MG Motors Pakistan Ko Government Ki Taraf Se Manufacturing Certificate Mil Gaya Hai Jiske Baad Wo Apni Local Vehicle Assembly Shuru Kar Raha Hay.

Company Ne Monday Se Hi 1.5L Turbo Engine MG HS Essence Ke Orders Lena Shuru Kardiye Thay, Jo Purely Pakistan Assembled Hai. Iss Local SUV Ki Price Imported CBU Ki Rs. 98 Lakh Se Kam Ho Kar Rs. 69 Lakh Ho Gi.

Differences Between Locally Assembled And CBU MG HS

Is Waqt Sabse Bara Sawal Yahi He Ke Ye Locally Assembled MG HS Essence Aur CBU MG HS Mein Farq Kia Ho Ga?

Dekha Jae Tou Sirf 3 Changes Ki Gai Hein Jinko MG Pakistan “Upgrades” For The Market Keh Raha Hai. Ye Upgrades 10,000 HS Customers Ki Feedback Ke Baad Kiye Gaye Hein:

  1. Automatic Emergency Braking Ko Disable Kardiya Gaya Hai Kyunke Customer Report Kar Rahe Thay Ke SUV Ek Dam Traffic Ke Beech Mein Ruk Jati Hai, Jisse Accident Ka Khatra Ho Sakta Hai.
  2. Intelligent Speed Assist Feature Ko Bhi Disable Kardiya Gaya Hai Kyunke Pakistani Traffic Mein Ye Sahi Se Kaam Nahi Kar Raha Tha, Jab Ke MG Pilot Ke Dusray Features Abi Bhi Maujood Hein
  3. Akhir Mein HS Essence Mein Pakistani Maps Ko Enable Kardiya Gaya Hai, Kyunke Ziada Tar Imported SUVs Mein Local Maps Nahi Hote Jo Kaafi Annoying Feeling Hoti Hai.

Fuel Average

Company Claim Karti Hai Ke Proper Driving Ke Sath Locally Assembled MG HS 7.3 Liters Mein 100 Kilometers Tak Jaati Hai Yaani 1 Liter Mein 13 Kilometer Aram Se Cover Ho Jayega, Jo Crossover SUV Kay Lihaz Say Buhat Zabardast Fuel Average Hai.

Booking Status

Local Assemblers Ke Mutabiq SUVs Full Ya Partial Payment Ke Sath Book Ki Ja Sakti Hai. As Per Law, Partial Payment 20% Hogi Full Payment Ke Mutabiq.

Jo Customers Full Payment Kareinge Unhe HS Essence 60 Din Ke Andar Hi Mil Jaegi Aur Jo Partial Payment Kareinge Unhe 60 Dino Ke Bad.

شیئر

جواب لکھیں