2023 Anay Wala Hay Aur Cars Kay New Models Ki Informations Reveal Horahi Hain. Toyota Prius Nay Bhi Kuch Naya Lana Ka Ilan Kia Hay Aur Aik International Autoshow Main Is Ki Jhalak Dekha Bhi Di Gai Hay. Toyota Kay Customers Nay New Model Kay Liye Abhi Say Count Down Bhi Shuru Kerdia Hay. Toyota Nay Claim Kiya Hay Kay Prius 2023 Pehlay Say Ziada Kamiyab Sabit Hoga.

Toyota Ki Prius Hamesha Maqbol Model Raha Hay. Is Ki Fuel Efficiency, Usefulness Aur Smooth Driving Customers Kay Liye Satisfaction Ka Bais Rahi Hay.

Hybrid Market Main Prius Ko Bauhat Pasand Kiya Jata Hay. Toyota Prius Best Selling Hybrid Car Bhi Hay Aur Is Kay Customers Ki Tadad Barh Rahi Hay.

Ab Toyota Nay Prius 2023 Ka Model Unveiled Kerdia Hay. Los Angels Auto Show Main Prius Ka Re Designed Model Jab Samnay Laya Gaya Tou Is Ko Bharpour Pazerai Mili.

Toyota Prius Kay New Model Main Sab Kuch Naya Hi Hay. Is Ka Sleek Touch Car Ko Dilkash Bana Daita Hay. Yeh Model 2023 Kay Shuru Main Hi Market Mai Ajaei Ga.

Although Is Model Ka Shidaat Say Intezar Kiya Jaraha Hay Leken Is Ka Subaru Crosstrek Hybrid Aur Kia Niro PHEV Say Sakht Muqabla Hoga. 

2023 Ki Toyota Prius Main Is Model Ki Tamaam Tar Jiddat Moujoud Hai. Is Ka New Exterior Aur Interior Design Dekhnay Say Taluq Rakhta Hay. Ager Ap Nay Pehlay Toyota Prius Nahi Purchase Ki Tou Aap Ko Apnay Faisalay Per Nazar e Sani Kerna Hogi.

Modern Makeover

Toyota Prius Kay Naya Model Main Purana Kuch Nahi Hay. Is Ka Front End Rounded Hay. Slimmer Grille Aur Large Oval Air In Take Nay Model Main Char Chand Laga Diye Hain. C-Shaped Daytime Running Lights Intehai Khoubsurat Lag Rahi Hain.

Is Model Kay Glass Roofs Main Solar Panels Lagae Gaie Hain. Is Say Battery Charging ( Regeneration) Main Madad Milti Hay. Is Kay Rear Roofline Main Sweeping Ka Option Bhi Hai Jabkay Is Ka Aerodynamic Design Is Main Value Add Ker Raha Hay.

Prius Prime Main Built-in Spoiler, Broad Fenders, Aur Thin Tail- lights Ko Horizontal Bar Say Munsalik Kiya Gaya Hay.

New Model Main Overall Height 2 Inch Kam Rakhi Gaei Hay. Body Width One Inch Ziada Hay. Height Kam Honay Ki Waja Say Prius Ki Seating Position Neechay Hay.

Significant Power Bump

Jaab Is Model Main Her Cheaz Bilkul Redesign Ki Gai Hay Tou Pehlay Moujod 1.8-Liter Engine Ko 2.0-Liter 4-Cylinder Engine Say Tabdeel Kiya Gaya Hay. Jab Yeh Engine Electric Motor Say Munsalik Hota Hay Tou Is Model Main 194 Horse Power Tak Taqat Ajati Hay. Yeh Pehlay Walay Model Say 121 HP Ziada Hay.

Toyota prius
Toyota prius

Is Ki Fuel Economy Bhi 57 Mpg Hay. Is Model Main Lithium-ion Battery Lagai Gaei Hay Jo Back Seat Kay Neechay Nasb Hai. Is Kay Baray Main Kaha Jaraha Hay Kay Yeh Charge Honay Kay Bad 38 Miles Tak Chal Sakti Hay.

Jo Baat Is Model Ko Exciting Banati Hay Woh Yeh Hay Kay Yeh Model 0 Say 60 Miles Per Hour Ki Speed Sirf 7.3 Seconds Main Hasil Kernay Ki Ability Rakhta Hay.

New Cabin Aur Modern Technology

Toyota Prius Kay 2023 Model Main Dashboard Main Ziada Changes Nahi Ki Gaei Hain. Yahan Steering Wheel Kai Pas Instrument Cluster Hay. Dashboard Kay Oper Aik Screen Bhi Nasb Hai Jis Ko Central Touch Screen Kaha Gaya Hay.

Toyota Prius
Toyota Prius

Is Model Main 2 Touch Screen Available Hain. Prius Kay Tamam Models Ki Tarhan 8 Inch Ki Screen Kay Ilawa XLE Main 12.3 Inch Ki Optional Screen Limited Models Main Di Gai Hay.

Prius 2023 Model Ki Price Abhi Zahir Nahi Ki Gai Hay. Current Model Ki Price 29,865 Dollar Hay. Is Liye Khayal Kiya Jaraha Hay Kay Yeh Naya Model Is Amount Say Thora Sa Ziada Hi Hoga.

شیئر

1 تبصرہ

جواب لکھیں