Ziyada Din Nahi Guzray, Yahi India Tha Aur Yahi Muhammad Nawaz. 2 September 2022 Ko Dubai Main Pakistan Aur India Asia Cup Ka Aik Important Match Khel Rahay Thay. 182 Runs Chase Kartay Huay 63 Runs Par Pakistan Kay 2 Out Ho Chukay Thay. Tab Pakistan Nay Aik Ajeeb Sa Faisla Kia. Spinner Muhammad Nawaz Ko Pehlay Bhej Dia Aur Is Aik Faislay Nay Match Ko Palat Kar Rakh Dia.

Nawaz Nay Sirf 20 Balls Par 42 Runs Banaey, 6 Fours Aur 2 Sixes Lagaey Aur Pakistan Ki Yaadgar Jeet Main Aik Unexpected Hero Ban Kar Samnay Aaey.

Laikin 2 Maheenay Bhi Nahi Guzray Ke India Nay “Dubai Walay Nawaz” Say Melbourne Main Badla Lay Lia. Pakistan Kay Khilaf Apnay Aglay Hi Match Main. Ye Dubai Walay Muqablay Kay Baad Pakistan Aur India Ka Pehla Match Tha, Jo Nawaz Kay Liay Buhat Bura Sabit Hua.

160 Runs Chase Kartay Huay 11 Overs Main India Kay Sirf 54 Runs Thay Aur 4 Out Ho Chukay Thay. Match Pakstan Ki Grip Main Tha. Jab Nawaz Apna 3rd Over Karwanay Aaey. Pehli Baal Par Hardik Pandya Nay Unhain Aik Zabardast Chhakka Lagaya. Phir 4th Ball Par Virat Kohli Nay Aagay Barh Kar Aik Aur Six Dia Aur Over Last Ball Par Pandya Kay Aik Aur Six Kay Sath Over Khatam Hua.

Wo India Jo 11 Overs Main Aik Six Tak Nahi Laga Saka Tha, Aik Sath 3 Sixes Kay Sath Match Main Wapis Aa Gaya. Nawaz Ko Phir Koi Over Nahi Dia Gaya, Yahan Tak Ke Last Over Aa Gaya. Ab Isay Nawaz Ki Bad Luck Kahain Ya Kuchh Aur, Laikin Wo 16 Runs Bhi Defend Nahi Kar Sakay.

Last Over Ka Start Bura Nahi Tha. Itni Crucial Stage Par Unhon Nay First 3 Balls Par Aik Wicket Bhi Li Aur Sirf 3 Runs Diay, Laikin Phir Dimagh Ki Batti Bujh Gai. Aik Controversial Waist-Height No-Ball Par Six Khaya, 2 Wides Keen, Bye Kay 3 Runs Diay Laikin Aik Wicket Aur Lay Kar Bhi Pakistan Ki Jitwa Nahi Sakay.

Isi Ko To Cricket Kehtay Hain. Bilkul Zindagi Ki Tarah Is Main Kabhi Kay Din Barray Hotay Hain To Kabhi Ki Ratein. Aik Din Aap Ko Hero Banata Hay To Agla Din Aap Ko Zero Kar Daita Hay. Laikin Aap Nay Tootna Nahi, Hosla Haarna Nahi, Opportunities Milain Gi, Moqay Aaen Gay, Jab Bhi Milay Aik Improved Player Ban Kar Aana Hay, Aur Dunya Ko Dikhana Hay.

شیئر

جواب لکھیں