Pakistan Main Aik Baar Phir Presidential System Aur Parliamentary System Yani Sadarati Nizam Aur Parlemani Nizam Ke Mutaliq Behas Shuru Ho Chuki Hay. Sabiq Wazir-E-Azam Imran Khan Ne Aik Interview Main Kaha Ke Parliamentary System Sirf Anglo Saxon Mulkon Ke Liye Munasib Hay. Yani Britain, Australia, New Zealand Canada Waghera Main. Imran Khan Ne Anglo Saxon Mulkon Main Parliamentary System Is Liye Kamyab Hay Kyunke Wahan Moral Standards Bohat High Hain. Wahan Koi Horse Trading, Floor Crossing Nahi Hoti. Minor Se Corruption Bhi Bardasht Nahi Ki Jati. Wahan Ki Public Achai Ke Saath Khari Hoti Hay Aur Kisi Ki Himmat Nahi Hoti Ke Public Opinion Ke Samnay Khara Ho Sakay.

Mukhalfeen Kehtay Hain Ke Imran Khan Presidential System Is Liye Lana Chahtay Hain Takay Wo Absolute Power Ke Saath Mulk Per Kisi Dictator Ki Tarah Hukumat Kar Saken.

Parliamentary Aur Presidential System Main Kiya Farq Hay, Kis Ke Kiya Merits Aur Demerits Hain? Aayie Jaaiza Letay Hain.

Presidential System Of Government

Presidential System Main Head Of The Government Executive Ko Lead Karta Hay. Executive Aur Legislature Alag Alag Hotay Hain. Is Nizam Main Head Of The Government Aur Head Of The State Aik Hi Hota Hay. Is System Ka Aik Aur Key Feature Ye Bhi Hay Ke Is Main Executive Ko Legislation Nahi Karni Parti.

Presidential System Kay Features

  1. Executive Yani (President) Legislature Ke Acts Ko Veto Kar Sakta Hay.
  2. President Ka Tenure Fixed Hota Hay Aur Usay Legislature Main No-Confidence Motion Se Nahi Hataya Ja Sakta.
  3. President Criminials Ko Di Gai Sazayen Muaf Ya Khatam Kar Sakta Hay.
  4. President Ko Directly Awam Ya Electoral College Elect Karta Hay.

Presidential System Ke Merits

  • Separation Of Powers: Government Ke 3 Arms Kay Alag Alag Honay Se Administration Ki Efficiency Bohat Zyada Barh Jati Hay.
  • Expert Government: Chunke Executive Ke Liye Legislator Hona Zaruri Nahi Hota Is Liye President Kisi Bhi Ministry Ke Liye Us Field Ke Expert Ko Choose Kar Sakta Hay. Is Se Ye Faida Hota Hay Ke Capable Aur Knowledgeable Afrad Government Ka Part Bantay Hain.
  • Stability: Is System Main Government Stable Hoti Hay. Kyunke President Ki Term Fix Hoti Hay Aur Is Ka Taluq Congress Main Majority Se Nahi Hota. Sadar Ko Hukumat Khonay Ka Khauf Nahi Hota. Government Ke Achanak Khatam Honay Ka Bhi Khatra Nahi Hota. Is Tarah Sadad Per Apnay Faislon Main Koi Political Pressure Nahi Aata.
  • Party System Ka Kam Influence: Political Parties Hukumat Giranay Ki Koshish Nahi Karteen Kyunke Un Ko Pata Hota Hay Ke Tenure Fixed Hay.
Raftar Bharne Do

Presidential System Ke Demerits

  • Less Responsible Executive: Chunkay Legislature Ka President Aur Executive Per Koi Hold Nahi Hota, Tou Sadar Dictatorship Ka Muzahira Kar Sakta Hay.
  • Executive Aur Legislature Main Deadlock: Separation Of Power Ki Wajah Se Executive Aur Legislature Main Kheencha Tani Hoti Rehti Hay. Khaas Tor Per Agar Legislature Main President Ki Party Le Zyada Log Na Hon Tab. Is Se Ahem Faislon Ke Nifaz Main Delay Hota Hay.
  • Rigid Government: Presidential Systems Ko Ghair Lachakdar Kaha Jata Hay Kyunke President Ko Hukumat Janay Ka Khatra Nahi Hota Is Liye Wo Kisi Muamlay Main Lachak Kam Hi Dikhata Hay.
  • System Ki Kharabi: Presidential System Sadar Ko Sweeping Powers Deta Hay. Wo Apni Marzi Ke Executives Select Karta Hay. Is Se System Main Us Wat Kharabi Peda Hoti Hay Jab President Ke Qareebi Log (Rishtedar, Dost, Business Associates Waghera) Aham Ohdon Per Appoint Kar Diye Jatay Hain.

