Zehan Main Rakhain. Kaam Kay Aghaz Say Pehlay Aap Ko Chahiye Kay Apnay Pass Pehlay Say Moujoud Workload Ko Bhi Zehan Main Rakhain.

Kabhi Aisi Ghair-Haqiqi Deadline Par Baat Na Karain Jis Ko Aap Poora Na Kar Sakain.

Agar Aap Ko Sensitive Kam Jald-Az-Jald Complete Karnay Ka Task Mila Hay Tou Koshish Karain Kay Uss Kaam Ko Kisi Kay Sath Share Karkai Poora Karain.

Apni Capabilities Kay Sath Apni Abilities Ko Bhi Zehan Main Rakh Kar Deadline Per Agree Hon.

Apna Kaam Organized Karain

Kuch Log Aisay Hotay Hain Jin Ka Kaam Mein Kabhi Dil Nahi Lagta. Woh Last Minute Tak Apna Dil Kaam Ki Taraf Nahi Lagatay. Motivation Ki Kami Ho, Ya Focus Na Hona, Kisi Na Kisi Waja Say Woh Serious Ho Kar Kaam Ki Taraf Tawajjuh Nahi Daitay.

Aisay Logon Ko Chahiye Kay Woh Apna Kam Thora Thora Kar Kay Mukammal Karain. Agar Aap Ko 5000 Words Ka Koi Feature Likhna Hay Tou Behtar Hay Kay 1000, 1000 Words Kay Section Bana Kar Usay Mukammal Karain.

Waqt Zaya Na Karain

Kisi Bhi Kaam Main Waqt Ki Importance To Sab Say Zyada Hoti Hay. Plan Karkai Task Ki Taraf Jana, Us Per Kaam Karna Aap Kay Waqt Ko Behtar Andaz Main Istemal Karwata Hay.

Apnay Kam Ko Dekhtay Hoay, Apna Waqt Us Mai Divide Karain Aur Un Ko Her Surat Us Waqt Kay Andar Pora Karnay Ki Koshish Karain.

Notes Lenay Ki Aadat Apnaen

Agar Aap Buhat Saray Projects Ya Assignments Per Kaam Kar Rahay Hain Tou Aap Ko Notes Lenay Ki Adat Daalna Hogi. Deadline Likhna Aap Par Aik Positive Pressure Lata Hay. Aap Calendar Tool Bhi Use Kar Saktay Hain. Aisa Karnay Say Aap Ko Apna Kaam Aik Jaga Rakhnay Main Bhi Aasani Hogi.

Apna Kaam Na Phelain

Jab Ap Koi Kaam Shuru Kartay Hain Tou Behtar Yeh Hay Kay To The Point Rahain. Koi Zarurat Nahi Kay Aap Her Cheez Main Taang Arrain. Kabhi Bhi Kam Say Related Over-Commitment Na Karain. Sirf Wohi Kaam Karnay Per Agree Hon, Jo Aap Kay Khayaal Main Aap Behtar Andaz Main Complete Kar Saktay Hain. Aap Ki Commitment Hi Aap Ko Apnay Kam Sai Sincere Show Karay Gi.

“Bubble” Main Kaam Zaroori

Productivity Kay Liye Distractions Ka Kam Hona Zaroori Hay. Apnay Kaam Ki Jaga Ko Saaf Rakhain Aur Khamoshi Say Kaam Per Focus Karain. Ziada Baatain Karna Aur Shour Sharabay Say Aap Ka Kaam Zaroor Effect Hoga.

Phir Kaam Kai Doraan Social Media Ka Istemaal Aap Ka Focus Out Kar Sakta Hay.

Kisi Bhi Challenge Ko Accept Karnay Kay Liye Will Aur Motivation Zaroori Hoti Hay. Aap Ka Deadline Meet Karna Aap Ki Sincerity Towards Work Aur Devotion Towards Your Aim Ko Zahir Karta Hay.

Oonchi Baaton Aur Bahanay Bazi Karnay Say Aap Ka Impression Bhi Muta'sir Hota Hay. Kaam Ka Bol Kar Sirf Kaam Per Focus Karnay Kay Baad Koi Waja Nahi Kay Aap Deadlines Meet Na Kar Sakain.

شیئر

جواب لکھیں