Pakistan Ke Senior Sahafi Arshad Sharif Ki Post Mortem Report Manzar-e-Aam Par Aagai. Qatal Se Pehlay Shadeed Tashadud Kiye Jane Ka Inkishaaf Hua Hai.

Duniya TV Ke Anchor Kamran Shahid Ne Apne Program Mein Shaheed Arshad Sharif Ki Tasaviren Dikhayeen. Unhon Ne Daawa Kiya Ke Senior Sahafi Par Qatal Se Pehlay 2 Se 3 Ghantay Tak Shadeed Tashadud Kya Gaya Tha. Un Ki Unglion Ke Naakhun Nikalay Gaye. Tashadud Karkay Un Ke Haath Ki Unglian Aur Pasliyan Bhi Tori Gayeen. Jabkay Unhen Intehai Qareeb Se Golian Maari Gayeen. Un Ka Kehna Tha Ke Ye Ghalat Shanakht Ka Nahi Balkay Mansooba Bandi Ke Tehat Kya Gaya Qatal Hai.

Program Anchor Ke Mutabiq 23 October Ki Raat 8 Bajay Khurram Nami Shakhs Unhen Le Kar Gaya Tha. Us Ne Aam Rastay Ke Bajaye Daur Honay Ke Bawajood Mogadi Highway Wala Rasta Ikhtiyar Kya.

Program Mein Bataya Gaya Ke Kenyan Hukkaam Ki Janib Se Tafteesh Mein Bhi Taawun Nahi Kya Gaya. Jabkay Aik Plan Karda Qatal Ko Shanakht Ki Ghalti Qarar Diya Gaya. Range Par Maujood Afraad Se Mutaliq Bhi Maloomat Faraham Karne Se Guraiz Kya Gaya Hai.

Arshad Sharif Ki Biwi Ki Appeal

Dusri Janib Shaheed Arshad Shareef Ki Ahliya Ne Post Mortem Report Par Reaction Dete Huye Kaha Ke Arshad Bohat Sharam o Haya Walay Thay. Woh Is Mulk Se Bhi Is Liye Gaye Thay Ke Unko Nanga Karkay Kya Janay Wala Torcher Qabool Nahi Tha. Aap Sab Un Ke Aaza Ki Taswiren Mat Share Karen. Shaheed Aur Hamein Takleef Mat Den.

Senior Sahafi Arshad Sharif Ko 22 Aur 23 October Ki Darmiyani Shab Gaari Mein Jatay Hue Kenyan Police Ne Firing Kar Ke Qatal Kar Diya Tha. Kenya Police Ki Janib Se Arshad Sharif Ki Maut Ko Shanakht Ki Ghalati Qarar Diya Gaya Tha.

Arshad Shareef Ki Maiyat Pakistan Pohnchnay Par Un Ka Post Mortem Islamabad Mein Bhi Kya Gaya Tha Lekin Un Ki Post Mortem Report Ab Tak Ahal-e-Khana Ko Nahi Di Gayi Hai.

Doosri Janib Wifaqi Wazir-e-Dakhla Rana Sana Ullah Bhi Keh Chuke Hain Ke Arshad Sharif Ka Qatal Ghalat Shanakht Nahi Balkay Target Killing Ka Waqea Lagta Hai.

شیئر

جواب لکھیں