Electric Vehicles Sasti Ho Gayi Hein. Jee Aap ne Bilkul Sahi Parha Ke Is Mehengai Mein Kuch Sasta Aur Wo Bhi EVs.

FBR Ne Electric Vehicles Pe Regulatory Duty (RD) Impose Ki thi Wo Bhi 100%, Jo Pehle 0 % Thi. FBR Ke Is  Notification Ke Andar Ye Mention Tha K RD August 22nd 2022 Se Lekar 21st November 2022 Tak Rahegi.

Ab Jab Ye RD Hata Di Gai Hai, Tou Audi E-Tron Ki Prices Mein Almost 2 Crore Ki Kami Hui Hay. Jo Log RD Ki Expiration Ke Baray Mein Pehle Se Jante The, Unhone Ne Shuru Se Hi Expensive EVs Ko Import Karne Ki Planning Karli Thi. Kuch Logo Ne Tou Dubai Mein Cars Ki Parking Bhi Shuru Kardi Taakey Wo Foran Import Ki Ja Saken.

Raftar Bharne Do
Ameeron Ki Sarkar, Sasti Ho Gayi Car 1

Experts Ka Kehna Hai Ke 300 Se 400  Tak EVs Jin Mein E-Tron, Mercedes EQS Aur Kuch Chinese Cars Bhi Shamil Hein, Import Ho Sakti Hein December 2022 Se Lekar January 2023 Tak. Aur Jab Ye Expensive Car Ki Imports Puri Ho Jaeingi, Tab In EVs Par Wapas RD Impose Kardi Jaye Gi Aur Ye Cars Wapas Rs. 10 Se 20 Million Mahengi Ho Jaeingi.

Game Samjhe ? Ye Baray Logon Ke Game Hein Boss, Long Term Planning Aisi Hi Hoti Hai Inki. Jab Apna Kaam Ho Tou Law Hata Do Ya Phir Ek Waqt Tak Rakho Ke Jab Ek Parlicular Law Hate Tou Us Ke Baad Aram Se Apna Kaam Ho Jaye Phir Chahey Wo Law Wapas Laga Diya Jaye. Ameer Logo Ke Ameer Khel.

Par Ye Ameer Log Akhir Hein Kon ?

Kuch Meetings Mein, Standing Committee Members Ne Bara Ghussa Kiya Tha FBR Par Jab Wo EVs Ke Import Ko Ban Kar Rahe The, Aur Kuch Logo Ka Kehna Hai Ke Parliamentarians Ne Kuch EVs Book Karai Hui Hein. Baray Log Bari Bari Baatein Aur Bari Plantings.

Apna Kaam Karao, Bakiyo Ko Bhool Jao

Ek Jaga Par State Bank Of Pakistan Letters Of Credit(LCs) Issue Nahi Kar Raha Car Companies Ko CKD Kits Ke Liye Kyun Ke Abhi US Dollars Hi Short Hein, Forex Exchange Ka Bura Haal Hai, Mehengai Ki Waja Se Log Mar Rahe Hein, Jobs Se Farigh Kiya Ja Raha Hai Aur Dusri Jaga Ye So Called Elite Class Proper Planning Kar Ke Expensive Cars Ko Import Kara Rahay Hein. 

شیئر

جواب لکھیں