Pakistani Journalist Arshad Sharif Ki Shocking Death Kay Baad Sab Say Barra Sawal Ye Hay Ke Akhir Ye Hua Kaisay? Buhat Si Rumours Hain, Laikin Kenyan Police Kehti Hay Ke Ye Un Ki Misunderstanding Ki Waja Say Hua Hay.
Kenyan Newspaper ‘The Star’ Ka Kehna Hay Ke Ye Mistaken Identity Ka Muamla Hay. Arshad Sharif Itwar Ki Raat Ko Apnay Driver Kay Sath Nairobi-Magadi Highway Par Ja Rahay Thay. Jahan Police Nay Aik Roadblock Par Unhain Roknay Ki Koshish Ki Laikin Wo Nahi Rukay, Jis Par Police Nay Fire Khol Dia. Aik Goli Arshad Sharif Kay Sar Main Lagi Aur Un Ki Waheen Par Death Hogai.
Police Ka Kehna Hay Ke Capital Nairobi Kay Ilaqay Pangani Main Aik Bachay Ki Kidnapping Ka Waqia Paish Aaya Tha. Jis Kay Baad Police Alert Thi. Unfortunately, Arshad Sharif Ki Car Bhi Usi Rastay Say Jaa Rahi Thi, Jahan Kidnapper Ki Mojoodgi Ka Shuba Tha. Na Ruknay Par Police Nay Firing Kardi Aur Ye Waqia Paish Aa Gaya. Jis Main Arshad Shad Chal Basay Aur Driver Sakht Zakhmi Hay.
Police Kay Mutabiq Is Waqiay Ki Poori Tafseel Aur Police Ka Mukammal Statement Baad Main Jari Kia Jaey Ga.
Hairat Ki Baat Ye Hay Ke Police Nay Car Ko Roknay Kay Liay Tyres Par Golian Nahi Mareen. Balke Seedhay Fire Kiay, Jis Ki Waja Say Arshad Sharif Ko Sar Main Goli Lagi. Phir Police Keh Rahi Hay Ke Usay Shak Tha Ke Ye Kidnapper Ki Car Hay, To Us Main Bacha Bhi Mojood Honay Ka Pata Hoga. To Aisi Firing Kyun Ki Gai?
Pakistani Hukoomat Aur Foreign Office Ko Fori Taur Par Is Waqay Ki Joint Investigation Ka Mutalba Karna Chahiye.