Supreme Cout of Pakistan Nay Arshad Sharif Kay Qatal Par Az Khud Notice Lay Lia, Chief Justice of Pakistan Justice Umar Ata Bandial Nay 5 Rukni Larger Bench Bana Dia. Bench Main CJ Kay Sath Sath Justice Ijazul Ahsan, Justice Sayyed Mazahar Ali Akbar Naqvi, Justice Jamal Mandokhail, Justice Mohammad Ali Mazhar Shamil Hain.

Supreme Court Of Pakistan Nay Interior, Foreign and Information Secretaries Ko Notice Jari Kiye, Is Kay Sath Sath DG FIA,IB Aur PFUJ Kay Sadar Ko Bhi Notice Jari Kia Gaya Hay. Is Kay Sath Hi Samaat Shuru Ho Gai.

SC Kay Tarjuman Kay Mutabiq Awam Aur Sahafi Bradari Ki Taraf Say Shadid Tashweesh Par Az Khud Notice Liya Gaya.

 Chief Justice Nay Samaat Kay Dauran Pucha Kay Abhi Tak Pakistan Main Qatal Ka Faujdari Muqadama kyun Nahi Darj Hua.

Justice Muhammad Ali Mazhar Nay Puchha Kay Agar Paksitan Main FIR Nahi Hui Tou Tahqeeqat Kaisay Hon Gi?

Secretary Interior Nay Kaha Kay Fact Finding Report Ka Jaiza Lay Kar Muqaddama Darj Kia Jaye Ga.

Bench Nay Samaat Shuru Kartay Huvay Pahla Hukum Raat Tak FIR Darj Karnay Ka Diya. Jis Ki Copy Kal Ki Samaat Main Paish Karnay Ka Kaha Gaya.

Medical Report Par Sawal

Adalat Nay Medical Report Ko Ghair Tasalli Bakhsh Qarar Day Dia. Chief Justice Nay Kaha Kay Senior Doctors Nay Report Banayi Wo Bhi Tasalli Bakhsh Nahi Hay.

CJ Nay Aaaj Hi Fact Finding Report Bhi Jama Karanay Ka Hukm Diya , Unhon Nay Kaha Kay 43 Din Say Report Kay Mutazir Hain.

Arshad Sharif Ka Qatal

22 Aur 23 October Ki Raat Kenya Kay Aik Door Daraz Ilaqay Main Raat Gaye Firing Kar Kay Arshad Sharif Ko Qatal Kar Diya Gaya. Kenya Ki Police Ka Dawa Tha Ke Arshad Sharif Ki Gari Ko Ruknay Ka Kaha Gaya, Na Ruknay Per Firing Ki Gayi. Kenyen Police Ki Taraf Say Jari Biyan Par Pakistan Samait Dunya Bhar Main Koi Yaqeen Karnay Ku Tayyar Nahi Tha. Jaisay Jaisay Facts Samnay Aatay Gaye Awaam Main Tashweesh Barhti Gayi.

Raftar Bharne Do
44 Din Baad Suo Motu 1

Public Pressure And Janaza

Arshad Sharif Kay Qatal Kay Baad Pakistan Aur Pakistan Kay Bahar awam Main Bohat Gham-o-Ghussa Paya Ja Raha Tha, Awam Is Ki Azaad Tahqeeqat Ka Mutalaba Kar Rahay Thay , Kuch Halqoon Say Benazir Bhutto Ki Taraz Par UN Commission Ka Bhi Mutalaba Samanay Aaya. Arshad Sharif Ka Janaza, Islamabad Ki Tareekh Ka Aik Bara Janaza Tha Jis Main Mulk Bhar Say Awam Nay Bari Tadad Main Shirkat Ki Jis Main Aik Baar Phir Azaad Tehqiqat Ka Mutalaba Kia Gaya.

Raftar Bharne Do
44 Din Baad Suo Motu 2

Prime Minister Ka CJ Ko Khat

Wazeer-e-Azam Pakistan Nay 8 November Ko CJ Ko Khat Likha Aur Tamam Dastiayab Judges Par Mushtamil Judicial Commission Bananay Ka Kaha Tha. Wazeer-e-Azam Nay Khat Main Kaha Tha Kay Arshad Sharif Kay Qatal Say Juray 5 Sawalat Kay Jawabaat Janana Bohat Zarori Hain.

Likho Chief Justice Ko Khat

 Senior Anchor Imran Riaz  Aur Kuch Dusray Afrad Ki Taraf Say Social Media Par Aik Public Campaign Shuru Ki Gai, Jis Main Awam Say Darkhwast Ki Gayi Kay Wo Arshad Sharif Kay Qatal Kay Haqaiq Jananay Kay Liye Chief Justice of Pakistan Ko Khat Likhain. is campaigns Main Sabiq Wazeer-e-Azam Imran Khan Bhi Shamil Ho Gaye.

Aur Akhir Kaar Supreme Court Of Pakistan Nay 6 December Ko Az Khud Notice Lay Lia.

شیئر

جواب لکھیں