Pakistanion Ki Subah Ka Aghaz Aik Buhat Shocking News Say Hua Hay Ke Famous Journalist Arshad Sharif Ab Is Dunya Main Nahi Rahay. Un Ki Wife Javeria Siddique Nay Confirm Kia Hay Ke Africa Kay Mulk Kenya Main Goli Lagnay Say Arshad Sharif Ki Maut Ho Gai Hay.

Apnay Tweet Main Javeria Kehti Hain Ke Main Apnay Dost, Husband Aur Favourite Journalist Say Mehroom Ho Chuki Hoon, Police Kay Mutabiq Unhain Kenya Main Goli Lagi Hay.

Unhon Nay Mutalba Kia Hay Ke Hamari Privacy Ka Khayal Rakha Jaey, Breaking News Kay Naam Par Hamari Family Photos, Personal Details Aur Hospital Say Arshad Ki Last Pics Share Na Ki Jaen.

Arshad Sharif Pakistan Ki Mojooda Hukoomat Aur Establishment Kay Sakht Mukhalif Thay. Jis Ki Waja Say Is Saal Un Kay Khilaf Kai Cases Banay, Aur Wo Mulk Chhor Kar Chalay Gaey. Pehlay Dubai, Phir London, England Gaey Aur Wahan Say Kuchh Din Pehlay Kenya Puhanchay Thay.

Un Ki Maut Kis Tarah Hui? Is Baray Main Abhi Confirmed Details To Mojoud Nahi, Laikin Wife Javeria Ka Kehna Hay Ke Unhain Shoot Kia Gaya Hay.

Arshad Sharif Ko 2019 Main Government Of Pakistan Nay Pride Of Performance Dia Tha. Laikin Regime Change Kay Baad Doosray Journalists Ki Tarah Un Kay Liay Bhi Halaat Kharab Ho Gaey Aur Majbooran Unhain Mulk Chhorna Parra.

Is Khabar Par Jahan Pakistani Journalists Ko Sakht Sadma Puhancha Hay, Waheen Kai Politicians Bhi Hairan Hain. Ex-Minister Human Rights Shireen Mazari To Kehti Hay Ke Unhain Sniper Kay Zariay Sar Main Goli Mari Gai.

Udhar Islamabad High Court Nay Ministry Of Interior Aur Foreign Ministry Ko Notice Jari Kardia Hay Aur Un Say Kal Tak Report Talab Karli Hay.

Arshad Sharif Kay Lawyer Shoiab Razzaq Nay Court Say Aik Judicial Commission Banay Ki Darkhwast Ki Thi. Un Ka Kehna Tha Ke Arshad Sharif Ko Mulki Halaat Ki Waja Say Pakistan Chhorna Para. Wo Aik Patriotic Shehri Aur Journalist Thay.

Unhon Nay Bataya Ke Arshad Sharif Ki Dead Body Filhaal Kenyan Capital Nairobi Main Hay. Appeal Main Un Ki Dead Body Mulk Wapis Lanay Ki Darkhwast Bhi Ki Gai Hay.

شیئر

جواب لکھیں