Karachi Main Biryani Aur Punjab Main Quetta, Peshawar Aur Karachi Cafes Kay Parathay... Hum Pait Say Ziada Dil Ko Khush Karnay Kay Liye Khatay Hain, Jo Khanay Say Ziada Bimari Ki Shakal Main Hamary Andar Ja Raha Hota Hay.

Pakistan Main Aik Andaza Hay Kay 33 Million Log Type 2 Diabetes Ka Shikar Hain Aur Ye Ta’daad Dunya Main Teesray Number Par Hay. Is Main 8.9 Million Afrad Aisay Hain Jin Main Diabetes Abhi Tak Diagnose Nahi Ho Saki. Mulk Main Amomi Taur Par Is Ko ‘Sugar’ Ka Marz Bhi Kehtay Hain Aur Ye 2009 Say 2019 Main Barrh Kar Dugna Yani 2x Ho Gaya Hay.

Pakistan Main Har Shakhs Salana 26 Kilo Chini Khata Hay. Ye Dunya Main 28th Number Hay Magar Hum Ziada Tar Chini Chaye Ya Cold Drinks Main Istaymaal Kartay Hain Jo Diabetes Ya Suger Ki Aik Bari Waja Hoti Hay.

Yaad Rakhain Aap Chini Istaymaal Kartay Hain Ya Gurr, Doctors Kay Mutabiq Dono Nuqsaan-De Hain.

Diabetes Waqt Kay Sath Sath Aankhon, Muscles, Kidneys Aur Hath Paon Par Asar Andaaz Hoti Hay. Kuch Mareezon Ko Hath Ya Paon Par Gangrene Ho Jata Hay Jis Ki Waja Say In Ko Katna Parta Hay.

Toand Ya Barhaa Hua Pait

Diabetes

Toand Jo Kisi Ko Bhi Nahi Pasand, Magar Aap Ko Nazar Aksar Ati Hay. Ye Jahan Aap Ki Shakhsiat Ko Muta’sir Karti Hay Waheen Diabetes Samait Kai Beemarion Ki Waja Banti Hay.

Aik Andazay Kay Mutabiq Jo Afraad Apni Calories Ka 23% Meethay Ki Shakal Main Khatay Hain, Un Main Sugar Honay Kay Khatra Ziada Hota Hay.

Toand Ya Aap Kay Pait Par Izafi Charbi Ki Bari Wojuhaat Main Tali Hui Cheezain, Bakery Kay Items Aur Sweets Ka Ziada Istaymaal Hay. Is Kay Ilawah Khanay Kay Aaqaat Bhi Aham Hain. Din Kay Pehlay Hissay Main Khaya Hua Khana Itna Nuqsaan-De Nahi Hota Jitna Shaam Main Khaya Hua.

Khatray Ki Ghanti!

Diabetes

Mulk Main Barhtay Huay Office Culture Ya Freelancing Ki Waja Say Baith Kar Kaam Karnay Ka Culture Barha Hay Aur Physical Work Ya Exercise Ka Rujhaan Kam Hua Hay. Khaas Taur Par Khwateen Main Exercise Ka Naa Honay Kay Barabar Hay. Aik Arsay Tak Exercise Ko Sirf Mardon Ki Activity Samjha Jata Raha. Aab Ye Soch Badli Hay Magar Abhi Bhi Khwateen Main Walk Ya Exercise Ka Rujhaan Mardon Ki Nisbat Kam Hay.

Agar Aap Khanay Main Bay-Ihtiati Kar Rahay Hain, Aur Saath Saath Exercise Bhi Nahi Kar Rahay To Jaan Lijiye Kay Khatray Ki Ghanti Kisi Bhi Waqt Baj Sakti Hay.

Junobi Asia Par Research

Haal Hi Main Glasgow University Main Aik Research Ki Gai Hay Jis Main Junobi Aisa Kay 18 Say 65 Saal Kay Aisay 25 Afraad Ko Lia Gia Kay, Jin Ko Diabetes Huay 4 Saal Say Kam Arsa Hua Tha. In Ko 12 Haftay Aisi Khauraak Di Gai, Jis Main Kam Calories Theen. Is Say In Sab Kay Wazan Main Numayan Kami Hui. Magar Is Say Bari Khabar Ye Hay Kay 40% Afraad Main Diabetes Khatam Ho Gai. 10 Afraad Bina Medicine Kay Diabetes Say Nijaat Paa Gaye They.

Junobi Aisa Kay Afrad Par Khaas Taur Par Is Liye Ye Research Ki Gai Kay Is Region Main Sugar Bohat Ziada Hay.

Chalain Wazan Kam Kartay Hain!

Diabetes

Is Tahreer Ko Parh Kar Yaqeenan Aap Nay Faisla Ker Lia Kay Toand Aur Wazan Ko Auqaat Main Rakhna Hay. Is Ko Kisi Soorat Hadd Say Nahi Barhnay Daina.

Sab Say Pehlay Walk Ya Exercise Ko Apni Zindagi Ka Hissa Bana Lain, Kuch Mobile Apps Hain Jo Aap Kay Rozanay Kay Uthaey Gaye Steps Ginnti Hian. Is Salsalay Main Un Ka Istaymal Bhi Aap Ko Madad Day Sakta Hay.

Meethay Ko Baaton Main Ziada Aur Khanay Main Kam Karain. Is Say Sehat Bhi Achi Rahay Gi Aur Mahaul Bhi Behtar Hoga.

Subah Nashtay Say Pehlay Pani Kay 2 Say 3 Glass Piyen, Is Kay Ilawaah Pani Khanay Say Pehlay Hi Piyen.

Pait Bhar Kar Khana Naa Khayen, Aur Raat Ko Khanaa Khanay Kay Baad Thori Si Walk Zaroor Karain Ya Ghar Main He Exercise Kar Lain.

Raat Mein Waqt Par Sona Aur Neend Pori Karnay Se Bhi Wazan Nahi Barhta.

Mukhtalif Qehway Bhi Istaymaal Kar Kay Wazan Main Kami Ki Jaa Sakti Hay.

Wazan Kam Karnay Kay Tareeqay To Kai Hain, Magar Sab Say Aham Hay Walk Aur Exercise, Is Ko Zindagi Ka Hissa Banayen Aur Sugar Ko Bhagayen. Is Say Insaan Kai Aur Beemarion Say Bachta Hay Aur Sehat-Mand Zindagi Guzarta Hay.

Chalain Phir Shuru Kartay Hain.

شیئر

جواب لکھیں