Features Of The Parliamentary System

  1. Legislature Aur Executive Ke Darmiyan Close Relationship: Is System Main Prime Minister Aur Cabinet Members Executive Hotay Hain Aur Parliament Legislature. PM Aur Ministers’ Parliament Ke Arkan Main Se Elect Kiye Jatay Hain. Yani Executive Bhi Legislature Se Hi Nikal Kar Aatay Hain.
  2. Executive Legislature Ka Responsible Hota Hay: PM Kisi Bhi Legislation Aur Execution Ki Responsibility PM Aur Cabinet Ke Sath Puri Parliament Ki Bhi Hoti Hay. Isi Liye PM Aur Ministers Parliament Main Accountable Bhi Hotay Hain.
  3.  Dual Executive: Is System Main 2 Executive Hotay Hain. Real Executive Aur Titular Executive. Nominal Executive Head Of The State Hota Hay.(President Ya Monarch). Real Executive Prime Minister Hota Hay Jo Head Of The Government Bhi Hota Hay.
  4. Procedure Ki Secrecy: Parliamentary Government Main Zaruri Hota Hay Ke Cabinet Ki Proceedings Secret Hon Aur Public Mian Zahir Na Ki Jaein.
  5. Prime Minister Ki Qayadat: Is System Main Government Ka Sarbarah Prime Minister Hota Hay. Aam Tor Per Lower House Main Majority Lenay Wali Party Ka Leader Hi PM Banta Hay.
  6. Bicameral Legislature: Zyada Tar Parliamentary Democracies Main Bicameral Legislature Hoti Hain Yani Lower House Ya Assembly Aur Upper House Ya Senate.
  7. No Fixed Tenure: Is System Main Aam Tor Per Government Ki Term Fix Hoti Hay Lekin Usay Pehlay Bhi Khatam Kiya Jaskta Hay. Kisi Bhi PM Ki Term Majority Per Depend Karti Hay. Agar Opposition Vote Of No Confidence Ki Motion Pesh Karay Aur PM Simple Majority Na Le Sakay Tou Us Ko Kursi Chorni Parti Hay. Agla PM Wo Hota Hay Jo Assembly Main Simple Majority Hasil Kar Lay.

Merits Of Parliamentary System

  • Executive And Legislature Ke Darmiyan Behtar Coordination: Chunkay Executive Legislature Ka Part Hota Hay Aue Aam Tor Per Legislature Ki Majority Government Ko Support Karti Hay Is Liye Koi Law Pass Karana Aur Us Per Amal Karana Asan Hota Hay.
  • Dictatorship Nahi Hoti: Kiunke PM Legislature Ko Jawabdeh Hota Hay Aur Usay Motion Of No Confidence Se Hataya Jaskta Hay Is Liye Authoritarianism Nahi Ho Sakti. Isi Ke Elawa Presidential Ki Tarah Sab Power PM Ke Paas Nahi Hoti.
  • Responsible Government: Parliament Ke Members Legislation Main Sawalat Kar Saktay Hain Aur Hukumat Per Pressure Daal Saktay Hain. Parliament Executives Per Check Bhi Rakhti Hay.
  • Flexibility: Parliamentary Government Main Flexibility Hoti Hay Aur PM Ko Asani Se Change Kiya Ja Sakta Hay. Second World War Main British PM Neville Chamberlain Ki Jagah Winston Churchill PM Ban Gaye Thay. Pakistan Main Haal Hi Main Imran Khan Vote Of No Confidence Se Hataye Gaye. Presidential System Main Sadar Ko Sirf Impeachment Ke Zariye Hataya Ja Sakta Hay Jo Mushkil Marhala Hota Hay.
Presidential System Or Parliamentary System?

Demerits Of Parliamentary System

  • No Separation Of Powers: Separation Of Power Na Honay Ki Wajah Se Parliament Executive Ki Accountability Nahi Kar Sakti. Government Ki House Main Majority Hoti Hay Tou Wo Apni Marzi Ki Legislation Kara Leti Hay. Anti-Defection Rules Ki Wajah Se Party Member Parliamentary Leader Ki Marzi Ke Khilaf Vote Nahi De Sakta.
  • Unqualified Legislators: Is System Main Aisy Log Bhi Executive Ka Hissa Ban Jatay Hain Jo Is Ki Ehliyat Nahi Rakhtay.
  •  Instability: Parliamentary System Mian Government Lower House Main Majority Ki Wajah Se Banti Aur Barqrar Rehti Hay. Agar Election Main Koi Party Simple Majority Hasil Na Kar Sakay Tou Coalition Government Banana Parti Hay Jo Bohat Instable Hoti Hain. Ittehadi Jamaten PM Ko Blackmail Kar Ke Apnay Mutalbat Manwati Hain. PM Ki Puri Tawaja Apni Power Bachanay Main Lag Jati Hay.
  • Ministers: Cabinet Members Sirf Parliament Aur Ruling Party Se Hotay Hain. Is Tarah Us Field Ke Expert Ko Ministry Denay Ka Koi Rasta Nahi Bachta.
  • Prompt Decision Lenay Main Nakami: Fixed Term Na Honay Ki Wajah Se PM Aur Cabinet Koi Bold Ya Bara Decision Lenay Se Hichkichatay Hain.
  • Party Politics:Parliamentary System Main Party Politics Bohat Zyada Hoti Hay. Politician National Interest Se Zyada Apnay Party Interest Ko Safeguard Kartay Hain.

Presidential Aur Parliamentary System Ka Ye Comparison Aur Un Ke Merits Aur Demerits Ki Kuch Umoomi Misalen Hain. Har Mulk Ke Lihaz Se In Ke Fawaid Aur Khamian Is Se Zyada Ya Kam Bhi Ho Saktay Hain.

شیئر

جواب لکھیں