Pakistan Aik Divided Society Hay. Har 100 Kilometers Kay Baad Rang, Nasal, Zaban, Qaum, Maslak, Culture Sab Badal Jata Hay. Bas Nahi Badalti To Cricket Aur Junaid Jamshed Say Mohabbat Nahi Badalti. Aik Aisi Shakhsiyat Jo Liberals, Conservatives, Naujawan, Buzurg, Aurat, Mard, Sab Mein Maqbool Hay. Junaid Jamshed Sab Ko Pyara Hay. Jo Aaj Say 6 Saal Pehlay 7 December 2016 Ko Aik Air Crash Mein Shaheed Huay Aur Dunya Ko Rula Gaey.

Junaid Jamshed Say Meri Pehli Mulaqat Karachi Main 1998 Main Hoi Thi. Us Waqt Wo Aik Concert Main Aey Huay Thay. Jis Mein Unhon Nay “Dil Dil Pakistan” Gaa Kar Aisa Sama Bandh Dia Tha Kay Aaj Bhi Woh Kaifiyat Goose Bumps Daal Daiti Hai.

Laikin Waqt Badla Aur Junaid Bhai Bhi Badal Gaey. Music Say Deen Ki Taraf Aa Gaey, Tabiyat Main Aik Therao Agaya. Apnay Akhlaq Say Sab Ko Muta'sir Kernay Walay Junaid Nay Deen Ki Khatir Apna Sab Kuch Qurban Kardia, Daulat Bhi, Shohrat Bhi, Jo Kisay Aziz Nahi Hoti. Jab 2006 Main Meri Un Say Doosri Mulaqat Hui To Un Ki Awaz Main Gana Nahi Aik Islahi Bayan Suna. Junaid Bhai Us Waqt Bhi Waisay Hi Jhuk Kar Milay, Jo Hamesha Say Unki Personality Ka Hissa Tha.

Music Main

Engineering Ki Taleem Kay Doran Hi Junaid Jamshed Ko Music Ka Shoq Hogaya. Unhonay 1985 Say 1986 Tak Underground Music Bands Kay Liye Performance Di. Phir Un Ki Mulaqat Rohail Hyatt Aur Shahzad Hasan Say Hui. Unhonay Mil Kar Music Band Bananay Ka Faisla Kiya Aur Phir 1987 Main Rana Shaikh Nay Unko Aik Song Kay Liye Chuna. Gana Tha “Dil Dil Pakistan”, Wo Song Jis Nay Junaid Ko Shohrat Ki Bulandion Per Pauhancha Diya.

Aaj Dil Dil Pakistan Ka “Unofficial” National Anthem Hay. Kisi Ko Pak Sarzameen Yaad Ho Ya Na Yaad Ho, Dil Dil Pakistan Bachay Bachay Ko Aata Hay.

Phir Aik Kay Baad Doosra Album Aata Gaya, Hit Hota Gaya Aur Junaid Ki Maqbuliyat Sarhadain Bhi Paar Kar Gai.

Laikin Jab Dunya Qadmon Main Thi, Tab Junaid Nay Isay Thokar Maar Di. Kal Ka Pop Sensation, Naey Zamanay Ka Muballigh Aur Scholar Ban Gaya. Kal Jis Kay Gaanon Par Sar Dhuntay Thay, Ab Dars Sun Kar Zindagi Badal Rahay Thay.

2004 Main Deen Ki Taraf Anay Main Islamic Scholar Maulana Tariq Jameel Say Qurbat Ka Bara Hath Tha. Phir 2016 Mein Apni Shahdat Tak Junaid Aur Maulana Ka Ye Sath Barqarar Raha.

Singing Ko Chornay Kay Baad Junaid Jamshed Nay Karobar Ko Apna Profession Banaya. Un Ka Shuru Kia Gaya Clothing Brand J. Aaj Pakistan Kay Most Famous Brands Main Say Aik Hay. Balkay Pakistan Say Bahar Tak Phail Chuka Hay.

Singing Say Naat Tak

Junaid Nay Singing Chornay Kay Baad 2005 Say Naat-Khwani Shuru Kardi. 2005 Say 2013 Tak Un Ki 10 Albums Release Hoein. Jin Main Jalwa-e-Janan, Mehboob-e-Yazdan, Badr-ud-Duja, Yaad-e-Haram, Rehmat-ul-Lil-Aalamin, Badi-uz-Zaman, Mera Dil Badal De, Hadi-ul-Anaam, Rabbi-Zidni Ilma Aur Noor-Ul-Huda Shamil Hain.

Junaid Jamshed Aisay Khush-Naseeb Thay Kay Jis Maidan Main Qadam Rakha, Shohrat Nay Qadam Choomay. Music, Us Kay Baad Business, Phir Tableegh Aur Naat-Khwani Junaid Ki Maqbooliyat Kisi Maidan Mein Kam Nahi Thi. Yahan Tak Ke Wohi Junaid J.J. Ban Gaya, Sab Ka Pyara J. J.

شیئر

جواب لکھیں