Saal 711 Nahi 2022 Tha…
Maqam Gibraltar Nahi Doha Tha…
Magar Moqabla Aur Nateeja Wohi Tha…
Arabs Conquer Spain!
Isi Liay Tou Jaisay Hi Achraf Hakimi Ki Penalty Net Par Lagi…. Arab Commentators Ki Zabaan Se Bey Sakhta Nikal Para… Fakhr Al Arab!
Waisay Tou Gumnaam Sipahion Ki Is Team Nay Pehli Whistle Bajnay Se Laykar Aakhri Goal Tak Spain Ki Team Ko Aik Minute Bhi Sukoon Se Khelnay Nahi Dia, Laikin Aakhir Mai Jab 2 Ya 3 Baar Easy Chances Zaya Huay Tou Lagnay Laga Kay Shayad Chotay Naamo Ki Ye Team Is Baray Moqablay Ka Pressure Sambhal Nahi Paye Gi.
Laikin… Kabhi
Zack Snyder Ki Movie 300 Kay Spartans
Tou Kabhi Ertugrul Ghazi Kay Turgut Ki Tarah!
Al Maghreb Kay Ye Sher Lartay Rahay Yahan Tak Kay Achraf Hakimi Ka Football Net Mai Ja Laga.
Log Tou Isay Moroccan Miracle Keh Rahay Hain Laikin…
Ye Koi Miracle Nahi Tha…
Na Hi Ye Koi Fluke Tha…
Moroccans Nay Sirf Spain Ko Nahi Haraya…
Wo First Round Mai World Number 2 Belgium Ko Bhi Farigh Kar Kay Arahay Hain.
There Is A Method To The Madness…
And There Is A Man Behind This Method Aur Wo Hain…
Moroccan Coach Walid Regragui, Jin Ka Morocco Se Bahar Paida Honay Walay Khilarion Ko Team Mai Shamil Karnay Ka Controversial Decision Kaam Kar Gaya.
"Today We Have Shown That Every Moroccan Is Moroccan. When He Comes To The National Team He Wants To Die, He Wants To Fight. As The Coach, I Was Born In France And Nobody Can Have My Heart For My Country.”
Aur Irony Dekhain, Faisla-Kun Goal Karnay Walay Achraf Hakimi Bhi Spain Hi Ki Paidaish Hain Aur Wo Akelay Nahi Morocco Ki 26 Member Squad Mai 14 Players Foreign-Born Hain.
Handsome Goalkeeper Yassine Bounou Canada Ki Paidaish Hain.
World Cup Quarter Finals Mai Puhachnay Walay Pehlay Afriki Coach Walid Regragui Khud Bhi France Mai Paida Huay.
Koi Shak Nahi Kay Football World Cup Jaisa Koi Event Dunya Mai Nahi Hota.
Kyun Kay Shayad Football Jaisa Koi Khel Bhi Dunya Mai Nahi Hota.